!«╬Ĵamil Malik╬«!
01-19-2009, 07:50 PM
Usay jab yaad aye ga woh pehli bar ka milna
to pal pal yaad rakhay ga ya sab kuch bhool jae ga
usay jab yaad aye ga guzray mausam ka har lamha
to khud hi ro paray ga woh ya khud hi muskurae ga
usay jab yaad aye ga ke sawan laut aya ha
bula bheje ga woh mujh ko ya khud hi laut aye ga
usay jab yaad aye ga ke man kaisay muskurata tha
to ankhain muskurain gi ya daman bheeg jae ga
usay jab yaad aye ga man kaisay naam leta tha
to mera naam likhay ga ya apna bhi mitae ga
usay jab yaad aye ga mera khamosh sa rehna
to sab keh day ga ya khud say bhi chupae ga
usay jab yaad aye ga mera uth ker chalay jana
milay ga dhoond ker mujh ko ya ghut kay mer hi jae ga
usay jab yaad aye ga sulha hans ker mera kerna
to mujh say rooth jae ga ya phir aa ker manae ga
usay jab yaad aye ga mera mur ker chalay jana
to bund rakhay ga derwazay ya phir rahain sajae ga
usay jab yaad aye ga man kaisa shakhs tha Agha
taaluk khatam kerday ga ya rah-o-rasm nibhae ga