Log in

View Full Version : Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ


Pages : [1] 2

M A H i
07-03-2011, 07:22 PM
http://i60.tinypic.com/2igy89x.jpg



Ιήtaκhααβ -ε- Μαh!

'' M i z a a j ''



http://i57.tinypic.com/2iuumo.jpg



Nazar ka apna mizaaj thehra
Jigar ka apna mizaaj thehra
Safar ka apna mizaaj thehra
To ghar ka apna mizaaj thehra
Hum...Safar kay rahay
na ghar kay rahay
Hamara apna mizaaj thehra

Hamari Mei ka mizaaj apna
Hamari lae ka mizaaj apna

Hamari aankhoon kay khuwaab apnay
Dard apnay azaab apnay
Meray lahoo rang gulaab apnay
Sawaal apnay, Jawaab apnay

Hamaray aangan main chalnay wali
HAWA ka apna mizaaj thehra

Hamaray seenay main jalnay wali
WAFA ka apna mizaaj thehra

Kisi ki choukhat pay jhuknay wali
ANAA ka apna mizaaj thehra

Hamaray sajdoon ko gin’nay walay
KHUDA ka apna mizaaj thehra

Ajab riwajoon, Ajab mizajoon kay iss nagar main
Tumhara apna mizaaj thehra, Hamara apna mizaaj tehra

http://i58.tinypic.com/25q7lme.jpg


Mahi Ye Shair Kiu Na Hon Mouti Say Aabdaar
Is Fan Mein Ki Hai Main Nay Bohat Dair Jaan-Kani

Owi
07-03-2011, 07:28 PM
Very nice thread Mahi
Pooray yaqeen k saath kaha jaa sakta hai k yahaan hum sab hi aap k aala zoq ki shaairi ko perh sakein gay
Or aap hum sab hi ko apnay aala zoq k johar dikhaatay huway khoobsoorat shaairi say mustafeez karein gi :)

M A H i
07-03-2011, 07:32 PM
http://i62.tinypic.com/2q1sc95.jpg



Darya-e-yaad hum ne utterne nahi diya

Us naam wala phhool bikherne nahi diya

Hum ko na kerni ayee bsar saleeqay se zindagi

Aur zindagi ke shoq ne marne nahi diya

Kachhe ghad'ey ka kachha sahaara na dhoondiye

Is ne kisi ko paar utterne nahi diya

Jab us ko bhoolna hai to itna bhi rakh kiu

Dil ne uss gali se phir guzerne nahi diya

Woh qatra qatra dil peh baraste hain roz-o shab

Jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya

Ek a'as hai keh khwahishain baandhi hain jis ke saath

Ek khuwaab hai jis ko bikherne nahi diya

M A H i
07-03-2011, 07:37 PM
Thanks Owi


Ab naye saal kii mohalat nahi milane waali
Aa chuke ab to shab-o-roz azaabon waale

Ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaan bolaty hain
Ab kahaan loog muhabbat ke nisaabon waale

Zinda rahane ki tamannaa ho to ho jaate hain
Faakhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon waale

Na mere zakham khile hain na tera rang-e-hinaa
Mausam aaye hii nahi ab ke gulaabon waale

M A H i
07-03-2011, 07:38 PM
Raston ki Marzi hai

Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye

Raston ki Marzi hai

Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain

Raston ki Marzi hai

Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain

Raston ki Marzi hai

Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain

Raston ki Marzi hai.........

Owi
07-03-2011, 09:47 PM
Beautiful Poetry
Thankx For Shairing Mahi

SHAYAN
07-04-2011, 04:23 PM
V Nice

M A H i
07-04-2011, 06:54 PM
Many thanks for visiting my thread Owi & Shayaan
Keep visitng...

Phir aaj jee main hai afsana-e-bahaar kahain…
Chaman ko daar kahain aur gul ko khaar kahain…

Teri wafa ka bharam hai per jee to chahta hai…
k raaz-e-husn sar-e-bazam aashikaar kahain…

Dil-e-udaas ko thori see a'as mil jaye…
To sham-e-hijr ko hum shaam-e-intezaar kahain…

Teri nazar ne chupaya hai ehl-e-dunya se…
Wagrna log mere dil ko daaghdaar kahain…

Tumhari deed ghazab hai ke apni haalat ko…
Kabhi qaraar kahain aur kabhi khumaar kahain…

Nazar k teer hain chookay pe farz-e-aashiq hai…
k aaftaab, isay dil ke aar paar kahain…

M A H i
07-04-2011, 06:56 PM
http://i59.tinypic.com/21oc95c.jpg

Chupke chupke gham khushi k bhes mein daakhil hua,
Sai'karon kaanty chubhy,jab ek gul haasil hua!

Khaak'e paa hun,khaak mein paida hua,pal b gaya,
Kuch buzurgon ki dua,kuch aap he qaabil hua!

Phir uthi hai maouj koi us nigaah-e-naaz mein,
Phir wahaan dil doob jaayega,agar gaafil huaa!

Maangane se kia mila? kis waasate arz-e-wafaa?
Dil agar aaya kisi pe,khud hi daryaa dil huaa!

Kis liye itna gumaan? kesy yeh tarz-e-guftugo?
Kiu tera har lafz jaise nashtar-e-qaatil hua?

Zeest k pan'nay palat'taa he raha,parh'ta raha,
dil raha jaahil ka jaahil,yeh nah par qaamil hua

M A H i
07-04-2011, 06:58 PM
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray

meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray

mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray

kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray

main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray

mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray

tasawor ban gia tasveer aakhir aik din
isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshaat thay meray

M A H i
07-04-2011, 06:59 PM
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain
Jahaan Bajte Hain Naq’qare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain



Gile Shiqwee Kahaan Tak Honge Aadhi Raat To Guzri
Pareshaan Tum Bhi Hote Ho Pareshaan Ham Bhi Hote Hain



Hamaare Aansuon Ki Aabdaari Aur Hi Kuch Hai
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain



Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain



Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain

Owi
07-04-2011, 07:15 PM
Marvelous Poetry
Um Speechless
Keep Shairing Mahi (y)

Shaam
07-04-2011, 07:54 PM
wo jin ko dunya sarahti rahi mera husn e intikhab kah kar
meri Zaat ke tukrey they Shaam tum tou jantey hona ??? : )

M A H i
07-04-2011, 10:35 PM
Nice one Shaam
Rah ro-e-shehr-e-fana hon teray kis kaam ka hun
ik bujhta sa dia hun teray kis kaam ka hun

To rafaqat k Liay kisi aur ko chun lay
Main to khud aabla pa hun teray kis kaam ka hun

Tujh ko darkaar hain phoolon k mehaktay saaye
Main to sehraa main khara hun teray kis kaam ka hun

Ay parastaar-e-gul-e-tar tera rasta taktay taktay
Shaakh pe sookh gaya hun teray kis kaam ka hun

Tu bhee auron ki tarha mujh say kinara kar lay
Saari duniya say bura hun teray kis kaam ka hun?

Noor ul huda
07-04-2011, 10:52 PM
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain
Jahaan Bajte Hain Naq’qare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain



Gile Shiqwee Kahaan Tak Honge Aadhi Raat To Guzri
Pareshaan Tum Bhi Hote Ho Pareshaan Ham Bhi Hote Hain



Hamaare Aansuon Ki Aabdaari Aur Hi Kuch Hai
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain



Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain



Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain

Very Very Nice Special 2nd and Last Stanza! aur appka apna shair bhi acha hay Jaan-kani wala :) :2191un:

Shaam
07-05-2011, 03:28 AM
: )
yeh zeher kaha sei utar rahey hain


hmmmmm


mei kuch kahoo ?

Owi
07-05-2011, 03:09 PM
Beautiful Collection
Thankx For Shairing Mahi
Aap K Nick Ki Terhan Aap Ka Intaykhaab Bhi Bay-haD Khoobsoorat Hai
Keep Shairing Mahi

anabia
07-05-2011, 06:55 PM
Nyc sharing

M A H i
07-06-2011, 08:27 PM
Many thanks for visiting abv Members ^

Woh baat kar jise phailaa ke mein ghazal keh loon
Sunaa Woh shair jo main ne abhii kaha'a nahe?

Keep visitng.......

M A H i
07-06-2011, 08:31 PM
Woh na dur hai, na qaareeb hai
Ye jo hijar hai, ye naseeb hai...

Jo wisaal tha woh to khwaab tha
Ye khyaal kitna ajeeb hai...

Wohi ansuon mein duaaon mein
Wohi dukh sukh mein kareeb hai...

Jo main sochta hun keh sakun
Mera harf harf rakeeb hai...

Ye falak zameen ko samait le
Mera dil bhi kitna gareeb hai...

Owi
07-06-2011, 08:33 PM
Superb Shairing Mahi
Hope K aap Isi Terhan Hum Sab Ko Apnay aala Zoq Say Lutf-andoZ Kerti Rahein Gi
Keep shairing :)

Shaam
07-06-2011, 09:23 PM
dil gareeb nahi be meher hai waisey.....


janta hai per manta nahi ...

RoOZ SoOChTa HouN
07-06-2011, 11:20 PM
Bahat khubsuraat intekhaaab humesha ke tarhaan hai .. assee hee likhtay raho .. khosh rahoO

M A H i
07-07-2011, 12:30 AM
Thanks for liking ^

Hum bhi bahut ajeeb hain itney ajeeb hain k bas,
Khud ko tabaa'h kar liya aur malaal bhi nahi

Keep Visiting......

M A H i
07-07-2011, 12:37 AM
Tu mujhay ikhtiaar main lay lay
Jeet lay mujh ko haar main lay lay

Jis tarha koi lambay ranj k baad
Neend lambay qarar maun lay lay

Hay maza paas baithnay main magar
Lutf kuch intizaar main lay lay

Aa kai puranay zakhm ka badla
ik he waar main lay lay . . .

M A H i
07-07-2011, 12:40 AM
Tamaam raat ki tafkeer ka nateeja hai
Ye shehr maazi ki tazkeer ka nateeja hai

Nahi tha ba'es-e-tasleeb mera jurm magar
Teri nigah main tehqeer ka nateeja hai

Nahi hun qaid , magar phir bhe urr nahi sakta
Kisi chupi hui zanjeer ka nateeja hai

Main jhonpari main hoon or tu maken-e-mehel sara
Ameer-e-sher ! yeh taqdeer ka nateeja hai

Bhigo k rakh dia ashko'n main hum nay mehfil ko
Gham-e-hayaat ki tafseer ka nateeja hai

Shaam
07-07-2011, 02:59 AM
Tu mujhay ikhtiaar main lay lay
Jeet lay mujh ko haar main lay lay

Aa kai puranay zakhm ka badla
ik he waar main lay lay . . .

are u serious ?


acha acha

: )



zabardast (y)

Sami
07-07-2011, 06:04 AM
Nyc .. !!

Fanx Fa Sharing .. !!

Owi
07-07-2011, 12:53 PM
Very Nice Poetry Mahi
Keep Shairing

M A H i
07-07-2011, 02:34 PM
http://i57.tinypic.com/2v2ur7d.jpg

Thanks All

Shab-e-firaq ye ehsaas kis bala ka hai
K dil chiragh hai aur samn'aa hawa ka hai

Sabhi hain noha ba lab kon kis ka dukh baantay
Yaha to jo bhi hai ek marsia wafa ka hai

Isay to khair say be had shaoq-e-bakhia giri
Magar sawaal merey zakham ki an'a ka hai

Dar-e-qabool ko zid hai udhar k band rahay
Magar yaha bhi kisay hoasla dua ka hai

Tabeeb-e-dil hai, magar haal-e-dil say begana...
Ajab haal merey dard ashn'a ka hai !

Chiraag-e-jaan hai salamat to kheriyat jaano
K shab safar ki hai aur dasht karbala ka hai.

M A H i
07-07-2011, 02:39 PM
Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte
To shayad hum bhi apna rasta tabdeel kar layte …

Agar hum waqae kam hosla hotay mohabat mein
Marz bharne se pehlay dawa tabdeel kar layte …

Tumharay sath chalne per jo dil razi nahi hota
Bohat pehlay hum apna faisla tabdeel kar layte…

Tumhari tarah jeenay ka hunar ata to phir shayad
Makan apna wohi rakhtay pata tabdeel kar layte…

Judai bhi na hoti zindagi bhi saha'l ho jati
Jo ek dusray se masla tabdeel kar layte…

Bohat dhundla gaya hai yaadoon ki rim jhim mein dil sada
Woh mil jata to hum bhi aaina tabdel kar layte…

Shaam
07-07-2011, 04:25 PM
shart e muhabbat hai andaaz e mehboob ke
aisa asaan nahi kudh ko tabdeel karna


: )

Owi
07-08-2011, 07:45 PM
Beautiful Shairing Mahi
Keep Shairing

M A H i
07-14-2011, 12:29 PM
Thanks...

Nazar main chahat badan main zulmat
jamaal kitna ajeeb sa tha
Main us ki chahat main ghar se nikla to
haal kitna ajeeb sa tha

Na mian ne us ko khutoot likhe
na us ne meri panah chahi
Dono ko apni be khudi par
malaal kitna ajeeb sa tha

Safar akele hi kat lo ge?
jo main ne pocha to ro die wo
Sawal kitna ajeeb sa tha
jawab kitna ajeeb sa tha

M A H i
07-14-2011, 12:30 PM
Zameen pay chal na saka, aasman sy bhe gaya
Kata k par wo parinda uraan say bhee gaya

Tabah kar gaey pakkay makaan ki khuwahish
Main apnay gao'n k kachay makaan say bhee gaya

Kisi k haath say nikla hoa wo teer hon main
Hadaf ko choo na saka or kamaan say bhee gaya

M A H i
07-14-2011, 12:31 PM
Muhabbat aik boorha Daivta hai
Jisay nirvaan ka gham kha gaya hai

Kabhi unn pattiyon ki bhi sada sunn
Jinhain guldaan ka gham kha gaya hai

Sulagti sochti insaan ki naslain
Jinhain pehchaan ka gham kha gaya hai

keep visting...

Shaam
07-14-2011, 12:45 PM
bohat khoob : )

Owi
07-15-2011, 07:26 PM
Very Nice
Thankx For Shairing Mahi

Muntazir Nigahain
07-17-2011, 10:36 AM
ZabardasT SharinG MaHi SisTa.....

M A H i
07-20-2011, 02:11 PM
Thanks for visiting................

http://i57.tinypic.com/2zgzrcl.jpg

Humne Kaati Hain Teri Yaad Mein Raatein Aksar
Dil Se Guzri Hain Sitaaron Ki Baraatein Aksar

Unn Se Poocho Kabhi Chehre Bhi Pare Hain Tumne
Jo Kitaabon Ki Kiya Karte Hain Baatein Aksar

Humne Unn Tund Hawaaon Mein Jalaaye Hain Chiraagh
Jin Hawaaon Ne Ulat Di Hain Bisaatein Aksar

Aur Tho Kaun Hai Jo Mujh Ko Tasalli Deta
Haath Rakh Deti Hain Dil Par Teri Yaadein Aksar

Haal Kehna Hai Kissi Se Tho Mukhaatib Hai Koi
Kitni Dilchasp Hua Karti Hain Baatein Aksar

M A H i
07-20-2011, 02:12 PM
http://i59.tinypic.com/212iv44.jpg


Surkh aankhan or bheega lehja
Daikh k usnay mujh say poocha
sab theek to hai na ??
Han ..... bus yunhi
Mousam badal raha hai na !!!!

Ay meri anjaan mohobbat
Tu kia jaanay
Tere khayaal k kandhay pay sar rakh k
kitna roi main
Kiu raat na soii main..........

M A H i
07-20-2011, 02:14 PM
Amal ko tolnay walay baray darVaish hotay hain
Khmoshi bolnay walay baray darvaish hotay hain

Yahan par jhoot palta hay, yahan sab jhoot kehtay hain
Yahan sach bolnay walay baray darvaish hotay hain

Zamana barf ki sil ki tarha jab sard par ja'ay
to uss par khoulnay walay baray darvaish hotay hain

Wo darvaishi jo kohna umr main aa'ay, bhali laikin
jawani rolnay walay baray darvaish hotay hain

Anaa'on, nafrato'n, Khud gharzio'n kay thehray pani main
Muhabat gholnay walay baray darvaish hotay hain

M A H i
07-20-2011, 02:16 PM
Main sheesha houn magar ab tak salamat
Wo path'thar tha, pighalta ja raha hay

Meri aankhon ka jhukna or jhapakna
Teri aankhon say milta ja raha hay

Sma'at ban k meray saath hay wo
Mera lehja sanwarta ja raha hay

M A H i
07-20-2011, 02:16 PM
Mua'ttar, khushnuma, khushrang, musaffa , saaf suthray hain
Tumharay dard k jo bhe saheefay hum pay utray hain

Nahi kuch dekhtay suntay ... teri soorat, sada bin wo
Teray aashiq bazahir aaj bhe andhay hain behray hain

Ye mana loot laitay hain yahan hirso hawass dil ko
Nahi lut'tay wo dil jin per teri yaadon k pehray hain

M A H i
07-20-2011, 02:26 PM
http://img29.imageshack.us/img29/7682/wohkitneyhaseenlamheyth.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/29/wohkitneyhaseenlamheyth.jpg/)


Bahaoo jab ziada ho kinaray toot jatay hain
K nazuk waqt main aksar saharay chuut jatay hain

Gali main khailtay masoom bac'chon ki sadaa aaee
Jab dhaga he kac'cha ho, ghubaaray chuut jatay hain

Hamara tootna to ek mamooli sa qiss'sa hai
Agar wo phair lein nazrain, sitaaray toot jatay hain

Main jin halaat say guzra hun un halaat main aksar
Bahut masoom, bahut baawasf pyaray rooth jatay hain

M A H i
07-20-2011, 02:26 PM
Tu ...........
Meri umr k samundar main
zindagi ka
Aakhri Jazeera hay !

Muntazir Nigahain
07-20-2011, 02:30 PM
wah wah zabardasT SharinG.......

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
07-20-2011, 03:18 PM
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray

meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray

mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray

kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray

main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray

mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray

So Nice sis..........

Owi
07-20-2011, 11:13 PM
Bohat Khoob Mahi
Such Wonderful Poetry
Keep Shairing

M A H i
08-02-2011, 09:43 PM
http://img140.imageshack.us/img140/2982/thankmp4uq3.gif (http://imageshack.us)

M A H i
08-05-2011, 05:41 PM
http://img263.imageshack.us/img263/2794/kuchlogmeridunyamain.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/263/kuchlogmeridunyamain.jpg/)



Woh ahad ahad hee kia jise nibhaao bhi
Hamaare waadaa-e-ulfat ko bhoul jaao bhi

Bhalaa kahan ke ham aise gumaan waale hain
Hazaar baar ham aaye hamein bulaao bhi

Biga'r chala hai bahut rasm-e-Khud'kushi ka chalan
Daraane waalo kisi roz kar dikhaao bhi

Tumhaari neend mein Dubi hui ankhon ki qasam
Hamein ye zid hai k jaago bhi aur jagaao bhi

M A H i
08-05-2011, 05:46 PM
Garz tark-e-ta'aluq koi chara bhi nahi tha
Bin us k mager apna guzara bhi nahi tha

Daa'way to sabhi ko thy wafadari k, lekin,
Ham dooby to tinkay ka sahara bhi nahi tha.

Wo shakhs rag-o-pay mein uterta hi gaya youN,
Jesy k mujhy khud pe ajaara bhi nhi tha...

Duniya se to khair apna gila hi nahi banta,
Is dil ko mager ranj tumhara bhi nahi tha

Lamhat-e-firaq a'ay khary thy kiu abhi se,
Ham ne to abhi waqt guzara bhi nahi tha

Mein dil khol k rakhta, to kis aagy..........?
Yahan mujh sa koi dard ka mara bhi nahi tha

M A H i
08-05-2011, 05:47 PM
Ye Rung-e-Gul Bhi Hy
Aur Khaar Bhi Hy

Zubaan Chalti Hui
Talwaar Bhi Hy

Ajab Hy Bolti Aankho’n
Ki Masti

JahanInkaar Bhi Hy
Iqraar Bhi Hy

Ye Raah-e-Ishq Hy
Dekho Sambhal Kr

Bohat Aasan Bhi Hy
Dushwar Bhi Hy

Ajab 2 Rung Hyn
Insaan Ki Fitrat

Gila Hy Jis Sy Usi Sy
Pyar Bhi Hy !!!

M A H i
08-05-2011, 05:49 PM
http://i57.tinypic.com/28wlah4.jpg



Ay Chand Suno! Kuch Bat Kero
Teri Bat Chelay , Meri Rat Katay
Bat Kero Us Basti Ke...
Badil Barish Aur Masti Ke
Ya Bat Kero Un Sapnoon Ke
Jinhain Tum Bhe Socha Kertay Ho
Khwabon Me Poja Kertay Ho
Ay Chand Suno! Kuch Bat Kero
Teri Bat Chelay ,Meri Rat Katay

M A H i
08-05-2011, 05:50 PM
Phir kab baat ho ge


Jab dhundli shaam ho ge


Kabhi main koshish karoon ge


Kabhi tum baadlon say kaam lo gay


Woh oss ka ansoo


Meri ankh mein ho ga


Woh dhund ki chadar


Teray kandhay par ho ge


Is mah-e-sard mein shayad


Meri tujh say baat ho ge!

M A H i
08-05-2011, 05:55 PM
Khamosh reh k bhi aankho'n say baat kerta hai

Woh chaandni k takallum ko maat kerta hai

Nibha rahay hai'n kuch aisay hum ussay

Uboor jaisay koi pul-siraat kerta hai...!

Shaam
08-05-2011, 06:14 PM
hmmm (y)


kuch kuch halat nazar arahey hain shairi me bhi

Owi
08-05-2011, 08:45 PM
Zaberdast Shairing Mahi
Keep Shairing

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
08-05-2011, 11:04 PM
Bohat KhOob Bai .. :)
Yahan Nazar Aaj Phnchi To AB Ahista Ahista Parhen Gay Yeh Poetry Coz Yakeenan Achi Ho Ge .. :)

Sehra
08-15-2011, 12:14 AM
Loving

M A H i
08-20-2011, 09:15 PM
http://img402.imageshack.us/img402/772/dilbhiekzidpe.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/402/dilbhiekzidpe.jpg/)



Meri zindagi bhi meri nahi,
Ye hazaar khaanon main batt gai,
Mujhe aik mutthi zameen de,
Ye zameen kitni simatt gai,

Teri yaad aaye to chup rahon,
Zara chup rahon to ghazal kahon,
Ye ajeeb aag ki bael thi,
Mere tan-badan se lipatt gai,

Mujhe likhne wala likhen bhi kia,
Mujhe parrhne wala parrhe bhi kia,
Jahaan mera naam likha gaya
Wahin roshni ulatt gai,

Na koi khushi na koi malaal hai
k sabhi ka aik sa haal hai,
Tere sukh k din bhi guzar gaye,
Meri dukh ki raat bhi katt gai,

Meri band palkon pe toott k
Koi phool raat bikher gaya,
Mujhe siskiyon ny jaga dia,
Meri kachhi neend uchatt gai...

M A H i
08-20-2011, 09:20 PM
Garz tark-e-ta'aluq koi chara bhi nahi tha
Bin us k mager apna guzara bhi nahi tha

Daa'way to sabhi ko thy wafadari k, lekin,
Ham dooby to tinkay ka sahara bhi nahi tha.

Wo shakhs rag-o-pay mein uterta hi gaya youn,
Jesy k mujhy khud pe ajaara bhi nhi tha...

Duniya se to khair apna gila hi nahi banta,
Is dil ko mager ranj tumhara bhi nahi tha

Lamhat-e-firaq a'ay khar'ry thy kiu abhi se,
Ham ne to abhi waqt guzara bhi nahi tha

Mein dil khol k rakhta, to kis aagy?
Yaahan mujh sa koi dard ka mara bhi nahi tha

DiE
08-20-2011, 09:23 PM
ahan zabardast thread

mai nai to aaj dekhi hai ye thread

superb

M A H i
08-20-2011, 09:24 PM
Hum ajab musaafir-e-shauq thay jo chalay to chaltay chalay gaey...

Kisi aab-e-ju ki sadaa pay bhi kisi rastay mein rukay nahe...

Kaii aur ehl-e-talab milay mujhay raah-e-shauq mein ham qadam...

Jinhain ker raha tha talaash main, wohi laug mujh ko milay nahe...

M A H i
09-04-2011, 02:39 PM
http://img202.imageshack.us/img202/8894/aloneinlovelips31000.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/202/aloneinlovelips31000.jpg/)



Be-karaan tanhaaiyun ka
Silsila reh jaayega

Terey merey darmiyaan bas
Ek Khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey
Dhoop ke sailaab mein

Aur koi paaniyoun mein
Jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar,
Aisa safar darpesh hai

... Raasta kat bhi gaya tou
Faasila reh jaayega

Laug so jaayenge
khaamushi ki chadar ordh ker

Chaand sooney aanganoun mein
Jaagta reh jaayega

Shaam
09-04-2011, 02:43 PM
goos
tfs

M A H i
09-04-2011, 02:45 PM
Dard Kii Baarish Sahi Maddham
Zaraa Aahistaa Chal
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam
Zaraa Aahistaa Chal

Tere Milane Aur Phir
Tere Bichhar Jaane Ke Beach
Faasalaa Rusvaai Kaa Hai Kam
Zaraa Aahistaa Chal

Apane Dil Hi Mein Nahin Hai
UsKi Maharuumi Ki Yaad
Uss Ki Aankhon Mein Bhi Hai
Shabanam Zaraa Aahistaa Chal

Koi Bhii Ho Ham-Safar .......
Na Ho Khush Is Qadar
Ab Ke Logon Mein
Wafaa Hai Kam Zaraa Aahistaa Chal

Shaam
09-04-2011, 02:46 PM
okkk


hmm acha hai

intikhaab

M A H i
09-04-2011, 02:50 PM
Thanks again,
Keep visiting

M A H i
09-04-2011, 02:53 PM
Khuwabon Ki Kirchiyan
Samet,tay Samet,tay
Ek Lemhay K Liye
Mera Dil Chaha

K

Mian Bhi Inhin
Ki Terha
Tot Kar

Hazaron Tukron
Main Bikhar Jaon
Our Koi Mujy
Taa Hiyaat Bhi

Mukamil Na Kar Skay !!!

M A H i
09-04-2011, 02:58 PM
Maut ki haqeeqat aur..
Zindagi ko sehney ki...
Behs gou purani hai...
Phir b ek kahani hai..
Kya kabhi hawaen bhi...
Dastras mein rhti hain...
Kya kabhi sadaaein bhi...
Kuch palat k aati hain...
Aansu'on k drya ko...
Ek din utrna hai...
Khwahishon ko mrna hai...
Waqt ko guzrna hai!!!

Shaam
09-04-2011, 03:04 PM
: ( ok lolz

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
09-05-2011, 03:07 PM
Hmm .. Waqt kO GuzranA hAi .. V True :)

M A H i
09-05-2011, 06:36 PM
Thanks poray intekhaab mein se sirf last one per comment k liye Sim...

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
09-05-2011, 10:25 PM
lOlzZ .. Ab Ahista Ahista Sari Poetry Parhun Ga To Comment Krta JaOn Ga Na .. Aj Last Wali Parhi To Us Pe Kar Dia .. :)

*~FaLaK~*
09-14-2011, 12:10 AM
Maut ki haqeeqat aur..
Zindagi ko sehney ki...
Behs gou purani hai...
Phir b ek kahani hai..
Kya kabhi hawaen bhi...
Dastras mein rhti hain...
Kya kabhi sadaaein bhi...
Kuch palat k aati hain...
Aansu'on k drya ko...
Ek din utrna hai...
Khwahishon ko mrna hai...
Waqt ko guzrna hai!!!

Bohat Zabardast...!!

Miss Habib
09-14-2011, 09:13 AM
Nice one Shaam
Rah ro-e-shehr-e-fana hon teray kis kaam ka hun
ik bujhta sa dia hun teray kis kaam ka hun

To rafaqat k Liay kisi aur ko chun lay
Main to khud aabla pa hun teray kis kaam ka hun

Tujh ko darkaar hain phoolon k mehaktay saaye
Main to sehraa main khara hun teray kis kaam ka hun

Ay parastaar-e-gul-e-tar tera rasta taktay taktay
Shaakh pe sookh gaya hun teray kis kaam ka hun

Tu bhee auron ki tarha mujh say kinara kar lay
Saari duniya say bura hun teray kis kaam ka hun?


bohat zabrdst Mahi

Miss Habib
09-14-2011, 09:14 AM
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray

meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray

mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray

kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray

main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray

mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray

tasawor ban gia tasveer aakhir aik din
isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshaat thay meray

really great Mahi
tumhara intikhab waqai lajawab he

Miss Habib
09-14-2011, 09:19 AM
Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte
To shayad hum bhi apna rasta tabdeel kar layte …

Agar hum waqae kam hosla hotay mohabat mein
Marz bharne se pehlay dawa tabdeel kar layte …

Tumharay sath chalne per jo dil razi nahi hota
Bohat pehlay hum apna faisla tabdeel kar layte…

Tumhari tarah jeenay ka hunar ata to phir shayad
Makan apna wohi rakhtay pata tabdeel kar layte…

Judai bhi na hoti zindagi bhi saha'l ho jati
Jo ek dusray se masla tabdeel kar layte…

Bohat dhundla gaya hai yaadoon ki rim jhim mein dil sada
Woh mil jata to hum bhi aaina tabdel kar layte…

bohat zabrdst Mahi

Miss Habib
09-14-2011, 09:22 AM
Kisi k haath say nikla hoa wo teer hon main
Hadaf ko choo na saka or kamaan say bhee gaya


bohat Aa'alaa

Miss Habib
09-14-2011, 09:26 AM
Amal ko tolnay walay baray darVaish hotay hain
Khmoshi bolnay walay baray darvaish hotay hain

Yahan par jhoot palta hay, yahan sab jhoot kehtay hain
Yahan sach bolnay walay baray darvaish hotay hain

Zamana barf ki sil ki tarha jab sard par ja'ay
to uss par khoulnay walay baray darvaish hotay hain

Wo darvaishi jo kohna umr main aa'ay, bhali laikin
jawani rolnay walay baray darvaish hotay hain

Anaa'on, nafrato'n, Khud gharzio'n kay thehray pani main
Muhabat gholnay walay baray darvaish hotay hain


bohat khooob

Miss Habib
09-14-2011, 09:30 AM
http://img29.imageshack.us/img29/7682/wohkitneyhaseenlamheyth.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/29/wohkitneyhaseenlamheyth.jpg/)



Main jin halaat say guzra hun un halaat main aksar
Bahut masoom, bahut baawasf pyaray rooth jatay hain

kia hi baat he Mahi
zabrdst

Miss Habib
09-14-2011, 09:48 AM
Wo shakhs rag-o-pay mein uterta hi gaya youN,
Jesy k mujhy khud pe ajaara bhi nhi tha...

Duniya se to khair apna gila hi nahi banta,
Is dil ko mager ranj tumhara bhi nahi tha

Mein dil khol k rakhta, to kis aagy..........?
Yahan mujh sa koi dard ka mara bhi nahi tha


bohat hi zabrdst Mahi

Miss Habib
09-14-2011, 09:55 AM
http://img402.imageshack.us/img402/772/dilbhiekzidpe.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/402/dilbhiekzidpe.jpg/)



Meri zindagi bhi meri nahi,
Ye hazaar khaanon main batt gai,
Mujhe aik mutthi zameen de,
Ye zameen kitni simatt gai,

Mujhe likhne wala likhen bhi kia,
Mujhe parrhne wala parrhe bhi kia,
Jahaan mera naam likha gaya
Wahin roshni ulatt gai,

Na koi khushi na koi malaal hai
k sabhi ka aik sa haal hai,
Tere sukh k din bhi guzar gaye,
Meri dukh ki raat bhi katt gai,




really great Mahi

Miss Habib
09-14-2011, 09:59 AM
thank you so much Mahi
apni collection share karne kaa
humein itni zabrdst poetry read karne ko mili
once again thanksss

M A H i
09-14-2011, 06:01 PM
Thanks for replied after read it,Miss!

Aslam
09-18-2011, 12:59 AM
Welcome To
Ιήtaκhααβ -ε- Μαh!


M i z a a j

Nazar ka apna mizaaj thehra
Jigar ka apna mizaaj thehra
Safar ka apna mizaaj thehra
To ghar ka apna mizaaj thehra
Hum...Safar kay rahay
na ghar kay rahay
Hamara apna mizaaj thehra

Hamari Mei ka mizaaj apna
Hamari lae ka mizaaj apna

Hamari aankhoon kay khuwaab apnay
Dard apnay azaab apnay
Meray lahoo rang gulaab apnay
Sawaal apnay, Jawaab apnay

Hamaray aangan main chalnay wali
HAWA ka apna mizaaj thehra

Hamaray seenay main jalnay wali
WAFA ka apna mizaaj thehra

Kisi ki choukhat pay jhuknay wali
ANAA ka apna mizaaj thehra

Hamaray sajdoon ko gin’nay walay
KHUDA ka apna mizaaj thehra

Ajab riwajoon, Ajab mizajoon kay iss nagar main
Tumhara apna mizaaj thehra, Hamara apna mizaaj tehra : )


http://img835.imageshack.us/img835/1549/229064ue22xqsskq.gif (http://imageshack.us/photo/my-images/835/229064ue22xqsskq.gif/)


Mahi Ye Shair Kiu Na Hon Mouti Say Aabdaar
Is Fan Mein Ki Hai Main Nay Bohat Dair Jaan-Kani

http://img835.imageshack.us/img835/1549/229064ue22xqsskq.gif (http://imageshack.us/photo/my-images/835/229064ue22xqsskq.gif/)


buht khuuub........

P A L
09-18-2011, 05:18 PM
ek page parha hai Miss Mahi
kuch ashaar waqai bohat achey hain
zoq acha paya hai aap ne .

M A H i
09-18-2011, 09:38 PM
http://i60.tinypic.com/2i1f8z5.jpg
Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay

Andaaz badal lena,Awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main,Atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye,Raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna,Aehbaab badal lena

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay

Raasty main agar milna,Nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to,Kat'ra k nikal jana

Har ek say juda rehna
Har ek say khafa rehna
Har ek ka gila karna

Jaaty hoye raahi ko
Manzil ka pata day kar
Rasty main rula dena

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay

M A H i
09-18-2011, 10:05 PM
http://img190.imageshack.us/img190/858/yellownikaab.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/190/yellownikaab.jpg/)

Ek pathar peh bana di gayi sourat meri
Is se barh kar na lagi shehar main qeemat meri

Aaj ghabra kar main phir ghar se nikal ayi houn
Aaj phir raas na ayi mujhe qurbat meri

Waqt k sath badalna to bohut asaan tha
Mujh se har waqt mukhatib rahi geyrat meri

Raat ki gard mere rukh peh jami hai yaroo
Dhoup nikly to zara dekhna rangat meri

Shaam
09-18-2011, 10:55 PM
: )
zabardast Mahi

Aslam
09-19-2011, 01:16 AM
Darya-e-yaad hum ne utterne nahi diya

Us naam wala phhool bikherne nahi diya

Hum ko na kerni ayee bsar saleeqay se zindagi

Aur zindagi ke shoq ne marne nahi diya

Kachhe ghad'ey ka kachha sahaara na dhoondiye

Is ne kisi ko paar utterne nahi diya

Jab us ko bhoolna hai to itna bhi rakh kiu

Dil ne uss gali se phir guzerne nahi diya

Woh qatra qatra dil peh baraste hain roz-o shab

Jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya

Ek a'as hai keh khwahishain baandhi hain jis ke saath

Ek khuwaab hai jis ko bikherne nahi diya

Umdaaa o laajawaab..........

yaha to kamal ke shayar hain forum main:D

Aslam
09-21-2011, 01:59 AM
Thanks Owi


Ab naye saal kii mohalat nahi milane waali
Aa chuke ab to shab-o-roz azaabon waale

Ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaan bolaty hain
Ab kahaan loog muhabbat ke nisaabon waale

Zinda rahane ki tamannaa ho to ho jaate hain
Faakhtaaon ke bhii kirdaar uqaabon waale

Na mere zakham khile hain na tera rang-e-hinaa
Mausam aaye hii nahi ab ke gulaabon waale

Buht kamaal ka likha app ne.......... :thumbsup:

M A H i
09-21-2011, 12:29 PM
Thanks Shaam & Aslam for liking my collection!

http://img833.imageshack.us/img833/5329/break2cup2cemotions2clo.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/833/break2cup2cemotions2clo.jpg/)

Galiyon mein kaisa shor tha?
kiu bheer si maqtil mein thi?
Kia wasf us shayir mein tha?
kia baat us pagal mein thi?

Aisa sitam kia ho gaya
ek raahgeer tha,kho gaya
Phir zindagi ki shaam thi
aur shaam bhi jungle mein thi

Ki kia hua,chalti rahi
yeh lo'u magar jalti rahi
Kia zoor us andhi mein tha?
kia taab us mashal mein thi?

Shola ba dil,aatish bajaan ,
phirta raha woh be-amaan
Warna saba zulfon mein thi
warna ghata kajal mein thi,

Tarsi hui ankhon mein,
kin kin sahilon ke khuwaab thay
Par kashti-e-umr-e-rawaan
haalaat ki daldal mein thi,

Khil’att ne awaaze kasey,
taane diye,fatwe jarre
Woh sakht jaan hansta raha,
go khud kushi pal pal mein thi

Apni kasheed-e-jaan se hi,
peeta raha,jeeta raha
Nasha kahan saghar mein tha?
masti kahan bottle mein thi?

M A H i
09-21-2011, 12:52 PM
Ab yeh sochon tu bhanwar zehen mein par jatay hain
Kaise chehray hain jo miltay hi bichar jatay hain

Mosam-e-zard mein ik dil ko bachaon kaisay?
Aise rut main to ghanay pair bhi jhar jatay hain

Soch ka aaina dhundla ho tu phir waqt ke saath
Chand chehron ke khad-o-khaal bigar jatay hain

Shidat-e-gham main bhi zinda hon to hairat kaisi?
Kuch diye tundi hawaon say bhi lar jatay hain

Woh bhi kya log hain MOHSIN jo wafa ke khatir
Khud tarasheeda asoolon pe bhi aar jatay hain

M A H i
09-21-2011, 01:09 PM
http://i62.tinypic.com/2rgkynm.jpg


Mai Paarsa b nahi aur Main Bura b nahi
Suraag-e-Manzil- e-Janaan Mujhe Mila b nahi

Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Main Juda b nahi
Tamam Umar chala Main kaheen Ruka b nahi

Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diyaa b nahi

Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
Zabaan-e-Haal se Main ne to kuch Kaha b nahi

Main kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
09-21-2011, 04:46 PM
Thanks Shaam & Aslam for liking my collection!

http://img833.imageshack.us/img833/5329/break2cup2cemotions2clo.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/833/break2cup2cemotions2clo.jpg/)

Galiyon mein kaisa shor tha?
kiu bheer si maqtil mein thi?
Kia wasf us shayir mein tha?
kia baat us pagal mein thi?

Aisa sitam kia ho gaya
ek raahgeer tha,kho gaya
Phir zindagi ki shaam thi
aur shaam bhi jungle mein thi

Ki kia hua,chalti rahi
yeh lo'u magar jalti rahi
Kia zoor us andhi mein tha?
kia taab us mashal mein thi?

Shola ba dil,aatish bajaan ,
phirta raha woh be-amaan
Warna saba zulfon mein thi
warna ghata kajal mein thi,

Tarsi hui ankhon mein,
kin kin sahilon ke khuwaab thay
Par kashti-e-umr-e-rawaan
haalaat ki daldal mein thi,

Khil’att ne awaaze kasey,
taane diye,fatwe jarre
Woh sakht jaan hansta raha,
go khud kushi pal pal mein thi

Apni kasheed-e-jaan se hi,
peeta raha,jeeta raha
Nasha kahan saghar mein tha?
masti kahan bottle mein thi?

Wahh .. bOhat Aa'la Mahi .. :) Chay K Cup K Sath Ap Ki Shairing Ne Maza Or B Barha Dia .. Bohat KhOobsurat Alfaaz .. :) Jeeti Raho .. :)

Aslam
09-22-2011, 12:28 AM
Raston ki Marzi hai

Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye

Raston ki Marzi hai

Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain

Raston ki Marzi hai

Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain

Raston ki Marzi hai

Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain

Raston ki Marzi hai.........

zabardasttt...............

Owi
09-22-2011, 01:41 PM
Just Awsum Collection Mahi
Keep Shairing

M A H i
09-22-2011, 08:23 PM
Thanks All.
Keep Visting.

Aslam
09-23-2011, 01:23 AM
Many thanks for visiting my thread Owi & Shayaan
Keep visitng...

Phir aaj jee main hai afsana-e-bahaar kahain…
Chaman ko daar kahain aur gul ko khaar kahain…

Teri wafa ka bharam hai per jee to chahta hai…
k raaz-e-husn sar-e-bazam aashikaar kahain…

Dil-e-udaas ko thori see a'as mil jaye…
To sham-e-hijr ko hum shaam-e-intezaar kahain…

Teri nazar ne chupaya hai ehl-e-dunya se…
Wagrna log mere dil ko daaghdaar kahain…

Tumhari deed ghazab hai ke apni haalat ko…
Kabhi qaraar kahain aur kabhi khumaar kahain…

Nazar k teer hain chookay pe farz-e-aashiq hai…
k aaftaab, isay dil ke aar paar kahain…


Buht aaallaaa........

M A H i
09-23-2011, 02:20 PM
Thanks Asalam warq ba warq perhne k liye : )

Aslam
09-25-2011, 07:12 PM
http://img62.imageshack.us/img62/2213/18484420525959615614614.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/62/18484420525959615614614.jpg/)


Chupke chupke gham khushi k bhes mein daakhil hua,
Sai'karon kaanty chubhy,jab ek gul haasil hua!

Khaak'e paa hun,khaak mein paida hua,pal b gaya,
Kuch buzurgon ki dua,kuch aap he qaabil hua!

Phir uthi hai maouj koi us nigaah-e-naaz mein,
Phir wahaan dil doob jaayega,agar gaafil huaa!

Maangane se kia mila? kis waasate arz-e-wafaa?
Dil agar aaya kisi pe,khud hi daryaa dil huaa!

Kis liye itna gumaan? kesy yeh tarz-e-guftugo?
Kiu tera har lafz jaise nashtar-e-qaatil hua?

Zeest k pan'nay palat'taa he raha,parh'ta raha,
dil raha jaahil ka jaahil,yeh nah par qaamil hua

Lajawaaab........

Aslam
09-25-2011, 07:15 PM
Thanks Asalam warq ba warq perhne k liye : )

aik baat mujhe samaj mai nahi aarahi ke yaha members apni khud ki likhi poetry share kar rahe hain ya apni pasand ki.........main ne ye shaam se bi pocha par reply nahi aya

M A H i
09-26-2011, 06:07 PM
aik baat mujhe samaj mai nahi aarahi ke yaha members apni khud ki likhi poetry share kar rahe hain ya apni pasand ki.........main ne ye shaam se bi pocha par reply nahi aya

poetry categories mein sirf ''OWN POETRY'' mein khud ki likhi hoi shayari share kerte hain baqi sab Member's apne mijaaz aur pasand k moutabiq jo samjh ata hai share kerty hain...

yeh sab collection mera nahi, meri pasand hai.
Shaam ki kaafi poetry khud ki likhi hoi hoti hai.

DeV!L
09-26-2011, 08:46 PM
Great Sharing Mahi .. Keep It up .. Sorry For Late Visting

M A H i
09-27-2011, 06:00 PM
its ok
Thanks for visting here DeVil

Shaam
09-27-2011, 08:54 PM
lajwab.

Aslam
09-28-2011, 10:53 PM
aapka to clear hogaya baqion alag alag pouchna parega.........:D

M A H i
09-29-2011, 01:09 PM
aapka to clear hogaya baqion alag alag pouchna parega.........:D

aray nahi na
sirf OWN POETRY SECTION mein apni likhi hui shayari share hoti hai.
anyways...thnx for visiting.

M A H i
09-29-2011, 01:11 PM
Koi dawa na de sake, mashwara dua diya
charagaron ne aur bhi dil ka dard barha diya

Zauq-e-nigah k siwa shauq-e-gunah k siwa
mujhko Khuda se kya mila mujhko buton ne kya diya

Thi na khizan ki rok-tham daman-e-ikhtiyar mein
hamne bhari bahar mein apna chaman luta diya

Husn-e-nazar ki abaru sanat-e-brahaman se hai
jisko sanam samajh liya usko Khuda bana diya

D'aa'g hai mujhpe ishq ka mera gunah bhi to dekh
uski nigah bhi to dekh jisne ye gul khila diya

M A H i
09-29-2011, 01:19 PM
Woh ek faasla, darmiya tha hamaare
Jo na tha mukammal, wo kaamil hua'a hai

Bhatakte bhatakte, yeh lagne lagaa hai
Ye rasta hi ab meri manzil hua'a hai

Ye hai raaz-e-ulfat, ya taqdeer meri
Muhafiz hee ab mera qaatil hua'a hai

Kiya jurm-e-muhabbat ka dard_hai khudaara
Sazaa banke wo mujhko haasil hua'a hai

Shaam
09-29-2011, 03:17 PM
Husn-e-nazar ki abaru sanat-e-brahaman se hai
jisko sanam samajh liya usko Khuda bana diya

(y)

........

Aslam
09-29-2011, 06:23 PM
Ajab halat thay meray ajab din raat thay meray
magar mai mutamien tha is liyey, tum saath thay meray

meray zar k talabgaron ki nazrain is liye uthti theen
k lakhon ungalian theen aur hazaron hath thay meray

mai ek pathar ka gard alood but't tha un k mandar mai
na dil tha meray seenay mai na kuch jazbaat thay meray

kisi sy aur kia taied ki umeed mai rakhta
wohi khamoosh thay jo mehram-e halaat thay meray

main jin sholon mein jalta tha sayad tum bhi na samjhay
mera dil mukhtalif tha, mukhtalif sadmaat thay meray

mujhay mujrim bana k rakh dia jhootay gawahoon nai
sabhi rad ho gayey jitnay ilzamaat thay meray

tasawor ban gia tasveer aakhir aik din
isi ka khoaf tha mujh ko yehi khadshaat thay meray

Zabardastttt..............keep it up M A H i

Aslam
10-02-2011, 04:29 PM
Falak Deta Hai Jinko Aish Unko Gham Bhi Hote Hain
Jahaan Bajte Hain Naq’qare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain



Gile Shiqwee Kahaan Tak Honge Aadhi Raat To Guzri
Pareshaan Tum Bhi Hote Ho Pareshaan Ham Bhi Hote Hain



Hamaare Aansuon Ki Aabdaari Aur Hi Kuch Hai
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain



Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain



Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain

buht allaa.........

M A H i
11-04-2011, 01:38 PM
http://i58.tinypic.com/2aaero4.jpg

Wo humsafar tha magar
Us se hum-nawayi na thi
k dhoop chaon ka aalam raha
Judai na thi...

Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy
Jab tak hmary paas rahy , hum nahi rahy
Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha
Shikasta dil thay
Musaafir shikasta paayi na thi...

Adawatein thi
Taghaful tha
Ranjishen thi ,Magar!
Bicharne wale main sab kuch tha, Magar!
Be-wafai na thi...

Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi wo
jo kabhi kisi ko Sunayi na thi!!!

Kisay pukaar raha tha wo doobte huey din
Sada to ayi thi lakin koi
Duhaayi na thi...

kabhi ye haal k dono main yak-dili thi bhout
kabhi ye marhala jaise k
Aashnayi na thi...: )

M A H i
11-04-2011, 01:55 PM
Maray Chara'Gar Tujhay Kya Khabar

K Yeh Dard Kitna Ajeeb Hai
Na Sakon-E-Dil, Na Qarar-e Jaan
Na Hi Neend Mujh Ko Naseeb Hai
Yeh Ajab Hy Qissa-e Zindagi
Wo Mila To Rah-eHayat Main
Mujhay Wo Nashat-O-Khusi Mili
K Sakon, Farhat-O-Itminan
Mari Dharknon Main Sama Gaye
Wo Jo Dard Ankh Main Qaid Thay
Maray Aansuon Main Naha Gaye
Mujhay Har Qadam Pe Guma'n Huwa
K Badal Rahi Hain Haqeeqtain
K Bikhar Rahi Hain Musaftain

Per Us K Bad Yeh Kya Howa
Wo Gya To Cheen Key Ley Gya
Mara Chain, Sabr-O-Qarar B
Mary Rahtien, Mari Chahtein
Mari Zindgi Ki Bahar B
Mara Likhna Aur Mara Sochna
Mara Husn, Mara Nikhar B
Main Ny Hasna Khailna Chor Kar
Issi Ghum Ko Dil Sy Laga Liya

Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar

K Ajab Hain Ishq K Mamlay
Na Hi Mari Basat Hy Iss Qarar
K Main Us Ko Dil Sy Nikal Kar
Kisi Aur Dar Ka Gada Banon
Na Yeh Taray Bass Ki Hi Bat Hai
K Maray Dard Ki Tu Dava Kary
K Maray Dard Ka Jo Ilaj Hai
Teri Puhach Teri Basat Sy
Teri Sooch Sy B Hai Mawra

To Kahan Sy Lao Gy Dhond Kar
Maray Chain, Sabr-O-Qarar Ko
Tujhay Keh Rha Hon Main Chara Gar
Maray Zakham Pe Yeh Dava Na Rakh
Maray Dard Ki Yeh Dava Nhi
Main Mareez-e Ishq Hon Isliye
Mara Theek Hona Mahaal Hai
Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar……!!!

A L i
11-04-2011, 01:57 PM
first of all very sorry for late coming

abhi sirf pehla page parha hai bahut khobsorat ghazals hain Mahi

A L i
11-04-2011, 02:00 PM
To Kahan Sy Lao Gy Dhond Kar
Maray Chain, Sabr-O-Qarar Ko
Tujhay Keh Rha Hon Main Chara Gar
Maray Zakham Pe Yeh Dava Na Rakh
Maray Dard Ki Yeh Dava Nhi
Main Mareez-e Ishq Hon Isliye
Mara Theek Hona Mahaal Hai
Maray Chara Gar Tujhay Kya Khabar……!!!



Excellent

Owi
11-04-2011, 02:39 PM
Hmmm Zaberdast Mahi
Thankx For Shairing !

M A H i
11-04-2011, 02:39 PM
Many Thanks ALi
Thamks Owi
keep visiting : )

Owi
11-04-2011, 02:57 PM
Sab Hi La-jawaab Hein (Y)

Emaan Chaudhery
11-05-2011, 05:28 PM
Really NIce ..

M A H i
11-09-2011, 02:07 PM
http://img228.imageshack.us/img228/5162/27696611257992216405813.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/228/27696611257992216405813.jpg/)

Sab apni zaat ke izhaar ka tamasha hai
Wagar na kon yahan paaniyon pe chalta hai

Tamaam umar ki naghma-garii ke baad khula
Ye shahar apni samaat main sang jaisa hai

Ussay bhi dhang na aaye ga baat kerny ka
Mujhay bhi arz-e-hunar ka kahan saleeqa hai

Mera wajood hai or be-shumaar aankhain hain
Ye saara shahar hai or uss main ek chehra hai

Chatton se dhoop to ruktii hai bukh taltii nahin
Talaash-e-rizq main ghar se nikalna perta hai

Kaha nahin tha tujhay iss ke saath saath na chal
Hawa ke saamnay kis ka chiraagh jalta hai?

M A H i
11-09-2011, 02:11 PM
IK tmasha ye zeest thehri...!!!

Wajood apna na rooh apni,
Ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil lagi mein sakoon paya,
Na ashqi mein qarar paya,

Na wasal lamhy he raas aye,
Na firaaq hi hum guzaar paye,

Ajeeb chahat k marhaly hain,
Na jeet paye na haar paye,

Na teri yadoon ki dhund utri,
Na dil k daman ko jhaar paye,

Na ankhen khawab ko dhoond paain,
Na khwab ankhon ko dhund paye,

IK tmasha ye zeest thehri...!!!

M A H i
11-09-2011, 02:23 PM
http://img266.imageshack.us/img266/5995/brokenmirrorbyilovethat.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/266/brokenmirrorbyilovethat.jpg/)


http://i60.tinypic.com/14y6g5w.jpg


Aaina dekha to mera chahra badal gaya

Dekhte dekhte kya kya badal gaya
Baadal meri zameen pe aakar yun thum gaye
Aayi zara jo dhoop to saaya badal gaya
Uljhi rahi sawalon main jeene ki har khushi
Jab bhujh gaye diye to mili hai roshni
Aankhon main neend aayi to sapna badal gayaa

Aaina dekha to mera chehra badal gayaa

Qaid kiye the khwaab kisi ne neend kisi ne haari
Haar gayi hai haar kahin par jeet kahin pe haari
Tarah tarah se khoob waqt bhi bhes badal ke ayaa
Mili mujhe na dhoop aaj ki mila na kal ka saaya
Manzil kareeb aayi to raasta badal gayaa

Aaina dekha to mera chehra badal gaya

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
11-10-2011, 02:34 PM
Ek Tamasha Yeh Zeest Thehri .. (y) Brilliant Mahi :)
BoHAt KhOObSurat Intekhab Kia .. :)

- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
11-10-2011, 02:39 PM
Ek Tamasha Yeh Zeest Thehri .. (y) Brilliant Mahi :)
BoHAt KhOObSurat Intekhab Kia .. :)

Miss Habib
11-21-2011, 12:07 PM
bohat khubsoorat mahi
thankss for sharing

M A H i
11-23-2011, 10:24 PM
http://i61.tinypic.com/flvash.jpg


Chalo kuch dair Hansty hain

Muhabbat per Inayat per
k Bay-bunyad Batain hain
sabi Rishte sabhi Naaty
Zarorat ki hain Ejaadain
kahin Koi nahi merta
kisi k Wasty Jana
k sab hain pheeer Lafzon ka
hai sara Khail harfon ka
na hy Mehbob koi b
sabihi jumly se Qasty hain

Chalo kuch dair Hasty hain

usi ko Yaad kerty hain
jisy hum Piyaar kerty hain
k lena Sans bin jis k
hamain ik Jurm lagta tha
k sang jis k her eik lamha
Khush-o-khuram sa lagta tha
jisy hum Zindage kehty
jisy hum Shairi kehty
Ghazal ka Qafia tha jo
Nazm ka jo k Unwan tha
wo Lehja jab Badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqt sy Aagy chalta tha
bala ka Taiz lagta tha
jo Saya ban k rehta tha
Juda ab us k Raasty hain

Chalo kuch dair Hasty hain

M A H i
11-27-2011, 04:42 PM
Merey Hamsafar merey Humnawa
Mujhey Dost bun kar Dagha na dey
Mein hoo'n Dard-e-Ishq say jaa'n va lub
Mujhey Zindagi kee Dua'a na dey

Merey Dagh-e-Dil say hey Roshni
Isshi roshni say hey Zindagi
Mujhey darr hey merey Chaaragar
Yeh charaagh Tuu hee Bujha na dey

Mera uzm ithna Buland hey k
Paraaye sholoo'n ka Darr nahee
Mujhey khauf Aathish-e-Gul say hey
Ye kaheen Chaman ko Jala na dey

Mujhey chorr dey Merey haal per
Tera kya Bharosa ay ChAaragar
Ye teri Nawazish-e-Muktassar
Mera Dard aur Bhara na dey

Woh Uthey Hain Leke Hom-o-Subu
Arrey O 'Sanam Kahan Hai Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm Mein
Koi Aur Haath Badha Na De

Miss Habib
11-28-2011, 11:58 AM
really nice mahi

Owi
12-05-2011, 03:48 PM
Chalo Kuch Dair Hanstay Hein
Zaberdast (Y)
Bohat Acha Intaykhaab Hai Mahi
Thankx For Shairing

M A H i
12-09-2011, 08:39 PM
Ye Dasht-e-Junoon

Ye Pagalpan

Ye peecha kerti Ruswai

Ye Ranj-o-Aalam

Yeh Hizn-o-Malaal

Ye Nala-e-Shab

yeh soz-e-kamaal

Dil main Kahin Benaam Chubhan

Aur Had-e-Nazar tak Tanhai

Hum Dasht-e-Junoon k Sodai

M A H i
12-09-2011, 08:54 PM
Hamaare bas main agar apne faisile hote
To hum kabhi ke gharoun ko palat gae hote

Qareeb reh ke sulagne se kitna behtar tha
Kisi maqaam pe hum tum bechar gae hote

Kabhi to rait ko hum mutheyon main bhar lete
Kabhi Hawaaon se apne makaalme hote

Hamaare naam pe koi charaagh to jalta
Kisi zabaan pe hamaare bhi tazkire hote

Hum apna koe alag raasta banaalete
Hamaare dilne agar hosile kiye hote

DeV!L
12-09-2011, 09:11 PM
Awesome can i copy paste :P if u dont Mind,,
i will read sooon really solid thanks for sharing your deeply ..... enough :P

Miss Habib
12-20-2011, 10:52 AM
Hum apna koe alag raasta banaalete
Hamaare dilne agar hosile kiye hote

bohat zabardst Mahi

Mf Great Power
12-20-2011, 11:13 AM
nice thread

M A H i
12-23-2011, 09:15 PM
http://i60.tinypic.com/2ivnyi8.jpg

M A H i
12-24-2011, 09:46 PM
Ab Dil Ko Sanbhalein k Gham-e-Dil Ko Sanbhalein,
Fursat Nhi Itni Bhi k Do Ashk Baha Lein.

Be-Taab Ho Tum Bhi To Judai mein Kisi Ki,
Mumkin Ho To Aa Jao Shab-e-Hijr Mana Lein.

Tum Aur Karo Zulf-E-Pareshan Ko Pareshan,
Hum Bhi Dil-e-Be-Taab Ko Deewana Bana Lein.

Bethay Hain Is Andaaz Se May-Kash Sar-e-Mehfil,
Saqi Ka Ishara Ho To Sagar Ko Uchalein.

Aey Ehl-e-Junon Aao k Veeran Hain Shab-O-Roz,
Ujrri Hui Mehfil Ko Phir Ek Baar Basa Lein . . .

M A H i
12-24-2011, 09:58 PM
Chalo Choro!
'' Muhabbat Jhoot Hai
Aihd-e-Wafa Ik Shugal hai Bey'kar Logoun Ka ''

"Talaab" Sukhey Huey patoun ka Bey Ronaq Jazeera Hai!
"khalish" Deemak Zada Uraaq Per Boseeda Satroun ka Zakhera Hai!
"khumar-e-Wasal" Tapti Dhoop key Senay Pey Urtey Badaloun ki Raegan Bak'shish!
"Ghubar-e-Hijrr" Sehra Mey Saraboun Sey Attey mosaam ka khamyaza!


Chalo Choro!
key Abb Tak Mein Andheroun ki Dhamak Mein Sanss ki Zarboon Pey
Chahat ki Bina Rakh ker Safar kerti Rahi Hongi,
Mujhey Ahsaas Hi kab Thaa
key Tum Bhi Mosamoun key Sath Apnay Pearhan key
Rang Badlo Ge!


Chalo Choro!
Woh Saray Khuwaab Kachi Bhur Bhuri Matti Kay Bay Qemat Ghronday They
Woh Saray Zaiqay Meri Zuban Par Zakham Ban Kar Jam Gaey Hoon Gey
Tumhari Unglyon Ki Naram Poren Pathron Par Naam Likhti Theen Mera' Lekan
Tumhari Ungliyan To Aadtan Yeh Jurm Karti Theen ...!


Chalo Choro!
Safar Main Ajnabi Logon Say Aesay Hadsay Sirzird Howa kartay Hain
. . . Sadyon Say


Chalo Choro!
Mera Hona Na Hona Ik Barabar Hai
Tum Apnay khado'khal ko Ainey Mein Phir Nikharney Do
Tum Apni Ankh ki Basti Mein Phir Sey Ik Naya Mosaam Utarney Do!


"Meray khuwaboun ko Marney Do"

Naee Tasveer Dekhoo
Phir Naya Maktoob Likhoo
Phir Naye Mosaam' Naye Lafzoun Sey Apna Silsila Joroo'
Meray mazi ki Chahat Raigaan Samjho!


''Meri Yadoun Sey Kachey Rabtey Toro''


Chalo choro!
'' Mohabbat Jhoot Hai'
Aihd-e-Wafa Ik Shugal Hai Bey'kar Logoun Ka ''

Jannat
12-25-2011, 11:16 AM
niceeee :)

Owi
01-05-2012, 08:33 PM
Very Nice Mahi

Miss Habib
01-11-2012, 12:46 PM
Chalo Choro!
Mera Hona Na Hona Ik Barabar Hai
Tum Apnay khado'khal ko Ainey Mein Phir Nikharney Do
Tum Apni Ankh ki Basti Mein Phir Sey Ik Naya Mosaam Utarney Do!


"Meray khuwaboun ko Marney Do"

Naee Tasveer Dekhoo
Phir Naya Maktoob Likhoo
Phir Naye Mosaam' Naye Lafzoun Sey Apna Silsila Joroo'
Meray mazi ki Chahat Raigaan Samjho!


''Meri Yadoun Sey Kachey Rabtey Toro''



bohat zabardst Mahi

M A H i
01-15-2012, 05:03 PM
'' Devtaa hai koi ham mein
Na Farishta koi

Choo ke mat dekhna
Har rang utar jaataa hai

Milne-Julne ka Saleeqa hai Zaroori ,,,Warnaa
Aadami chand mulaaqaaton mein mar jaataa hai! ''

M A H i
01-18-2012, 09:16 PM
http://i60.tinypic.com/10ihuee.jpg

'' Chalnay ka Housala nahi , Rukna Muhaal ker dala

ISHQ k iss Safar ny tou Mujhe Nidhaal ker dala ''

M A H i
01-18-2012, 09:18 PM
Pyar

Pyar bhi ajab shay hai

Iztaraaar mai muzamr

Inteshaar se aage

Ikhitiyar se bahir.....!!!

M A H i
01-31-2012, 12:13 PM
Zindagi ke Mailey main . . .
Khwaahishoun ke Railey main
Tum se kia kahain Jaanaan
is qadar Jhamailey main

Waqt ki Rawaani hai
Bakht ki Giraani hai
Sakht Be-Zameeni hai
Sakht Laa-Makaani hai
Hijr ke Samandar main
Takht or Takhtey ki
ek hi Kahaani hai
Tum ko jo Sunaani hai

Baat go Zara si hay
Baat Umer bhar ki hai
Umer bhar ki Baatain kab
Do Gharree main hoti hain
Dard ke Samandar main
An-Ginat Jazeerey hain
Be-Shumaar Moti hain

Aankh ke Dareechey main
Tum ne jo Sajaaya tha
Baat us Diye ki hay
Baat us Giley ki hay
jo Lahoo ki Khilwat main
Chor ban ke aata hay
Lafz ki Faseeloun par
Toot Toot jaata hai
Zindagi se lambi hai
Baat Rat-jJagey ki hai
Raastey main kaisey ho
Baat Takhliyey ki hai
Takhliyey ki Baatoun main
Guftugoo Izaafi hai
"PYAAR KARNE WAALON KO
..EK NIGAAH KAFI HAi!!"
ho sakey to Sun jaao
Ek Din Akeley main
Tum se kiya kahain Jaanaa'n
is Qadar Jhamailey main . . .

Poet: Amjad Islam Amjad

Miss Habib
02-01-2012, 11:07 AM
bohat khoob Mahi

jamal khan
02-06-2012, 09:25 PM
nice sharing

M A H i
02-09-2012, 04:24 PM
Hawa ko Hathkarri kis ne laga di hai???

Koi kab se dareechay se laga baitha,,,
kisi ki raah takta hai,,,
koi jhonka hi aa jaye,,,
aur us ko aa k batlaye,,,
Musafir kiu nahi aaya???
magar hai door tak ghambheer san'nata,,,
darakhton k tou paton mein bhi aahat tak nahi koi,,,
parinday sahmay sahmay,bay'sada,hairaan bethay hein,,,
koi tou aa k batlaye,,,

Hawa ko hathkarri kis ne laga di hai???

M A H i
02-09-2012, 04:31 PM
~ Lafzo'n ki Roshani ~

Tere Alfaaz ghor Andhere mein
Jugnu'on kee tarah Chamakte hain
iss Chamak mein Talaash kartaa hoo'n
apne Bhatkey hue Khayaalo'n ko
apne Khoye hue Wajood ko main

M A H i
02-09-2012, 04:33 PM
Nayaa Amrit
http://i62.tinypic.com/28rpr3r.jpg
Dawaao'n ki alamaari'yon se saaji
ek Dukaa'n mein
mareez'on ke anboh mein muzmahil saa
ek Insaan kharaa hai
jo ek Chouti si Sheeshii ke
seene pe likhe hue
ek ek Harf ko Gour se parh raha hai
magar is pe to ''Zehar'' likha hua hai
is insaan ko Kya marz hai
ye kaisi Davaa hai

M A H i
02-09-2012, 04:33 PM
http://i61.tinypic.com/20fleq.jpg


Faqat Itni Guzarish Thi,
Mujhe Kuch Roshni Dena...

Tumhen Kis Ne Kaha Tha ye,
Meri Basti Jala Dena...

Jisy Barish K Pani Main,
Baha Kr Muskraty The....

Mujhe Kaghaz Ki Wo Kashti,
Zara Phir se Bana Dena....

Tumhara Rasta Phir Umar
Bhar Thakny se Acha Hai...

K Tum Jany Sy Kuch Pahly ,
Mari Ankhen bhuja Denaa...

M A H i
02-09-2012, 04:34 PM
Ye lerrnaa aur jhagerrnaa to faqat,
Ek Bahaana hai...

Muhabbat tum say kernay ka...
Tumhay aankho main bernay ka...

Tumharaa naaam Jeppnay kaa....
Tumhay Baanho main bhernay ka...
Yeh lerrna or Jhagerraa to faqat ek Bahaana hai..

Tumhare Lab k sahil per , Mere Lefzo ki Lehro ka...
Teri aaankho ki jheelo main , Mere Yaado k Pehhray ka...
Tere Teqraar main perrhnaa mujhay ik Naam jaanaa sa...

Yeh lerrna ek bahana hai,
Faqat ye ek Behanaa hai...

M A H i
02-09-2012, 04:35 PM
http://i60.tinypic.com/27xkkeg.jpg

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Waada Nahi Karna
Ye Waaday Hum Ne Dekay Hain
K Aksar Toot Jatay Hain


Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Zid Bi Nahi Karni
Ye Zid Bi Hum Ne Deki Hai
K Saathi Choott Jatay Hain


Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Tohfa Nahi Dena
Ye Tohfay Hum Ne Dekay Hain
Bahut Majboor Kartay Hain

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Shikwa Nahi Karna
Ye Shikway Hum Ne Dekay Hain
DiL'on Ko Door Kartay

ample
02-24-2012, 10:33 PM
good one weldon

M A H i
03-02-2012, 03:41 PM
Teri ulfat k takazay bhi
ajab andaz k thy . … .

Iqrar alag,
takraar alag,
ta'zeem alag,
farmaan alag,

Jab tu chhor gya tb dekha
apni ankhon ka rang

Hairan alag,
pashemaan alag,
sunsan alag,
biyabaan alag. . … .

M A H i
03-02-2012, 03:48 PM
http://i58.tinypic.com/21ahmd3.jpg


Tum na mano Mager ye Haqeeqat hai
Ishq insan ki Zaroorat hai

kuch to Dil mubtala-e-Wehshat hai
kuch teri yaad Qayamat hai

jee rhi hoon is Aitmaad k sath
Zindagi ko Meri zaroorat hai

husn hi husn,jalway hi jalway
sirf Ehsaas ki Zaroorat hai

Us ki mehfil mein ja kr dekh
zindagi kitni Khoobsurat hai

Rasta kut hi jaye ga ''....''
Shoq-e-Manzil ager Salamat hai

M A H i
03-02-2012, 03:51 PM
Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai
Kal to Kal tha, Btao Aaj kaisa hai

Hamarey Shehr mein hen Mohabat ke Dushman
Tumaharey Shehr mein Btao Rivaaj kaisa hai

Os ki Awaz sun lon to hai Sakoon-e-Dil
Meray Gham ka Dekho, Elaaj Kaisa hai

Os ki Baten Bhool sakta nhi Kabhi
''......'' teri Awaz ka Mohtaaj Kaisa hai

DeV!L
03-02-2012, 03:51 PM
im printing your all copys, dont have time thats why im printing wheneva i will get the time i will read, but last one is realli special realli mahi ,
thank you so much sharing with us such a great words,:hug:

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
03-02-2012, 03:51 PM
so cute.....

life
03-02-2012, 09:10 PM
very nice

Miss Habib
03-03-2012, 01:12 PM
Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai
Kal to Kal tha, Btao Aaj kaisa hai

Hamarey Shehr mein hen Mohabat ke Dushman
Tumaharey Shehr mein Btao Rivaaj kaisa hai

Os ki Awaz sun lon to hai Sakoon-e-Dil
Meray Gham ka Dekho, Elaaj Kaisa hai

Os ki Baten Bhool sakta nhi Kabhi
''......'' teri Awaz ka Mohtaaj Kaisa hai

so beautiful Mahi:;shyy:

Miss Habib
03-03-2012, 01:15 PM
Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Waada Nahi Karna
Ye Waaday Hum Ne Dekay Hain
K Aksar Toot Jatay Hain


Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Zid Bi Nahi Karni
Ye Zid Bi Hum Ne Deki Hai
K Saathi Choott Jatay Hain


Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Tohfa Nahi Dena
Ye Tohfay Hum Ne Dekay Hain
Bahut Majboor Kartay Hain

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir
Shikwa Nahi Karna
Ye Shikway Hum Ne Dekay Hain
DiL'on Ko Door Kartay


bohat khoob

Miss Habib
03-03-2012, 01:16 PM
Ye lerrnaa aur jhagerrnaa to faqat,
Ek Bahaana hai...

Muhabbat tum say kernay ka...
Tumhay aankho main bernay ka...

Tumharaa naaam Jeppnay kaa....
Tumhay Baanho main bhernay ka...
Yeh lerrna or Jhagerraa to faqat ek Bahaana hai..

Tumhare Lab k sahil per , Mere Lefzo ki Lehro ka...
Teri aaankho ki jheelo main , Mere Yaado k Pehhray ka...
Tere Teqraar main perrhnaa mujhay ik Naam jaanaa sa...

Yeh lerrna ek bahana hai,
Faqat ye ek Behanaa hai...

zabardst

M A H i
03-03-2012, 04:56 PM
Thanks devil so sweet of u,
Thanks Life ,G.T
Miss habib Thank u so much for liking my poetry
(it always good to see your responce) per kiya he acha ho ager full poetry qoute kerne k bajaye just THANK button use kiya jaye hmmm ?

Owi
03-05-2012, 05:26 PM
Bohat Hi Zaberdast Intaykhaab Hai Mahi * * * * * * *
Samhaj Nahi Aa Raha K Kis Kis Kalaam Ki Taareef Karoon
Saara Hi Share Kiya Hua Kalaam Intayhaai Khoobsoorat Hai
Main Ummeed Kerta Hoon K Aap Aagay Bhi Is Hi Terhan K Khoobsoorat Kalaam Ko Hum Sab K Saath Share Karein Gi.

M A H i
03-07-2012, 11:55 AM
http://img214.imageshack.us/img214/7264/84500968.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/214/84500968.jpg/)

Thank you Owi for taking time....& appreciation
please keep on visiting. it's really encouraging

M A H i
03-10-2012, 11:36 AM
http://i.tinyuploads.com/nl8BmQ.jpg (http://www.tinyuploads.com/gallery/view/nl8BmQ)


Agar!!!
agar wo Badshah hota
to koi baat bhi hoti
suna hai badshahon ko
dain aisa koi nazrana
jo sab cheezon se barh kar ho
to apni badshahat he tak luta dete hain wo aksar


MOHABBAT
hai hamare paas


magar wo Badshah kab hai ?

M A H i
03-10-2012, 11:49 AM
Magar ye Zindagi ke highway per chalnay walay kab Samjhtey hain
Ghalat exit se murh jayien to Manzil Chhoot jaati hai
mujhe bhi ek exit Pehle murhney ki Azziyat hai
mere paish-e-nazr bhi ek un-deakhi musaafat hai
yahaan se loutna ya aur manzil tak Pahonch-pana
mere bas mein nahe Shayad
mein phir bhi ja rahi hoon, ek un-deakhy baya-baano mein
yahaan koi parinda hai na sayaa hai na paani hai
Musalsal Rayegaani hai...
yahaan kis ko Pukaaroon mein
ke ab apni saada bhi apney kaano'n mien nahe aati
balaa ki sargiraani hai...
yahaan koi bhi nahe Shaayad
mien kis se raasta Pooch'on
yahan to nau so giyarah(911) ki sahoolat bhi nahe haasil
mien Jis Duniya ki hoon us ki hakoomat bhi nahe haasil
bataa Katbi Sitaray! ye kahaan ki besabati hai
na mujh ko Chain partaa hai, na mujh ko Neend aati hai
.
.
.
Ghalat Exit se murh jaayien to Manzil Chhoot jaati hai

M A H i
03-10-2012, 12:09 PM
Masar'rat . . .

.
.
.

Darkhto'n ke neeche
koi zard patto'n, jalee konpalo'n
adhkhilee khushk kaliyo'n ki chaadar bichhaye
tera muntzir hai !

bataa kaun hai ye ?
jo in gung hontho'n, bujhee band aankho'n
jale sard haatho'n ke hote hue bhi
tera muntzir hai !

.
.
.
.
.

bataa kaun hai too ?
ki in zard patto'n, jalee konpalo'n
adhkhilee khushk kaliyo'n ki chaadar pe aksar
tere narm qadmo'n ki mohoom aahat
ubhartee hai phir doobtee hai ubhar kar

bataa kaun hai too ?
ki ye dil azal se tujhe jaantaa hai
tujhe teri aahat se pahchaantaa hai !!!

M A H i
03-10-2012, 12:30 PM
T A L A S H . . .

Udaas kamra hamari haalat pe hans raha hai
ghari ki suiyaan tarap tarap kar
zawaal-e-shab ko barha rahi hain
hum apne hisse k zakhm le kar
muheeb raahon main kho gaye hain
akaile pan ka azaab hum par utar raha hai
jo ho sake to talaash kar lo
guzarne waale har ajnabi se hamara poochho
hamein pukaaro k ham kahaan hain . . .

M A H i
03-10-2012, 12:34 PM
Kabhi dekha hai tum ne nisf shab ko
Dareedah baadalon mein ik sitaarah
Yunhi maazi ki gehri zulmaton mein
Tasavvur jhilmilaata hai Tumhara !!!

Miss Habib
03-12-2012, 02:33 PM
wah bohat khoob Mahi
specially Ghalat Exit wali

M A H i
03-18-2012, 07:35 PM
Thanks Miss

Shahr-e-khayal-o-khawab main aabaad ho gaya
itna use parha k mujhe yaad ho gaya


Main aaj tak hon jis k fareeb-o-hisaar main
wo aur hi kisi ka mere baad ho gaya


Aandhi hawa ka sath nibhane k shooq mein
koi tabah hua koi barbad ho gaya


Apni to sari umar aseeri main kat gai
jis ne bhi haar maan li aazaad ho gaya


Pahle to pani'oun se rahi guftgo meri
phir yun hua k aaina iejaad ho gaya

M A H i
03-18-2012, 07:49 PM
Tere Tabsarey Hain Bekhabar,
Meri Daastan-E-Hayaat Se,
Tu Keh Raha Hia Dil Jise,
Wo Meri Khwahishon K Mazaar Hian,


Tera Shukriya Ay Tabeeb-e-Jaan,
Ye Khaloos Apni Jagah Magar,
Teri Masihayi Bhi Kya Kare,
Mera Dard Hi Be-ShuMaar Hai,


Mere Raaston Mein Jo Aagaya,
Mere Qaafle Ko Jo Kha Gaya,
Wo Toofan To Kabka Guzar Gaya,
Par Dil Mein Ab Tak Gubaar Hai,


Ay Meherbaan Dost Sun,
Meri Mushkilon Ko SaMajh Ke Main
Teri Mohabbaton Ka Kya Karun,
Kise Dil Pe Ab Ikhtiyar Hai,


Naye MausaMon Ko Bulao Mat,
Ke Mujhe Khushbuon Ki Talab Nahi,
Meri Raah Rehne Do Khaar Khaar,
Mere Liye To Yehi Bahaar Hai,


Jo Nafraton Se Jhulas Gaya,
Usy Dilse Saari Duwayein Do,
Par Us Sitam-Zada Ka Kya Karein,
Jo Mohabbaton Ka Shikar Ha!!!

Owi
03-18-2012, 09:47 PM
Zaberdast Intaykhaab (Y)

Shaam
03-19-2012, 11:55 AM
(y) : )

Mf Great Power
03-19-2012, 12:02 PM
very niceeeeeeeeeee

M A H i
03-23-2012, 01:38 PM
Sambhala hosh hai jab say muqadar Sakht-tar nikla
Para hai waasta jis say wohi Teer-o-tabar nikla...


Sabaq deta raha jo umr bhar roshan khayali ka
Usay jab paas sy dekha to khud b Tang-nazar niklaa...


Samaj kar zindagi jis say mohabbat kar rahay thay hum
Usay jab chhu kar dekha to faqat Khaaki-bashar nikla...


Mohabbat ka khumaar utra to tab saabit huwa ham par
Jisay hum umar samajtay thay wo Be-maqsad safar nikla...

M A H i
03-23-2012, 01:41 PM
Bhula dena kbi wada, kbhi takmeel kar lena
Kabhi younhi murawat mai meri takmeel ka lena…

Shab-e-tareek rastay mai jo aa jay to ye aankhain
Kabhi jugnu kabi taray kabi kandeel kar lena…

Hamesha say yehi apna asool-e-zidagi rakhna
Jo rasta aam ho jay usay tabdeel kar lena…

M A H i
03-23-2012, 01:50 PM
fareb-e-zat sy niklo
Jahan k sanihay dekho
Hmunkashaf hogi kabi to aainay dekho...

wohi ek ajnabi jis say
Taluq sarsari sa tha
Hamray dil main hotay hain usi k tazkiray dekho...

Likha hai waqt nay ye b
Ajeeb apnay muqadar main
palatna he nahi jisko usi k rastay dekho...

Hamain samjho na khush itna
Labo ki muskarahat say
hamari aankh mai phailay hazaron hAadsay dekho...

Thakay haaray say baithay thay
Mager Teri sadaa sun kar
Shikasta-paa chalay aaye hamary hoslay dekho...

Owi
03-23-2012, 02:24 PM
Samaj kar zindagi jis say mohabbat kar rahay thay hum
Usay jab chhu kar dekha to faqat Khaaki-bashar nikla...




Likha hai waqt nay ye b
Ajeeb apnay muqadar main
palatna he nahi jisko usi k rastay dekho...


Bohat Aa'laa Mahi (Y)
Keep shairing !

Shaam
03-24-2012, 10:15 AM
hmmm (Y)

M A H i
04-04-2012, 06:15 PM
http://img337.imageshack.us/img337/8224/8591863pinkenvelopewith.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/337/8591863pinkenvelopewith.jpg/)


Kehna Ghalat Ghalat to Chupana Sahi Sahi
Qasid kaha jo Us nay, Btana Sahi Sahi...


Ye subha subha chehray ki rangat urri huwi
Kal raat tum Kahan thay Btana Sahi Sahi...


Dil lay k mera haath main kehtay hain mujh sy Woh
Kya lo gay is ka daam, Btana Sahi Sahi...


Aankhen milao Ghair sy, do hum ko Jaam-e-Me'y
Saaqi tumhen Qasam hai Pilana Sahi Sahi...


Ay Me'y-Farosh bheer hai teri dukaan par
Gahaq hain hum bay-maal Dikhaana Sahi Sahi...


''HUM'' to Jaan-o-Dil sy faqat Aap k hain bas
Kya Woh b hain Hamare Btana Sahi Sahi...

M A H i
04-04-2012, 06:23 PM
Btao koun tha, kaisa tha, jis se silsila thehra?
Kaha, kar k wafa ka khoon aakhir bewafa thehra...



Bhala phoolon sy bhanwray kis zuban main baat kartay hain?
Kaha, khushboo sy khushboo ka anokha rabta thehra...



Zara batlao ek anjaan par itni inayat kiu?
Kaha, dil k saheefay main yahi to mujaza thehra...



Suno kaisa laga us shakhs se milna, bichar jana?
Mila to Ajnabi tha woh , bichar kar Aashna thehra...

M A H i
04-04-2012, 06:25 PM
Bhula dena kbi wada, kbhi takmeel kar lena
Kabhi younhi murawat main meri Takmeel kar lena


Shab-e-tareek rastay main jo aa jay to ye aankhain
Kabhi jugnu kabhi taray kabhi Kandeel kar lena


Hamesha say yehi apna asool-e-zidagi rakhna
Jo rasta aam ho jay usay Tabdeel kar lena

Owi
04-04-2012, 06:49 PM
Hamayshah Ki Terhan Is Baar Bhi Laa-jawaaB Intaykhaab Hai Mahi (Y)
Ummeed Kerta Hoon K Aap Kuch Mazeed Khoobsoorat Kalaam Aagay Bhi Shaamil Karein Gi !

M A H i
04-04-2012, 06:50 PM
Lipti rahi wajood se khushbu tamam raat
Aata raha hai yaad mujhe Tu tamam raat..


Us ne bary khuloos se mangi thi roshni
Girty rahy mkaan pe jugnu tamam raat..


Rota rha wo aap he apne naseeb per
Apne galay mein daal k baazu tamam raat..


Fursat na thi tabeeb ko apne hi kaam se
Peety rahy mreez bhi aansu tamam raat..

M A H i
04-04-2012, 06:53 PM
Bhout JALDI aur Bout SARI DAA'D dene ka
s u k e r i y a Owi!

Keep ON Visiting.........

M A H i
04-04-2012, 07:14 PM
Nigha-e-Yar pe Palkon ki agar Lagam, Na ho

Badan main Door tak Zindagi ka Naam Na ho

Wo Be-Naqab jo phirta hai Gali Coacho'n main

To kaisey Shehar k Logo'n main Qatal-e-Aam Na ho

Mujhey Yaqeen hai k Duniya main Dard barh jaye

Agar Ye Peeney Pilaney Ka Ahtimam Na ho..

http://img692.imageshack.us/img692/6501/wineglassesz.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/692/wineglassesz.jpg/)

!~*AdOrAbLe*~!
04-04-2012, 07:37 PM
Zabardast collection :)

Shaam
04-05-2012, 10:16 AM
weldone ...

Owi
04-06-2012, 05:44 AM
Bharpoor Intaykhaab Mahi (Y)

M A H i
04-08-2012, 07:44 PM
http://img138.imageshack.us/img138/5995/mahi.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/138/mahi.jpg/)

M A H i
04-08-2012, 07:46 PM
Rang Utarney Mein Bahut Deir Lagi...
Dil Thehrney Mein Bahut Deir Lagi


Teri Aankhon Ki Tarah Gehra tha...
Zakhm Bharney Mein Bahut Deir Lagi


Baat Karna Thi Zara Si Tujh Se..
Baat karney Mein Bahut Deir Lagi


Kat Gai Raat Tere Khwabon Mein
Din Guzarney Mein Bahut Deir Lagi


Kab Sameita Tha Kisi ne Mujh Ko?
Kab Bikharney Mein Bahut Deir Lagi?


Zindgi Guzri Hai Pal Mein Meri...
Haan Mager Mrney Mein Bahut Deir Lagi...

M A H i
04-08-2012, 07:49 PM
Main ajab shakhs hoon ajab khyalon sy yaad aaoun ga
Teray naam likhi ghazal k hawalon sy yaad aaoun ga

Tum saraapa-e-jawab thay jo hal ho gaye mujh say
Main tujh ko uljhay huway sawalon sy yaad aaoun ga

Sar-e-Bazm jo kabhi dekho haal kisi dewanay ka
Pas-e-Manzar main apnay uljhay huway baalon sy yaad aaoun ga

Khunak raaton main jaltay diya ki lo'u sy jab
Haath jalay ga tab guzray huway saalon sy yaad aaoun ga

M A H i
04-08-2012, 07:59 PM
http://i57.tinypic.com/dpxtuv.jpg


Jab seena ghum say bojhal ho aur yaad kisi ki ati ho
Tab kamray main band ho jana aur chupkay chupkay ro laina


Jab ankhain bheegi ho jain aur yad main us ki bhar aye
Phir khud ko dhoka mat daina aur chupkay chupkay ro laina


Jab palkain karb say moondi hon,aur sab samjhain tum sotay ho
Tab munh par takiya rakh laina aur chupkay chupkay ro laina


Yah duniya zalim duniya hai yah baat bohat hi phailay gi
Tum sab k samnay chup rahna aur chupkay chupkay ro laina

Owi
04-08-2012, 08:13 PM
Bohat Hi Khoobsoorat Intaykhaab Her Baar Ki Terhan
Thankx For Shairing Mahi

Shaam
04-09-2012, 11:35 AM
http://img851.imageshack.us/img851/4369/mmmun.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/851/mmmun.jpg/)



Jab seena ghum say bojhal ho aur yaad kisi ki ati ho
Tab kamray main band ho jana aur chupkay chupkay ro laina


Jab ankhain bheegi ho jain aur yad main us ki bhar aye
Phir khud ko dhoka mat daina aur chupkay chupkay ro laina


Jab palkain karb say moondi hon,aur sab samjhain tum sotay ho
Tab munh par takiya rakh laina aur chupkay chupkay ro laina


Yah duniya zalim duniya hai yah baat bohat hi phailay gi
Tum sab k samnay chup rahna aur chupkay chupkay ro laina

nice


Main ajab shakhs hoon ajab khyalon sy yaad aaoun ga
Teray naam likhi ghazal k hawalon sy yaad aaoun ga

Tum saraapa-e-jawab thay jo hal ho gaye mujh say
Main tujh ko uljhay huway sawalon sy yaad aaoun ga

Sar-e-Bazm jo kabhi dekho haal kisi dewanay ka
Pas-e-Manzar main apnay uljhay huway baalon sy yaad aaoun ga

Khunak raaton main jaltay diya ki lo'u sy jab
Haath jalay ga tab guzray huway saalon sy yaad aaoun ga

good one

Rang Utarney Mein Bahut Deir Lagi...
Dil Thehrney Mein Bahut Deir Lagi


Teri Aankhon Ki Tarah Gehra tha...
Zakhm Bharney Mein Bahut Deir Lagi


Baat Karna Thi Zara Si Tujh Se..
Baat karney Mein Bahut Deir Lagi


Kat Gai Raat Tere Khwabon Mein
Din Guzarney Mein Bahut Deir Lagi


Kab Sameita Tha Kisi ne Mujh Ko?
Kab Bikharney Mein Bahut Deir Lagi?


Zindgi Guzri Hai Pal Mein Meri...
Haan Mager Mrney Mein Bahut Deir Lagi...

http://img138.imageshack.us/img138/5995/mahi.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/138/mahi.jpg/)


good one

nice words

Miss Habib
04-13-2012, 11:51 AM
bohat bohat hi zabardst Mahi

"Fairab-e-Zaat se niklo"

its my fav

M A H i
04-15-2012, 02:54 PM
Thanks All


http://i59.tinypic.com/3021egw.jpg

Ek hi Mazah Subh Lati hai
Sehen main Dhoop phail jati hai

Kya Sitam hai ke ab teri soorat
Gho'r kerne pe yaad ati hai

Socthi hoon ke us ki yaad akhir
Ab kisy raat bhar Jagati hai

Us wafa ashna ki furqat main
Khuwahish-e-ghair kiu satati hai

Kaun is ghar ki Dekh bhal karey
Roz ek Cheez toot jati he


Keep Visiting

Shaam
04-15-2012, 02:59 PM
Keep Visiting

ji acha

(‘“*JiĢäR*”’)
04-22-2012, 02:21 PM
:cool-yaar:

M A H i
04-23-2012, 02:37 PM
http://i59.tinypic.com/swdcwp.jpg

Ek Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata
Kaash Manzil Sey Bhi Agey Kio Rasta Jata


Aye Mere Abar Gareezaan Meri Aankhon Ki Tarah
Ger Barasna He Tujhey Tha To Barasta Jata


Aaj Tak Yaad Hai Izhar-e-Mohabat Ka Woh Pal
K Meri Baat Ki Luknat Pey Woh Hansta Jata


Itney Mehdood Karam To Taghaful Behter
Ger Tarasna He Mujhey Tha To Tarasta Jata

M A H i
04-23-2012, 02:55 PM
Darya-e-yaad hum ne utterne nahi diya

Us naam wala phhool bikherne nahi diya

Hum ko na kerni ayee bsar saleeqay se zindagi

Aur zindagi ke shoq ne marne nahi diya

Kachhe ghad'ey ka kachha sahaara na dhoondiye

Is ne kisi ko paar utterne nahi diya

Jab us ko bhoolna hai to itna bhi rakh kiu

Dil ne uss gali se phir guzerne nahi diya

Woh qatra qatra dil peh baraste hain roz-o shab

Jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya

Ek a'as hai keh khwahishain baandhi hain jis ke saath

Ek khuwaab hai jis ko bikherne nahi diya

M A H i
04-23-2012, 02:57 PM
http://i62.tinypic.com/2hdb8f5.jpg


Meri zindagi bhi meri nahi,
Ye hazaar khaanon main batt gai,
Mujhe aik mutthi zameen de,
Ye zameen kitni simatt gai,



Teri yaad aaye to chup rahon,
Zara chup rahon to ghazal kahon,
Ye ajeeb aag ki bael thi,
Mere tan-badan se lipatt gai,

Mujhe likhne wala likhen bhi kia,
Mujhe parrhne wala parrhe bhi kia,
Jahaan mera naam likha gaya
Wahin roshni ulatt gai,



Na koi khushi na koi malaal hai
k sabhi ka aik sa haal hai,
Tere sukh k din bhi guzar gaye,
Meri dukh ki raat bhi katt gai,

Meri band palkon pe toott k
Koi phool raat bikher gaya,
Mujhe siskiyon ny jaga dia,
Meri kachhi neend uchatt gai...

M A H i
04-23-2012, 03:02 PM
Aaj Phir Mene Teri Baton Ko Yaad Kya
Aaj Phir Dil Ne Teri Yaadon Ko Abad Kya

Aaj Phir Yaadon Ka Dhaga Ansuon Main Toot Gaya
Aaj Phir Chand Sisakty Sisakty Doob Gaya

Aaj Phir Tere Intizar Mein ShaAm Hui
Aaj Phir Tujhe Pane Ki Aas Nakam Hui

Aaj Phir Mera Hath Kinare Par Aa Kar Chhoot Gaya
Aaj Phir Dil Mein Kuch Toot Gaya

Aaj Phir Hansi Pe Gham Ka Pehra Hai
Aaj Phir Khushi Ka Soraj Khushiyon Se Routh Gaya

M A H i
04-23-2012, 03:04 PM
http://i61.tinypic.com/24oriwh.jpg

Zawiya jitna nigahon ka sanwar jata hai,
Tera rukhsaar b utna he nikhar jata hai,

Aese lamhaat b aate hain rah-e-ulfat mein,
Ya wafa hath se jati hai ya to sar jata hai,

Main tere gham mein bhala ashq bahaon kab tak,
Aankh to aankh hai darya b utar jata hai,

Hasti-e-gul hai faqat chand adao'n pe muheet,
Phool sharmata hai, hansta hai bikhar jata hai,

Qurbat-e-yaar se "Mohsin" ko baqqa milti hai,
Zarf parwane ka chhota hai k mar jata hai

M A H i
04-23-2012, 03:10 PM
Ham Dasht ke Baasi, Hamein wirsay mein mili hai
Ye Rooh Peyaasi hamein wirsay mein mili hai

Dukh Dard se sadio'n ka Taluk hai hamara
Aankhon ki udaasi hamein wirsay mein mili hai

Jaan dena Rawayat hai Qabeeley ki hamari
Ye surkh-Libasi hamein wirsay mein mili hai

Jo Baat be kehtey hen Dil me uter jati hai
Taseer, Juda si hamein wirsay mein mili hai

M A H i
04-23-2012, 07:34 PM
Meray dil k nehaan khanon main kitney lafz..
chilatey huwey, yun ba’in kertay hain..
kay meray her taraf cheekho’n ka
wehshatnaak shorish..
phail jata hai, satata hai..
magar jab siskiyaan letay huwey yeh lafz main..
kaghaz ki aghosh-e-meherbaan mein
chupaanay k liye, tarteeb deti hoon..
achanak ye sabhi alfaaz yu’n chup sadh letay hain,
kay goya boltey na hon..
Mein khaali warq pe nazrein jamaaey
qarb ki gehri andheri khamoshi ko..
apnay ander yun chupaati hoon..
kay jesay koi apnay zakham ko un se chuhpata hai
jo ussay pyaar kertay hain!!!
.
.
.
.
Magar is aik koshish say,
na dil ka dard jata hai
na koi hal nikalta hai
bus ik wehshat ka saaya hai
jo har suu phail jata hai

M A H i
04-28-2012, 01:04 PM
http://i60.tinypic.com/2gshi6g.jpg


Safar malaal ka hai aur chal rahi hooN main
ghubaar-e-shab ki udaasi mein dhal rahi hoon main

Ajeeb barf ki baarish badan pe utri hai
k jis ki aag mein chup chaap jal rahi hoon main

Phir ek charaagh jala shaam ki haveli mein
phir ek dard se aakhir sambhal rahi hooN main

Yeh rakh rakhaao usay jaanne nahe de ga!
k apne aap mein kese pighal rahi hoon main

Yeh Ishq sach se juda kaise ho gaya Jaan'aa?
ab is sawaal se baahir nikal rahi hoon main

Bas eik Ishq meri zaat par saheefa ho
mere Khuda! yeh aqeeda badal rahi hoon main

M A H i
04-28-2012, 01:05 PM
Bohat khamosh logo se
Bohat uljha nahi karte
Jo dil ko rog lag jayein
Wo phir suljha nahi karte
Chalo tum kah rahe ho
To phir hum aisa nahi karte
Magar ab dil ye wapis lain
Ye hum sauda nahi karte
Dilon k muamlay hain ye
Tumhi se pyar karte hain
Humein tum bhool jao gay
Ye hum socha nahi karte

M A H i
04-28-2012, 01:06 PM
http://i61.tinypic.com/dpziok.jpg
La-haq yahan marz mohabbat ka sabhi ko
Iss shehar k logo main ye waba aam bohat hai
Had darja sharafat k libada hai orha
Or dil main haqarat ki bla aam bohat hai
Rishton k yahan paas to rakhtay hai sabhi per
Hairat hai k lootne ki saada aam bohat hai
Dawa hai k har fard wafadar hai yahan
Hai darj kitabon main jaafa aam bohat hai
Tum naik tamnayein to rakhte ho magar
Is shehar main naiki ki SAAZA AAM bohat hai

Owi
04-28-2012, 06:13 PM
Bohat Khoob Mahi
Saara Hi Kalaam Bohat Aa'laa Hai
Keep Shairing

Miss Habib
04-30-2012, 12:33 PM
wah Mahi

"Lahaq hai "
"bohat khamosh logo se"
"hum dasht k bassi"

its my fav

thanks Mahi

MAsooM LArKa
04-30-2012, 03:14 PM
wah janab kya kamal ki choice hai lajawab be misal collection keep it up

M A H i
05-05-2012, 02:33 PM
http://i58.tinypic.com/2wqaioh.jpg

M A H i
05-05-2012, 02:34 PM
http://i59.tinypic.com/2e0p945.jpg


Neend ankhon se udi phool se khushboo ki tarah
Jee behal jaye ga shab se tere gaisoo ki tarah

Dosto jashan manao ke bahar aai hai
Phool girtay hain har ik shaakh se ansoo ki tarah

Ab tere hijr main lazzat na tere wasl main lutf
In dinon zeest hai thehray huway anso ki tarah

Zindagi ki yahi qeemat hai ke arzaan ho jao
Naghma-e-dard liye mauja-e-khushboo ki tarah

Kisi ko maloom nahi kaun tha wo shakhs .....
Jis ki khatir rahay awaara hum aaho ki tarah

M A H i
05-05-2012, 02:38 PM
http://i60.tinypic.com/2ibnwyh.jpg
Wafa ke aanch, sukhan ka tapaak do, inn ko
Dilo’n ke chaak, rafoo sy sila nahi karty

Jahan ho payar, ghalat fehmiaan to hoti hain
so, baat baat pe, yoon dil bura nahi karty

Hamein hamari anaayn tabah kar dein ge
Mukaalmy ka agar, silsila nahi karty

“Jo hum pe guzri hy Jana’n, wo tum pe bhi guzry”
Jo dil bhi chahy to aesi dua nahi karty

Har ik dua ke muqaddar mein kab hazoori hy!
Tamaam ghunchy to , khila nahi karty

M A H i
05-05-2012, 02:39 PM
Tumhare gham ki dalli utha kar,
Zubaan pe rakh li hai dekho main ne
Ye qatra qatra phighal rahi hai,
Main qatra qatra hi ji rahi hoon

Shaam
05-05-2012, 02:40 PM
wafa ke aanch, sukhan ka tapaak do, inn ko
dilo’n ke chaak, rafoo sy sila nahi karty

jahan ho payar, ghalat fehmiaan to hoti hain
so, baat baat pe, yoon dil bura nahi karty

hamein hamari anaayn tabah kar dein ge
mukaalmy ka agar, silsila nahi karty




شاندار

M A H i
05-05-2012, 02:40 PM
http://i58.tinypic.com/2ihv8ep.jpg




Sulag raha hoon mein dheery dheery,
Magar kisi par ayaa’N nahe hy
wo aag dil mein lagi hy jis mein,
Tapish hy lykin dhoowa’n nahe hy

Tumhary gham ne sikha dia hy,
Mujhy har ek gham se payar karna
Gham-e-jaha’n bhi, yaqeen jano,
Mizaaj-e-dil par garaa’n nahe hy

Khuda ke basti mein har qadam par,
Koi hy giryaa’n kisi k gham par
Yeh dard to dard-e-mushtarak hy,
Yeh aankh pur namm kaha’n nahe hy

Matta-e-umr-e-aziz sari,
Ganwa chuky, par safar hy jari
Ajeeb souda hy aashqi ka,
Kay fikr-e-sood-o-ziyaa’n nahe hy

Meri khamooshi pe hansny walo,
Yeh bhool kar bhi na soch lena
Kay mery pehloo mein dil nahe hy,
Kay mery munh mein zubaa’n nahe hy

Ghazal kaho,kuch aata karo,
isi tarapti hue navaa mein
Yeh tarz, yeh dil gudaaz lehja,
Samaa’to’n par garaa’n nahe hy

Shaam
05-05-2012, 02:43 PM
tumhare gham ki dalli utha kar,
zubaan pe rakh li hai dekho main ne
ye qatra qatra phighal rahi hai,
main qatra qatra hi ji rahi hoon


تریاق بھی کبھی امرت کا کام کرجاتے ہیں
زبردست

Owi
05-05-2012, 06:27 PM
Saara Hi Intaykhaab Khoob Hai (Y)
Bohat Hi Zaberdast Or Bohat Hi Khoob
Keep Shairing Mahi !

M A H i
05-05-2012, 07:09 PM
Her bar , bar bar ek he tarhan k comments k liye bay - had NAWAZISH Owi!

Noor ul huda
05-06-2012, 12:07 AM
Her bar , bar bar ek he tarhan k comments k liye bay - had NAWAZISH Owi!

lolz...

Noor ul huda
05-06-2012, 12:07 AM
intikhaab buhut acha aur unique hay..

M A H i
05-06-2012, 01:42 PM
Thanks Noor
Keep visiting

Miss Habib
05-07-2012, 11:32 AM
Tumhare gham ki dalli utha kar,
Zubaan pe rakh li hai dekho main ne
Ye qatra qatra phighal rahi hai,
Main qatra qatra hi ji rahi hoon

Wah Mahi

bohat bohat zabardst wording

M A H i
05-08-2012, 02:56 PM
Ab bhala chorrh ke ghar kya kerte
shaam ke waqat safar kya kerte

Jab siatare he na mill paye
le ke ham shams-o-qamar kya kerte

Teri masroofyatain jante thay
apnay aanay kii khabar kya kerte

Wo musafir he khuli dhuup ka thaa
saaye phaila ke shajar kya kerte

Khaak he awwal-o-aakhir theri
ker ke zarray ko gohar kya kerte

Raye pehle se bana li tum ne
dill main ab ham tere ghar kya kerte

Ishq ne sare saliqey bakhshe
Husn se kasb-o-hunar kya kerte

Miss Habib
05-10-2012, 11:26 AM
wahhhhhhhhhh

Mf Great Power
05-10-2012, 11:36 AM
gr88888888888

M A H i
05-13-2012, 12:44 PM
http://i62.tinypic.com/10xxeno.jpg

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain
Tu Jafa Kaar Howa Hay To Wafa Kis Se Karain

Aeina Samne Rakhain To Nazar Tu Aaye
Baat Jo Tujh Se Chupaani Ho Kaha Kis Se Karain

Hath Uljhe Howay Resham Main Phansa Baithe Hain
Ab Bata Kaun Se Dhaage Ko Juda Kis Se Karain

Zulf Se Chashm Lab-o- Rukh Se K Tere Ghum Se
Baat Yeh Hay K Dil-o-Jaan Ko Rihaa Kis Se Karain

Tu Nahi Hay To Phir Aye Husan-e-Saaz Bata
Is Bhare Shehar Main Hum Jaise Mila Kis Se Karain

Tu Nay To Apni Si Karni Thi So Kar Li ''Jaan'na''
Masla Yeh Hay K Hum Is Ka Gilla Kis Se Karain

M A H i
05-13-2012, 12:59 PM
Tumhare Husn se waabasta nazar aaj bhi hai
Tabaah Ishq mein tere qalb-o-jigar aaj bhi hai

Tere firaaq mein ghazalo'n ke jo hunar seekhe
Mere mizaaj mein wo arz-e-hunar aaj bhi hai

Har ek Harf-e-dua hai muddai farishto'n ka
Phir bhi lagta hai duao'n mein asar aaj bhi hai

Yun hi ishrat ki har ik shay nahi mili mujhko,
Ghar ke qaaleen pe wo gard-e-safar aaj bhi hai

Teri azeeyato'n ki intehaa nahi hai abhi
Neend mein meri tera khuwaab magar aaj bhi hai

Haan meri jaan ye hai meri wafao'n ka sila
Wo ik daag jo mere maathe par aaj bhi hai

Har ik dukaan loot li ab ahl-e-duniya ne
Aankh mein apni magar sooq-e-gauhar aaj bhi hai

Mere Mizaaj ki pecheedagi to jaati rahi
Tumhari zulf ke kaakul mein bhanwar aaj bhi hai

Teri choukhat pe jo badi a'as se jalaaya tha
Wo ik chiraag ba-Ummeed-e-Sehar aaj bhi hai

Jo ye kahta hai k main tujhse mukhatib hi nahi
Surkhi us lab ki mere honth par aaj bhi hai

Ab to yun bhi nahi k tu mil gaya mujhe Yaara,
Tere bichhadne ka wo khouf magar aaj bhi hai

M A H i
05-13-2012, 01:09 PM
http://i62.tinypic.com/2nbhlzd.jpg

Wo Jo Mehav Thay Sarr-e-Aaeena ,
Pass-e-Aaeena Bhi To Dekhte ..
Kabhi Roshni Mein Wo Tairgi ko ,
Chupa Hua Bhi Tou Dekhte ..

Sarr-e-Aab Jo Raha Teshna Lab ,
Tou Yeh Zabt-e-Gham Ki hai Inteha ..
Mere Haal Pe Thay jo Nuqta Cheen ,
Mera hosla Bhi To Dekhte ..

Wo Utar Gay Thay jo Paar Khud ,
Mujhe Beech Bhnawar Mein Chor Kar ..
Tha Jo Un Mein Itna hosla ,
Mujhe Doubta Bhi To Dekhte ..

Jinhain Mujh Se hai Yeh Gila ,
K Main Raha Be Nayaz-e-Khulous-o-Rabt ..
Mere Gird Rasm-o-Riwaaj ka ,
Kabhi Daaira Bhi To Dekhte ..

Wo Meri hasi Se Hain Khush Guma'an ,
K Nishaat-e-Zeest hai Mud'da ..
Mere Ashk-e-Gham Ka Ruka howa ,
Kabhi Qafila Bhi To Dekhte .. !!

M A H i
05-13-2012, 01:21 PM
Kabhi hum bhi baa'es-e-toqeer huwa kartay thay
Us k shehr ki jaageer huwa kartay thay

Itna acha to na tha naam hamara, Magar!
Phir bhi Un k haath pay tehreer huwa krtay thay

Aray hamain to gustakh bana dia is zamanay nay, Warna!
Aisay chup thay k tasveer huwa krtay thay...

Shaam
05-13-2012, 10:51 PM
hmmm : ) (y)

Miss Habib
05-14-2012, 02:23 PM
wo jo the saar-e-aina

bohat zabardst Mahi

M A H i
05-19-2012, 01:28 PM
http://i61.tinypic.com/k0oikn.jpg

Dil-e-gumrah ko aye kash ye maloom ho jata
k ''Mohabbat'' us waqt tak Dilchasp hoti hai......
JAB TAK NAHI HOTI!!!

Miss Habib
05-19-2012, 01:35 PM
wah Mahi
bohat khoob

M A H i
06-14-2012, 01:13 PM
"Usay kehna"

Mukkamal kuch nahi hota,

Millan bhi na mukkamal hai,

Judai bhi adhuri hai,

Yahan ik maut puri hai,

"Usay kehna"

Udasi jab ragon may khoon ki manind utarti hai,

Bohot nuqsan karti hai,

"Usay khena"

Bisat-e-ishq pay jab maat hoti hai,

Dukhon k shehar may jab raat hoti hai,

Mukamal bus KHUDA ki ZAAT hoti hai.

M A H i
06-14-2012, 01:14 PM
Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte Thy,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte Thy,

Itni Tehzeeb Rah-O-Rasm To Baaqi Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte Thy,

Usne Puchha Tha Kayi Baar Magar Kya Kahiye,
Hum Mizaajan Hi Pareshan Raha Karte Thy,

Khatam Tha Humpe Mohababt Ka Tamasha Goya,
Rooh Aur Jism Ko Har Roz Juda Karte Thy,

Zindagi Humse Tere Naaz Uthaye Na Gaye,
Saans Lene Ki Faqat Rasm Ada Karte Thy,

M A H i
06-14-2012, 01:32 PM
http://i57.tinypic.com/120p07s.jpg



Ye Wafa bhi kya "KHATA" hy?
Mujhy sochna pary ga,

Usy Mujh sy kion "GiLA" hy?
Mujhy Sochna pary ga,

Dil-e- Muztarib hoa hy
Teri "Yaad" Sy Guraizan,
Ye "MUQAM" kon sa hy?

Mujhy Sochna pary ga,

Wo milay To "BEQARARI"
Na milay To "BEQARARI",
Mery "DIL" ko kya hoa hy?

Mujhy Sochna pary ga.

M A H i
06-14-2012, 02:01 PM
http://i57.tinypic.com/123r5zn.jpg
Main tumharay aks ki aarzoo
Mein bass aayina hi bani rahi
Kabhi tum na samnay aa sakay,
Kabhi mujh pay gard pari rahi


Woh ajeeb shaam thi,aaj tak
Meray dil mein uss ka malal hai
Meri tarah jo teri muntazir,
Teray rastay mein khari rahi


Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,
kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
Main faqeer-e-ishq bani rahi,
Main aseer-e-yaad huwi rahi


Bari khamshi say sarak kay
Phir meray dil kay gird lipat gaei
Woh rida-e-abr-e-sfed jo
Sar-e-kohsar tani rahi


Huwi uss say jab meri baat bhi,
Thi shareek-e-dard woh zaat bhi
To na janay kon si cheez ki
Meri zindgi mein kami rahi

M A H i
06-14-2012, 07:37 PM
Aik Khuwaab Ho Kar Rah Gai Hai Rasm-e-Mohabbat
.
.
.
Aik Weham Saa Hai Ab, Meray Saath Tum Bhi Thay

M A H i
06-14-2012, 07:45 PM
Suno HumDum

http://i57.tinypic.com/kegjg9.jpg

Bohot Si Degreeyaan Lay Kar
Hunar Pe Dastaras Paa Kar
Nisaab-e-Chahat-e-Dil Kay
Chamaktay Lafz Aankhon Say
Agar Parhnay Se Qaasir Ho



" ... Tou Un-Parh Ho . . . "

Noor ul huda
06-14-2012, 08:26 PM
Buhut umda intikhaab hay..

each one is so perfect!

Noor ul huda
06-14-2012, 08:28 PM
http://img137.imageshack.us/img137/1931/kisko.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/137/kisko.jpg/)

Ye Wafa bhi kya "KHATA" hy?
Mujhy sochna pary ga,

Usy Mujh sy kion "GiLA" hy?
Mujhy Sochna pary ga,

Dil-e- Muztarib hoa hy
Teri "Yaad" Sy Guraizan,
Ye "MUQAM" kon sa hy?

Mujhy Sochna pary ga,

Wo milay To "BEQARARI"
Na milay To "BEQARARI",
Mery "DIL" ko kya hoa hy?

Mujhy Sochna pary ga.

Beautiful and my Fav..

May jidher jidher gaya houn boo e payrahan hain uss kay
woh kidher kidher gaya hay,Mujhay sochna paray ga.

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.