View Full Version : -:||:- Udaasi Theher Jaati Hai -:||:-
-:||:- Tamaam Umer Ummeedon K Dermiyaan Guzri -:||:-
http://img837.imageshack.us/img837/6814/ajeeb.jpg
Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri
Agerchay chaahnay waalon k dermiyaan guzri
Tamaam umer jalaatay rahay chiraagh-e-ummeed
Tamaam umer ummeedon k dermiyaan guzri
Guzer gai jo teray saath, yaad-gaar hai wo
Teray baghair jo guzri, balaa-e-jaan guzri
Mujhay sukoon mayassar nahi to kya ghum hai
Gulon ki umer to kaanton k dermiyaan guzri
Ajeeb cheez hai ..... ye gerdish-e-zamaana bhi
Kabhi zameen pay, kabhi misl-e-aasmaan guzri.
-:||:- Zindagi Chal K Zara Mout Ka Dam-khaM Dekhein -:||:-
http://img405.imageshack.us/img405/4138/sunsaan.jpg
Dil k sunsaan jazeeron ki Khaber laaye ga
Derd pehloo say judaa ho k kahaan jaaye ga
Kon hota hai kisi ka shab-e-tanhaai mein
Ghum-e-furqat hi Ghum-e-ishq ko behlaaye ga
Chaand k pehloo mein dam saadh k rotii hai kiran
Aaj taaron ka fusoon Khaak nazer aaye ga
Raakh mein aag dabi hai Ghum-e-mehroomi ki
Raakh ho ker bhi ye sholaa hamein sulgaaye ga
Waqt Khaamosh hai roothay huway yaaron ki terhan
Kon lou daytay huway zakhmon ko sehalaaye ga
Zindagi chal k zara mout ka dam-kham dekhein
Werna ye jazbaa lehad tak hamein lay jaaye ga.
-:||:- Dukh Nay Meray Ghar Ka Rasta Dekh Liya Hai -:||:-
http://img15.imageshack.us/img15/7569/bandaankhein.jpg
Shaayad us nay mujh ko tunha dekh liya hai
Dukh nay meray ghar ka rasta dekh liya hai
Apnay aap say aankh chupaaye phirti hoon main
Aainay mein kis ka chehra dekh liya hai
Ab bhi sapnay boye to eemaan hai us ka
Us nay in aankhon mein sehra dekh liya hai
Us nay mujhay dar-asal kabhi chaaha hi nahi tha
Khud ko day ker ye bhi dhoka dekh liya hai
Us say miltay waqt ka rona kuch fitri tha
Us say bicher jaanay ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat kernay k aadaab nibhaanay hi thay
Band aankhon say us ko jaata dekh liya hai.
-:||:- Hamaaray Sheher Mein Utra Kamaal Ka Mosam -:||:-
http://img163.imageshack.us/img163/1926/mausam.jpg
Firaaq-e-yaar ki baarish, malaal ka mosam
Hamaaray sheher mein utra kamaal ka mosam
Wo ik dua jo meri naa-muraad lout aai
Zabaan say rooth gaya phir sawaal ka mosam
Bohat dino say meray zehan k dareechon mein
Theher gaya hai tumhaaray khayaal ka mosam
Jo bay-yaqeen hon bahaarein ujar bhi sakti hein
To aa k dekh lein meray zawaal ka mosam
Mohabbatein bhi teri dhoop chaaon jaisi hein
Kabhi ye hijr to kabhi wisaal ka mosam
Koi mila hi nahi jis ko sounptay .....
Hum apnay khuwaab ki khushboo khayaal ka mosam.
-:||:- Khirki Chaand Kitaab Or Main -:||:-
http://img121.imageshack.us/img121/4851/khirki.jpg
Khirki, chaand, kitaab or main
Muddat say ik baab or main
Shab bhar khelein aapas mein
Do aankhein, ik khuwaab or main
Mouj or kashti saahil per
Deriyaa mein gardaab or main
Shaam, udaasi, khaamoshi
Kuch kankar taalaab or main
Her shab pakray jaatay hein
Gehri neend, teray khuwaab or main.
-:||:- Yaar K Ghum Ko Ajab Naqsh-gari Aati Hai -:||:-
http://img683.imageshack.us/img683/9773/ghum.jpg
Yaar k ghum ko ajab naqsh-gari aati hai
Poor poor aankh ki maanind bhari jaati hai
Bay-ta-alluq na hamein jaan k hum jaantay hein
Kitna kuch jaan k ye bay-khabri aati hai
Is qadar goondhna perti hai lahoo say mitti
Haath ghul jaatay hein phir kooza-gari aati hai
Kitna rakhtay hein wo is sheher-e-khaamoshaan ka khayaal
Roz ik naao gulaabon say bhari aati hai
Zindagi Kaisay baser hogi k hum ko .....
Saber aata hai na aashufta-sari aati hai.
Dewaangi
07-09-2011, 02:12 AM
waahhhh very beautiful poetry
creative work T4 S
(¯`·._.·[FåIтH]·._.·´¯)
07-09-2011, 02:17 AM
wowwwwwwwwwwwwww aawsum work :) creative nd cOOl
Kamal .. Owais Bhai Weld0ne .. !!
DreamoOo
07-09-2011, 03:55 AM
Bohat umda Owi , Nice stuff .
T4S
buhat hi khobsurat tread hai OWI...
http://i51.tinypic.com/14vpibp.jpg
تغافل آشنا میرا
اذیتوں کے
تمام نشتر
میری رگوں میں
اتار کر وہ
بڑی محبت سے
پوچھتا ہے
تمہاری آنکھوں کو کیا ہوا ہے؟
Charlie
07-09-2011, 12:23 PM
great piece of work .. awesome owais wonderful collection
Morash
07-09-2011, 12:23 PM
XceLLent Work .. Enchanting Poetry*
Thanks For Sharing With Us!!
AFghani_Laila
07-09-2011, 02:58 PM
Wahh wahh La JAwabb
~Pr!nCe$s UrOoJ~
07-09-2011, 03:18 PM
bohot zabardastttttttttttttttttt :) vvvvvvvvvvvvv vvvvvvvv beautifull
!~*SOoLi
07-09-2011, 03:21 PM
انتخاب سخن اور تصاویر اس بات کی بھرپور عکاسی کر رہی ہیں کہ آپ ایک گہری سوچ رکھنے والے انسان ہیں۔۔
اس متاثر کن سوچ کی قدر و قیمت سوچ اور ذوق رکھنے والے ہی جانیں، ھم تو صرف اتنا کہہ سکتے ھیں کہ آپنے کمال کردیا، ۔۔ :)
Is Poetry ko pasand kernay or meri kaavish ko saraahanay k liye aap sab hi logon ka bay-had shukriya
please keep visiting.
Life aap ka khas tor per shukriya k aap nay is thread mein bhi khoobsoorat poetry shaamil ki
Sooli bro aap ka bhi bay-had shukriya k aap nay meri kaavish ko saraaha or mujhay apnay khayalaat say aagah kiya :)
anabia
07-10-2011, 12:46 AM
Great collection
celebrated
07-10-2011, 10:18 PM
superb collection thnx for shairing
Miss Habib
07-11-2011, 11:08 AM
Koi mila hi nahi jis ko sounptay .....
Hum apnay khuwaab ki khushboo khayaal ka mosam.
Is qadar goondhna perti hai lahoo say mitti
Haath ghul jaatay hein phir kooza-gari aati hai
Zindagi Kaisay baser hogi k hum ko .....
Saber aata hai na aashufta-sari aati hai.
bohat hi zabardst Owi
thanks for sharing
RoOZ SoOChTa HouN
07-14-2011, 09:21 AM
wah janab....kya zooq paya hai aap nai ..... aeisi tarha likhtay rahain.... humain bhee umeed hai kai aap mazeed achay zooq sai humain mustafeed kartay rahein gay.. bohuut shukria ...... khoosh rahoO
-:||:- Tittli Say Kuch Rung Chura Ker Laata Hoon -:||:-
http://img38.imageshack.us/img38/9603/90276516.jpg
Tittli say kuch rung chura ker laata hoon
Phir main ik tasweer bana ker laata hoon
Rasta dekhta rehta hoon ik hairat say
Dil mein koi hasher bapa ker laata hoon
Itni aasaani say kab mill saktay hein
Achay shair main jaan khapaa ker laata hoon
Tum bhi apna khanjer jaa ker lay aao
Main bhi apni laash uthaa ker laata hoon
Rastay mein ik khuwaab ka maqtal perta hai
Mushkil say main jaan bachaa ker laata hoon
Chour aaya tha manzer main un aankhon mein
Roz hi kehta hoon k jaa ker laata hoon.
-:||:- Faaida Kuch Nahi Hai Sonay Say -:||:-
http://img196.imageshack.us/img196/4756/51980584.jpg
Khuwaab aatay nahi salonay say
Faaida kuch nahi hai sonay say
Baaz aati nahi hein kiun aankhein
Apni mitti mein khuwaab bounay say
Dil mein shaayad bohat kasaafat hai
Kaam chalta nahi hai ronay say
Log bayzaar ho gaye hein kya
Shor suntan hoon konay konay say
Hosla berh gaya andhayron ka
Sheher k bay-chiraagh honay say
Munkashaf ho gaye sab hi asraar
Do ghari apnay saath honay say
Or ubhray hein daagh daaman k
Dil nay roka tha in ko dhonay say
Kya badal jaaye ga koi manzer
Khaar aankhon mein ab chubhonay say
Sir nikhernay laga hai ab mera
Ik zara derd ko samounay say
Kaash ! fursat milay hamein …..
Khoon mein ungliyaan dubonay say.
-:||:- Ajeeb Aadat Bana Rakhi Hai -:||:-
http://img535.imageshack.us/img535/3858/97142923.jpg
Usay ganwa ker talaash kerna ajeeb aadat bana rakhi hai
Saraab raston pay aisay chalna ajeeb aadat bana rakhi hai
Guzishta logon ka ziker lay ker kaheen khayaalon mein lafz chunna
Udaas lamhon mein rung bharna ajeeb aadat bana rakhi hai
Ye aasray kuch bana k rakhna zara zara si rafaaqaton k
Gumaan ki douri say khuwaab bunna ajeeb aadat bana rakhi hai
Kitaabein likhna mohabbaton ki kisi ko likhna chupa chupa k
Koi jo poochay to phir mukerna ajeeb aadat bana rakhi hai
Ye kya hua k bicher k us say main ab k khud say khafa khafa hoon
Koi bhi rutt ho udaas phirna ajeeb aadat bana rakhi hai
Shikasta patton k ghar banaana mitaana pairon say naam jaa ker
Gulaab pairon talay masalna ajeeb aadat bana rakhi hai
Main apnay hissay ki roshni hoon nishaan hoon apni manzilon ka
Ye kon samjhay k main nay jalna ajeeb aadat bana rakhi hai.
-:||:- Dushman Ho Koi Dost Ho Perkha Nahi Kertay -:||:-
http://img844.imageshack.us/img844/5866/60616539.jpg
Dushman ho koi dost ho perkha nahi kertay
Hum khaak-nasheen zarf ka soda nahi kertay
Ik lafz jo keh dein to wohi lafz hai aakhir
Katt jaaye zabaan baat ko badla nahi kertay
Koi aa k hamein zarb laga day to alag baat
Hum khud kisi lashkar ko bhi paspa nahi kertay
Ik zabt-e-musaafat hai zamaanay ki kari dhoop
Ghar say bina chaadar liye nikla nahi kertay
Ik baar jahaan dil ko laga lein to wahaan per
Phir sood-o-ziyaan kya hai ye dekha nahi kertay
Dil hai to isay gard ka sehra nahi kertay
Aankhon ko kisi baat pay deriyaa nahi kertay
….. koi baat hai khaamosh si lab per
Kuch lafz to aisay hein jo likha nahi kertay.
Rania
07-16-2011, 01:07 PM
Kiya bat hai ( D D ) ap ne to kamal kar dia good
Rania
07-16-2011, 01:11 PM
Zabardst
M A H i
07-20-2011, 11:14 PM
Itni aasaani say kab mill saktay hein
Achay shair main jaan khapaa ker laata hoon
THANKS
Very Nice Collection From All Of You Owi
Keep Sharing..........
Thank You Mahi
Keep Visiting
pensive
07-30-2011, 03:56 PM
NICE sharing
-:||:- Wehshat Tamaam Sheher Ki Aankhon Mein Bhar Gaya -:||:-
Wehshat tamaam sheher ki aankhon mein bhar gaya
Ik haadsa tha diar tak us ka asar gaya
Paani pay aik naqsh sa thehra hi tha k bas
Patthar gira to aks ka chehra bigar gaya
Ik khuwaab-e-dil-figaar ki bikhri theen kirchiyaan
Main aainon k dermiyaan khud say hi darr gaya
Socha tha aaj toot k royein teray liye
Phir ye hua k aankh ka deriya uter gaya
Ye muajza bhi kam nahi raah-e-junoon mein
Main khud jahaan nahi gaya mera hunar gaya.
-:||:- Samander Ka Kinaara Aankh Mein Hai -:||:-
Samander ka kinaara aankh mein hai
Koi dil-kash nazaara aankh mein hai
Main ghabraata nahi hoon a shab-e-ghum
K yaadon ka sitaara aankh mein hai
Nigaahein aik nuqtay per jami hein
K bas chehra tumhaara aankh mein hai
Main phir baazi laga raha hoon ishq ki
Bhalay pichla khasaara aankh mein hai
Wohi palkon pay mouti taankta hai
Jisay main nay utaara aankh mein hai
Bhaa lay jaaye ga wo khuwaab saaray
Rukaa paani jo khaara aankh mein hai
Meri aankhein sulagti hein jo ShihaaB
Chupa koi sharaara aankh mein hai.
-:||:- Teri Ye Baat Mujhay Roz Rula Dayti Hai -:||:-
Shaairi hosh mein jab hoon to maza dayti hai
Werna ye khoon-e-jigar tak ko jalaa dayti hai
Tera wo piyaar say kehna k chalay aao idher
Aaj bhi mujh ko wo sirgoushi hansa dayti hai
Mujh ko her roz hi milnay ki tasalli day ker
Apni her baat ko wo khud hi bhula dayti hai
Wo meri zaat ka hissa hai judaa kaisay karoon
Teri ye baat mujhay roz rulaa dayti hai
ShihaaB wo chair k sab saaz puraanay waalay
Meray bujhtay huway zakhmon ko hawa dayti hai.
-:||:- Tum Kya Jaano -:||:-
Ashk tum nay nahi chakkha hai abhi
Derd ka rung nahi dekha hai
Tum nay dekhi, na suni
Zerd hotay huway
Patton k labon ki siski
Sozish-e-jaan ko bhala kya jaano
Tum nay dekhi hai kabhi ye duniya
Meri aankhon mein kabhi jhaanka hai ? ? ?
-:||:- Us Nay Kaha Tha -:||:-
Us nay kaha tha
Tum wo shajar ho
Jis ki shaakhein tapti dhoop mein
Shabnum shabnum phail rahi hein
Jaisay zaat ki penhaai ho
Us nay kaha tha
Tum wo shajar ho
Jis k patton ki shaadaabi soundhi khushboo
Mosam-e-gull ka sirmaaya hai
Jaisay khuwaab ki raanaai ho
Tum wo shajar ho jis ki jarein itni gehri hein
Jaisay rooh ki gehraai ho
Us nay kaha tha
Ye to gaye din ki baatein hein
Patt-jhar say pehlay ki baatein
Ab to zeest ki aik aik saa’at aik aik lamha
Dasht-e-junoon mein tunhaai ka boujh uthaaye
Aanay waalay rah-geeron say pooch raha hai
Ye mosam kab tak badlay ga ?
Kab tak ye mosam badlay ga ? ? ?
-:||:- Usay Ye Kon Samjhaaye -:||:-
Usay ye kon samjhaaye
Wo dasht-e-khaamoshi mein
Ungliyon mein seepiyaan pehnay
Kisi sookhay samander ki
Adhoori piyaas ki baatein
Bohat chup chaap suntan hai
Bohat khaamosh rehta hai
Usay ye kon samjhaaye ? ? ?
Khushi k aik aansoo say
Samander bhar bhi jaatay hein
Bohat khaamosh rehnay say
Taa’alluq merr bhi jaatay hein ….. !
-:||:- Khushboo -:||:-
Tumhaaray ghum mein kisay khaber thi
K hum nay apna bana banaaya jahaan saara
Misaal-e-dasht-e-bala bana k
Junoon-e-dil mein tiyaag daala
Khirad ki zid thi so poori ker di
Mohabbaton ka lahoo nichouraa
Kisay khaber thi
K koi khushboo ko qaid ker k
Bhi rakhna chaahay to rakh na paaye
So main nay khud ko teray badan mein
Misaal-e-khushboo utaar daala
Badan bazaahir to hai tumhaara
Mager main us mein machalti khushboo ….. !
-:||:- Meri Mohabbat -:||:-
Hata do naqsh-e-jahaan say mujh ko
Yaa mera naam-o-nishaan mitaa do
Mujhay bhi mitti mein khaak ker do
Yaa meri hasti ko shoulon ki raakh ker do
Mager main itna bata doon jaana
Main hoon mohabbat ka wo mareez
Jo hijr k paaniyon mein ghull ker
Wuqoo-e-shaam-e-sukoon say pehlay
Tera hi rung-e-shafaq banoon ga
Mitaa k dekho wujood mera
Tumhaari chaahat mein mitt k jaana
Adaa namaaz-e-wafaa karoon ga
Meri mohabbat tum hi ho jaana
Sada main tum say wafa karoon ga ….. !
Razii
10-24-2011, 07:29 PM
Uth kar choom li hain chand murjhayi huwi kaliyaan
Na tum aaey to yun jashn e baharaan kar liya mein ne
(Saghir Siddiqui)
Hmmm Nice Razi
And Thankx
M A H i
12-15-2011, 08:11 PM
Ye kya hua k bicher k us say main ab k khud say khafa khafa hoon
Koi bhi rutt ho udaas phirna ajeeb aadat bana rakhi hai
Nice One
Main phir baazi laga raha hoon ishq ki
Bhalay pichla khasaara aankh mein hai
WOW!!!
Shaairi hosh mein jab hoon to maza dayti hai
Werna ye khoon-e-jigar tak ko jalaa dayti hai
Really Nice
Ashk tum nay nahi chakkha hai abhi
:good:
Bhout Khoob
Ye to gaye din ki baatein hein
Patt-jhar say pehlay ki baatein
Ab to zeest ki aik aik saa’at aik aik lamha
Dasht-e-junoon mein tunhaai ka boujh uthaaye
Aanay waalay rah-geeron say pooch raha hai
Ye mosam kab tak badlay ga ?
:bu:
Usay ye kon samjhaaye
Bohat khaamosh rehnay say
Taa’alluq merr bhi jaatay hein ….. !
Awesome
Hata do naqsh-e-jahaan say mujh ko
Yaa mera naam-o-nishaan mitaa do
.
.
.
.
Meri mohabbat tum hi ho jaana
Sada main tum say wafa karoon ga ….. !
:Brilliant:
KEEP SHARING Owi
jamal khan
02-06-2012, 09:01 PM
wah....
SAjan
02-07-2012, 03:17 PM
beautiful
ample
02-21-2012, 07:56 AM
beautiful poetry
-:||:- Mujhay Yaqeen Hai Teray Gumaan Mein Bhi Na Tha -:||:-
Jo wazan dayhaan ka hai teray dayhaan mein bhi na tha
Mujhay yaqeen hai teray gumaan mein bhi na tha
Lara hoon jaisay main khud say tamaam umer suno
Ye hosla to kisi pehelwaan mein bhi na tha
Jo derd tum nay diya hai khuda gawaah k wo
Meray to weham mein choro gumaan mein bhi na tha
Mujhay qubool k ujlat pasand tha main bhi
Zara sa saber meray bhaagwaan mein bhi na tha
Main manta hoon k lehja mera karakht raha
Suno k shehed tumhaari zabaan mein bhi na tha
Jinhein zameen pay Owi nahi mila tha khuda
Wo aasmaan gaye aasmaan mein bhi na tha !
SABA134
04-27-2012, 04:55 PM
V nice poetry..
sadpoet
05-04-2012, 04:35 PM
Buhaat Aalaaaaa...!~:ahhh:
sadpoet
05-06-2012, 11:39 AM
Niceeeeeeeeeeeeeeeeee
:17:
sadpoet
05-06-2012, 11:41 AM
Beshakkkkkkk.........:;angel:
M A H i
09-26-2012, 03:11 PM
-:||:- mujhay yaqeen hai teray gumaan mein bhi na tha -:||:-
jo wazan dayhaan ka hai teray dayhaan mein bhi na tha
mujhay yaqeen hai teray gumaan mein bhi na tha
lara hoon jaisay main khud say tamaam umer suno
ye hosla to kisi pehelwaan mein bhi na tha
jo derd tum nay diya hai khuda gawaah k wo
meray to weham mein choro gumaan mein bhi na tha
mujhay qubool k ujlat pasand tha main bhi
zara sa saber meray bhaagwaan mein bhi na tha
main manta hoon k lehja mera karakht raha
suno k shehed tumhaari zabaan mein bhi na tha
jinhein zameen pay owi nahi mila tha khuda
wo aasmaan gaye aasmaan mein bhi na tha !
واہ واہ
نہایت ہی خوب
-:||:- Sukoot -:||:-
Raat toot perti hai jab sukoot-e-zindaan per
Tum meray khayaalon mein chup k gungunaatay ho
Kitnay yaad aatay ho, poochtay ho kiun mujh say
Jitna yaad kertay ho, Utnay yaad aatay ho !
ringzlord
08-07-2013, 08:34 AM
Vry nyc poetry
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.