View Full Version : Ramzan mei apney aap ko gunaho sei bachaen
AS SALAAM O ALAIKUM ,
RAMZAN mei apney aap ko gunahon sei bachaen or Dosron ko bhi bachaney ke liye Mobile se Caller tune pe ganey khatum karen ta ke call karnay wala GANA Na Sunay
ZONG
UNR likh k 230 pe send karen
Telenor
UNSUB 230
Mobilink
UNSUB 230
Ufone
UNSUB 666
Warid
Rbt off 7171
is se song tune foran khatum hojaye gi .
Please share to others by sms or talk or sharing this on your facebook .
Ramzan hi nahi ramzan ke ilawa bhi ais per amal karein .
Shukria
!~*SOoLi
07-25-2011, 03:45 PM
Bohat Shukriya, .. Achi Soch..
Waisay Mere Milli Naghma Laga Howa Hay .. :p
Abewsha
07-25-2011, 04:32 PM
ayaz Q na Ramadan mein ap chat freez kar doh nt bad idea huh ? :P
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
07-25-2011, 04:33 PM
so nice sharing............
ayaz Q na Ramadan mein ap chat freez kar doh nt bad idea huh ? :P
phir tou tv bhi block karna hoga . chatroom ka matlab sirf girl friend boy friend banana nahi its an medium to communicate with your own nation . ab wo alag baat hie ke har pakistani har cheez ko wrong simt mei use karta hie jesay facebook etc
Abewsha
07-25-2011, 05:32 PM
mai waisa b tv nahi dekhti zada :P mai zada chat pe hoti hu mai ksii molna se pucho gi k chat pe kisi male se chat karte waqat roza mein kia fark par sakta hai
haan tou rozey mei chat room mei nahi ana simple solution . ab yeh kia aus ke liye chat room ko hi close kardon lol ke just because koiye apney aap per control nahi rakh sakta ke sirf larko sei ya sirf larkion sei chat karain .
Abewsha
07-25-2011, 08:37 PM
mai aao gi girls se chat karo gi bas wo b ankhein band kar k ap se b bat nahi karo gi :P jitni batein karni hai ab kar lo us waqat nahi karo gi lol
Nida-H
07-25-2011, 09:56 PM
Good Job.. :thankyou:
A L i
07-28-2011, 12:24 PM
I never use a song :)
PRINCE SHAAN
07-28-2011, 01:23 PM
Gunahon se bachna ek inferadi amal hai jis main khuf e khuda hoga woh her haal main gunahon se bachega jis ne na bachna ho us k liye aap lakh tadbeerain kar lain koi fayeda nahi mager apni taraf se koshish jaari rakhni chahiye. meri dua hai Allah hum sabko nek hidayet de aur mah e ramzana ki barkaton se mala maal honay ki taufeeq ataa fermayain.Aameen
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.