Owi
07-05-2011, 06:16 PM
-:||:- Wafa Say Raabta Rakhna -:||:-
-:||:- Mohabbat Ker -:||:-
Mohabbat ker, meri jaan phir shaairi mehsoos hogi
Wagerna baat meri aam si mehsoos hogi
Bohat lambi musaafat k thakay haaray huway hein
So khuwaabon ko thakan si laazmi mehsoos hogi
Teri chashm-e-enaayat ka jisay mill jaaye saaghar
Usay taa-umer kya tashna-labi mehsoos hogi
Ager tum jaanib-e-gull dekh lo tuk muskuraa ker
Usay khud mein nai ik taazgi mehsoos hogi
Bitaa doon zindagi saari faqat is aasray per
Tumhein shaayad kabhi meri kami mehsoos hogi
Zameer-e-aadmiyat merr na jaaye to yaqeenan
Zara say jhoot per shermindigi mehsoos hogi
Dua maan baap ki ghar say hamayshah lay ker niklo
Jhulasti dhoop, meethi chaandni mehsoos hogi
Lab-e-jaana hamayshah ki terhan khaamosh hongay
Nigaahon say sadaa-e-guftuni mehsoos hogi.