PDA

View Full Version : Halaat e hazra


Shaam
07-14-2011, 05:05 PM
nisar mei teri galio per aye watan ke jahan
chali hai rasm ke koi na sir utha ke jiye



Mahi ne kuch poetry share ki aur us sei mere zehen me yah thread aya

muhabbat aur apne halaat per shairi tou ho hi rahi hai

kuch shairi maqsadiayt per bhi hojaye
halaat per
logo per
aur jo horaha hai us per


SHARE POETRY ON WORLD AFFAIRS

Shaam
07-14-2011, 08:45 PM
ab darindo sei nahi haiwaano sei dar lagta hai
kia zamana hai insaano sei dar lagta hai

izzat e nafs kisi shaks ki mehfooz nahi
ab tou apne hi nigehbaano sei dar lagta hai

khoon raizi ka yah aalam hai merei mulk mei
ke ab tou musalmaano sei dar lagta hai

Owi
07-14-2011, 09:47 PM
-:||:- Bad-qismaT Karachi -:||:-

http://img7.imageshack.us/img7/8866/97816246.jpg

Sheher mein raqs mout ka her-soo

Maah-e-shaa-baan mein bhi jaari hai

Zerd chehray hein log sehmay huway

Aik dehshat hai khouf taari hai

http://img200.imageshack.us/img200/2718/96371843.jpg

Her taraf goliyon ki aawaazein

Baen naalay hein aah-o-zaari hai

Bay-hissi hai yaa bay-basi hai ye

Log ik doosray say kehtay hein

Dekhiye aaj kis ki baari hai

http://img42.imageshack.us/img42/2871/91736367.jpg

Haakim-e-waqt maskharay bay-hiss

In ko bas apni seat piyaari hai

Hum bhi zinda hein jee rahay hein mager

Is terhan jaisay jaan bhaari hai.

Owi
07-14-2011, 09:58 PM
-:||:- Zulm-o-joR Ki Ye AandhiyaaN -:||:-

http://img6.imageshack.us/img6/1731/89963917.jpg

Zulm-o-jor ki ye aandhiyaan
Chalein gi kab talak yahaan
Bahein gi kab talak bata
Meri arz-e-pak pay
Khoon ki ye naddiyaan

Qatal hongay kab talak
Meray watan mein bay-gunaah
Meray chaman mein A KHUDA
Rahay gi kab talak khizaan
Kam nahi tha kya yahaan
Sail-e-aab ka samaan

Or us pay ye sitam bhi hein
Aag-o-khoon chaaron ourr
Her taraf dhuwaan dhuwaan
Gali gali nagar nagar
Aik jaisi daastaan
Kab talak naseeb mein
Hein hamaaray pastiyaan

Kiun tu sun nahi raha
Siskiyaan ye hichkiyaan
Goonjti hai koo-ba-koo
Ik sada-e-al-amaan
Kis qader sukoon say
So rahay hein hukumraan

Is say pehlay gung ho
Hamaari bolti zabaan
A KHUDA-e-BEHR-o-BARR
Tujh pay kya nahi ayaan
A KHUDA-e-KHUSHK-o-TARR
Tujh say kuch nahi nihaan

Haan bohat qawi hai tu
Or hum hein naa-tawaan
Ab hamaari sun sada
Khatam ker ye imtayhaan
Khatam ker ye imtayhaan.

Muntazir Nigahain
07-17-2011, 10:37 AM
NiCe SharinG.......

Muntazir Nigahain
07-17-2011, 10:40 AM
غریبوں کی یہ بستی ہے کہاں سے شوخیاں لاؤں ؟

یہاں بچے تو رہتے ہیں، مگر ، بچپن نہیں رہتا ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ا



http://a6.sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-snc6/254074_10150228155019243_321784449242_7124105_4192 524_n.jpg

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.