View Full Version : Ώ Ιήt!κhααβ -ε- Μαh! Ώ
M A H i
06-14-2012, 10:51 PM
May jidher jidher gaya houn boo e payrahan hain uss kay
woh kidher kidher gaya hay,Mujhay sochna paray ga.
hmmm....
Thanks Noor
Shaam
06-16-2012, 04:31 PM
bht khoob Mahi bibi
Miss Habib
06-18-2012, 12:08 PM
Huwi uss say jab meri baat bhi,
Thi shareek-e-dard woh zaat bhi
To na janay kon si cheez ki
Meri zindgi mein kami rahi
Suno Hum Dum
superb Mahi
keep sharing
M A H i
06-28-2012, 01:00 PM
http://i61.tinypic.com/21cdtuc.jpg
Charagh lay k terey shehar sey guzarna hai
Yeh tajarba bhi humain ek baar kerna hai
Main woh pahar hun jo kat raha hun pani sey
Yeh dil nahi hai merey aansuoun ka jharna hai
Merey aziz main utri nadi main kia utroon ?
Mujhay charhay huye derya ko paar kerna hai
Bohat jadeed hun lekin, yeh mera wirsa hai
Usi qadeem gali sey mujhay guzarna hai
Tumhain khabar nahi suraj bhi aks hai mera
Tamam din ka mujhay intizaam kerna hai
Woh ek shakhs k jis ko ghazal bhi kehtey hain
Usi k naam sey jeena, usi sey merna hai
M A H i
06-28-2012, 01:03 PM
Darya-e-yaad hum ne uterne nahi diya
Us naam wala phhool bikherne nahi diya
Hum ko na kerni ayee bsar saleeqay se zindagi
Aur zindagi ke shoq ne marne nahi diya
Kachhe ghad'ey ka kachha sahaara na dhondiye
Is ne kisi ko paar utterne nahi diya
Jab us ko bhoolna hai to itna bhi ra'kh kiu
Dil ne uss gali se phir guzerne nahi diya
Woh qatra qatra dil peh baraste hain roz-o shab
Jin aansoon se aankh ko bharne nahi diya
Ek a'as hai k khwahishain bandhi hain jis ke saath
Ek khuwaab hai jis ko bikherne nahi diya
M A H i
06-28-2012, 01:05 PM
Shab-e-firaq ye ehsaas kis bala ka hai
K dil chiragh hai aur samn'aa hawa ka hai
Sabhi hain noha ba lab kon kis ka dukh baantay
Yaha to jo bhi hai ek marsia wafa ka hai
Isay to khair say be had shaoq-e-bakhia giri
Magar sawaal merey zakham ki an'a ka hai
Dar-e-qabool ko zid hai udhar k band rahay
Magar yaha bhi kisay hoasla dua ka hai
Tabeeb-e-dil hai, magar haal-e-dil say begana
Ajab haal merey dard ashn'a ka hai
Chiraag-e-jaan hai salamat to kheriyat jaano
K shab safar ki hai aur dasht karbala ka hai
M A H i
06-28-2012, 01:12 PM
Wo Log Hi Qadmon Se Zameen Cheen Rahey Hain
Jo Log Mere Qad K Brabar Nhi Aate,
Ik Tum K Tumharay Liye Main Bhi Meri Jan Bhi
Ik Main K Mujhe Tum Bhi Maysar Nhi Aate,
Jis Shaan Se Lotay Hain Ganwa Kar Dil-o-Jan Hum
Is Tor Se To Harray Hue Lashkar Nhi Aate,
Koi To Khaber Le Mere Dushman-e-Jan Ki
Koch Din Se Mere Sehan Mein Pather Nhi Aate,
Dil Bhi Koi Aasaib Ki Nagri Hai K
Jo Is Se Nikal Jate Hain Mur Kar Nhi Aate....
M A H i
06-29-2012, 08:07 PM
Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch,
Har WaQt Mere Saath Hai, Uljha Hua Sa Kuch,
Hota Hai Yun Bhi Raasta Khulta Nahi Kahin,
Jangal Sa Phail Jaata Hai, Khoya Hua Sa Kuch,
Saahil Ki Geeli Ret Par Bachhon Ke Khail Sa,
Har Lamha Mujh Mein Banta, Bikharta Hua Kuch,
Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah,
Har Shay Mein Muskurata Hai, Rota Hua Sa Kuch,
Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabr Ka Diya,
Aur Mere Aas Paas, Chamakta Hua Sa Kuch...
Saahil Ki Geeli Ret Par Bachhon Ke Khail Sa,
Har Lamha Mujh Mein Banta, Bikharta Hua Kuch.
hamesha ki tarha bht khobsorat
Miss Habib
07-03-2012, 11:42 AM
bohat zabardst Mahi
keep sharing
Sehra
08-09-2012, 01:35 AM
Very Nice.......
http://img267.imageshack.us/img267/7008/clossenes.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/267/clossenes.jpg/)
Suno HumDum
Bohot Si Degreeyaan Lay Kar
Hunar Pe Dastaras Paa Kar
Nisaab-e-Chahat-e-Dil Kay
Chamaktay Lafz Aankhon Say
Agar Parhnay Se Qaasir Ho
" ... Tou Un-Parh Ho . . . "
Marvelous (Y)
Such A Beautiful Poetry
Thankx For Shairing Mahi ... !
M A H i
09-02-2012, 07:59 PM
Many Thanks DiE , Miss Habib,life & Sehra for liking..
Thanks u so much Owi for reading all the posts & appreciating,
keep on visiting guys...
M A H i
09-02-2012, 08:04 PM
http://i58.tinypic.com/1zlvgja.jpg
Sub he tareef krte hain ... Meri tehreer ki laykin
.
.
.
.
Koi nahi suntaa -... Mery Alfaaz ki SISKI ! ! !
Sehra
09-05-2012, 09:38 PM
Very Nice... :-)
http://img600.imageshack.us/img600/923/bookreader.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/600/bookreader.jpg/)
Sub he tareef krte hain ... Meri tehreer ki laykin
.
.
.
.
Koi nahi suntaa -... Mery Alfaaz ki SISKI ! ! !
Bohat Khoob Mahi
Zaberdast (Y)
M A H i
09-10-2012, 06:20 PM
Rah ro-e-shehr-e-fana hon teray kis kaam ka hun
ik bujhta sa dia hun teray kis kaam ka hun
To rafaqat k Liay kisi aur ko chun lay
Main to khud aabla pa hun teray kis kaam ka hun
Tujh ko darkaar hain phoolon k mehaktay saaye
Main to sehraa main khara hun teray kis kaam ka hun
Ay parastaar-e-gul-e-tar tera rasta taktay taktay
Shaakh pe sookh gaya hun teray kis kaam ka hun
Tu bhee auron ki tarha mujh say kinara kar lay
Saari duniya say bura hun teray kis kaam ka hun
M A H i
09-10-2012, 06:26 PM
Jab harf na shanaas, yaha’n lafz fehem hain
Kiu zouq-e-shair dy k tamasha kia mujhy?
Khushbu hy, chandni hy,lab-e-joo hy aur mei’n
Kis by panah raat mein tanha kia mujhy?
Di tishnagi Khuda ny, to chashmy bhi dy diye
Seeny mein dasht, aankho’n mein daria kia mujhy
Mein yoo’n sambhal gae, keh teri by wafai ny
By aitbaario’n sy shanasaa kia mujhy
Wo apni aik zaat mein, kul kainaat tha
Dunia ke har fraib sy, milWa dia mujhy
M A H i
09-10-2012, 06:38 PM
http://i59.tinypic.com/35045c2.jpg
Daikh achanak chore na jana
.
.
.
Pehlay milna kam kerna
Fermaaish kernay main lambay lambay wakfay kerna
Akser waday per na milna
Koi bahana ker kay ankhain num kerna
pehlay milna kam kerna...!!!
saira111
09-11-2012, 06:03 AM
chal chup ker!
usi ki tarafdari....
usi ki gawahian...
usi ki safaiyan....
to mera dil hai....
Ya......
US KA WAKEL?
Hmmm kya baat hai
Bohat hi zaberdast kalaam hein teeno (Y)
Miss Habib
09-22-2012, 01:50 PM
http://img411.imageshack.us/img411/763/54306536124757059279910.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/411/54306536124757059279910.jpg/)
Daikh achanak chore na jana
Pehlay milna kam kerna
Fermaaish kernay main lambay lambay wakfay kerna
Akser waday per na milna
Koi bahana ker kay ankhain num kerna
pehlay milna kum kerna...!!!
bohat khoob Mahi
M A H i
10-04-2012, 11:53 AM
http://i60.tinypic.com/2dub3o2.jpg
Sahil-e-Sumander Per..
Aik Shakhs BaithA Hay..
Aur Us kay Haathon Mein..
Aik Dairy Bhi Hai..
Dairy Ke Safhon Ko..
Aik Aik Phaarr Kar
Is Tarha Urrata Hai..
Jis Terha Koi Qaidi..
Qaid Say Rihaee Par..
Qaid Fakhtaaon Ko..
Aasmaan Dikhata Hai..!!
Kkashif
10-04-2012, 11:56 AM
V nyc.................
Miss Habib
10-04-2012, 01:56 PM
zabardst addition Mahi
M A H i
10-04-2012, 08:06 PM
http://i60.tinypic.com/1hrr7r.jpg
Yoon Maatmi Say Libaas Mein
Koi Aah-o-Fagaan Hai Aaj Bhi
Jaisey Chashm-e-Tar Mein
Khwab Koi Pareshaan Hai Aaj Bhi
Main Zindagi Ki Raah-Guzar Pay
Dar-ba-Dar HooN Iss Liye
Ke Muhabbaton Ke Shehar Mein
Dil Be-makaan Hai Aaj Bhi
Teri Aarzoo Hai Bohat Magar
Meri Pohanch Nahin Hai Iss Qadar
Mairi Khwaahishon Ke Waastey
Tu Aasmaan Hai Aaj Bhi
Main Toheed Ke Har Hisaab Say
Waisey To Musalmaan Hoon
Par Tujhey Poojney Ki Baat Hai,
To Dil Be-imaan Hai Aaj Bhi
Teri Anjuman Tera Har Karam,
Teri Chahatein To Chin Gayin
Magar Dard Jo Maira Naseeb Bana
Woh Meharbaan Hai Aaj Bhi
Teri Aziyaton Ka Sawaal Hai To
Mujhey Kal Bhi Zabt Pay Naaz Tha
Tujhey Kosney Ki Baat Hai
To Dil Be-zabaan Hai Aaj Bhi
Kabi Dard Had Say Barrha Bhi To
Main Teri Had Say Barrha Nahin
Meri To Saans Ki Tasbiyon Mein
Ikk Tu Hi Rawaan Hai Aaj Bhi
So Baadlon Ke Silsiley
Meri Chatt Pay Baras Kar Chaley Gaye
Par Jala Jala Dhuwaan Dhuwaan
Mera Aashyaan Hai Aaj Bhi
Mujhey Kal Miley Thay Kuch Gulaab
Jo Terey Liye Ye Keh Gaye
Ke Terey Intezaar Mein Sogwaar
Gulshan Ka Samaan Hai Aaj Bhi
M A H i
10-04-2012, 08:09 PM
Nigaahon main jo rehta tha wo chehra ab nahi hota
Muyassar tha jo qurbat ka wo lamha ab nahi hota
Tabiyat k behl jaanay k din kuch or thay shayad
Kissi k haal poochay sey main acha ab nahi hota
Wo shab bhar jaagtay rehna wo din bhar beqarari si
Firaaq e yaar k mausam main aaisa ab nahi hota
Qayamat hain magar ab bhi judai k khizaan lamhain
Magar jo tha kabhi lahaq wo sadma ab nahi hota
Waah
Zaberdast Mahi ( Y )
M A H i
10-04-2012, 08:11 PM
Tamam umer brabar yehi haal raha
Tera jawaab mere waaste sawaal raha
Jo aik pal ke bicharne ko maut kehta tha
Mere baghair bhi zinda hazaron saal raha
M A H i
10-04-2012, 08:13 PM
Hum Ehl-e-Ishq Hain Muhabbat Zaat Karte Hain,
Isi Mein Din Guzrta Hai Isi Mein Raat Karte Hain,
Parinda Aakhri Yeh Keh Gya Khushk Jheelon Se,
Mujhe Majboor Hijrat Pe Mere Haalaat Karte Hain,
Nikal Aaye Hain Janab-e-Sehra To Dar Kaisa,
Chalo Kuch Din Rote Hain, Chalo Barsaat Karte Hain,
Suna Hai Chand Utra Hai Sunehri Jheel Pe,
Kuch Dair Milte Hain Chalo Kuch Baat Karte Hain!
M A H i
10-04-2012, 08:14 PM
Kabhi Teri Rafaqat se Nikalna hi nhi Mumkin !
Kabhi Daaman Churra lena buht Asaan lagta hai !
Kabhi Tum Ro0thte ho to Ajab Mushkil C Parrti hai !
Kabhi Tujh ko Mana lena buht Asaan lagta hai !
Kabhi Samjha kro kuch Faisle Halaat Krtey hn !
Kabhi Waaday Nibha lena buht Asaan lagta hai !
Kabhi kuch Din Tumhare bin Guzertey hi nhi Lekin !
Kabhi Muddat bita Dena buht Asaan lagta hai . . .
Prince7871
10-04-2012, 08:19 PM
great........
Superb Mahi ( Y )
Keep Shairing
M A H i
10-04-2012, 08:27 PM
great........
Thanks
keep visiting
buhat khooob..............
M A H i
10-11-2012, 08:02 PM
Thanks All
Thanks Owi for Marking this thread as Sticky : )
- ѕΙıΙм .. ѕΙıΙм -
10-12-2012, 04:41 PM
Wahh ..
Kabhi kuch Din Tumhare bin Guzertey hi nhi Lekin !
Kabhi Muddat bita Dena buht Asaan lagta hai . . . (y)
Abi Kch Shayri Nazar Se Guazri Zbrdast CollectiOn Ha .. Baki B Jald Parhni Pare Ge Ab :)
Eexcelent CollectiOn :)
M A H i
10-13-2012, 01:24 PM
Thanks Sim...
Most Welcome to my Thread : )
M A H i
10-13-2012, 02:23 PM
Misgaan-e-Yaar Hain Kisi Talwaar Ki Tarah
In Ki Zarab Se Dil Hua Beemaar Ki Tarah
Wo Le Gaya Samait Kar Dunia Ki Chahaten
Main Reh Gaya Hun Muflis-o-Nadaar Ki Tarah
Ta'anay, Jawaaz, Uzr, Haqaarat, Shikayaten
Jholi Me Daal Do Meri Har Baar Ki Tarah
Haazir Hain Wo Bhi Sar ko Jhukaaye Huay Yahaan
"Hum Bhi Khaday Huay Hain Gunehgaar Ki Tarah"
Zikr-e-Wafa Pe Us Ne Kholi Zubaan Na Par
Junbash Di Us Ne Sar Ko Iqraar Ki Tarah
Bakhsha Khayaal Ko Jab Lafzon Ka Pairahan
Dunia Ne Mujh Ko Jana Fankaar Ki Tarah
M A H i
10-13-2012, 02:31 PM
Judaaiyon Se Paray Hai Wisaal Se Hatt Kar
Hamara Ishq Hai Dunia Ki Chaal Se Hatt Kar
Kabhi To Jhaank Le ik Baar Wo Mere Dil Me
Tamaam Zaahiri Husn-o-Jamaal Se Hatt Kar
Hamaray Dil Ko Maseeha Ye Dekh Kar Bola
Tumhara Zakhm Hai Kuch Indimaal Se Hatt Kar
Hazaar Aib Hain Mujh Me Magar Mera Maalik
Nawazta Hai Mujhay Mere Haal Se Hatt Kar
Ghareeb Aaj Na Faaqon Se Yuun Mara Hota
Jo Wo Bhi Sochta Rizq-e-Halal Se Hatt Kar
M A H i
10-13-2012, 02:38 PM
http://i61.tinypic.com/20a49bn.jpg
Dasht-e-Wafa Me Abr Ka Tukda Nahi Mila
Paani Ka Tashna-kaam Ko Qatra Nahi Mila
Kitna Ajab Sa Hai Meri Ulfat Ka Muaamla
Mujh Ko Bharay Jahan Mein Mujh Sa Nahi Mila
Qurbat Me Uski Dil Ko Muyassar Tha Ik Sukoon
Wo Kia Gaya Ke Chain Ka Lamha Nahi Mila
Raaton Ko Jagnay Ka Amal Kaargar Hua
Aankhon Ko Aik Umr Se Sapna Nahi Mila
Aaye Hain Uske Baad Bhi Laakhon HASEEN Par
Us Ki Adaayen , Us Ka Lehja Nahi Mila
M A H i
10-13-2012, 02:39 PM
Justaju Me Teri Agar Niklay
Shauq-e-Aawaargi Ke Par Niklay
Ta'anay Denay Lagi Zubaan Mujh ko
Ab Duaaon Me Kuch Asar Niklay
Meri Ummeed Ke Sabhi Pauday
Barh Ke Phaily To Be-Samar Niklay
Khul Ke Aa Jaye Wo Jo Hai Aana
Dil Se Toofan Ka Bhi Dar Nilay
Kis Maseeha Ka Naam Le Koi
Jabke Qaatil Hee Chara-Gar Niklay
Jo Bhi Phirtay The Aayina Thamay
Nauk-e-Naiza Pe Un Ke Sar Niklay
Log Kitnay Hee Moabar ''Mahi''
Parkhanay Par Na-Moatbar Niklay
Kya baat hai Mahi
Bohat khoob
Dil khush ho jaata hai aap ka zouq dekh ker
bohat hi umdaa zouq hai aap ka masha Allah
or aap k intaykhaab ki to kya hi baat hai
bohat khoob
keep shairing
M A H i
10-14-2012, 05:44 PM
Thanks Owi
-:||:- Ufhhh Ye Reshmi Lehja -:||:-
Ufhhh ye reshmi lehja
Pattiyaan gulaabon ki
Teray nerm honton say
Jherti jaa rahi hein bas
Lafz lafz moti hai
Hurf hurf jaadoo hai
Dherkanein meray dil ki
Berhti jaa rahi hein bas !
M A H i
10-14-2012, 06:15 PM
:bu:
:thankyou:
Miss Habib
10-17-2012, 12:31 PM
Tamam umer brabar yehi haal raha
Tera jawaab mere waaste sawaal raha
Jo aik pal ke bicharne ko maut kehta tha
Mere baghair bhi zinda hazaron saal raha
bohat zabardst :zabardast:
Miss Habib
10-17-2012, 12:33 PM
Hum Ehl-e-Ishq Hain Muhabbat Zaat Karte Hain,
Dasht-e-Wafa Me Abr Ka Tukda Nahi Mila
Justaju Me Teri Agar Niklay
Shauq-e-Aawaargi Ke Par Niklay
bohat khoobsurat addition Mahi
keep sharing
M A H i
10-17-2012, 02:31 PM
Thanks Miss^
Zindagi k jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hai
Sochna
Apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai
Kyun bhi kehna jurm hai....
kese bhi kehna jurm hai...
Saans lenay ki to aazadi muyassar hai…….Magar
Zianda rehny k liye insaan ko…….kuch aur bhi darkaar hai
Aur……is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hai
Ay hunar mandaan-e-aaeen-o-siyaasat
.
.
.
''Ay KHUDA WANDAAN-E-EEWAN-E-AQAI''
Zindagi k naam par, bas ik inayat chahiye
Mujh ko in saary “jurayim” k ijazat chahiye
Wah Bohat Khoob
Zaberdast (Y)
Miss Habib
10-23-2012, 12:37 PM
Thanks Miss^
Zindagi k jitney darwazy hain mujh par band hain
Dekhna
Hadd-e-nazar se aagy barh kar dekhna bhi jurm hai
Sochna
Apne aqeedon aur yaqeenon se nikal kar sochna bhi jurm hai
Kyun bhi kehna jurm hai....
kese bhi kehna jurm hai...
Saans lenay ki to aazadi muyassar hai…….Magar
Zianda rehny k liye insaan ko…….kuch aur bhi darkaar hai
Aur……is kuch “aur” bhi ka tazkira bhi jurm hai
Ay hunar mandaan-e-aaeen-o-siyaasat
.
.
.
''Ay KHUDA WANDAAN-E-EEWAN-E-AQAI''
Zindagi k naam par, bas ik inayat chahiye
Mujh ko in saary “jurayim” k ijazat chahiye
wah Mahi
kia kahoo
bohat hi khoobsurat
M A H i
10-23-2012, 10:09 PM
http://i59.tinypic.com/v4pds3.jpg
Too'ti Hai Meri Neend Magar,Tum Ko Is Se Kia...?
Bajtay Rahein Hawa'on Se Da'rr,Tum Ko Is Se Kia...?
Tum Mou'j Mou'j Misl-e-Saba Ghoomtay Raho...
Kat Jayein Meri Soch k Par,Tum Ko Is Se Kia...?
Aur'on Ka Hath Tha'mo'u Unhein Ras'ta Dikhaa'o...
Main Bhool Jaon Apna Hi Ghar,Tum Ko Is Se Kia...?
Abar-e-Guraiz Pa Ko Barasny Se Kya Gharz...?
Seepi Mein Ban Na Paye Ghar,Tum Ko Is Se Kia...?
Le Jayein Mujh Ko Maal-e-Ghanimat k Sath Addo...
Tum Ne To Daal Di Hai Sipar,Tum Ko Is Se Kia...?
Tum Ne To Thak ke Dasht Mein Khai'may Laga Liye...
Tanha Katay Kisi Ka Safar,Tum Ko Is Se Kia...?
M A H i
10-23-2012, 11:09 PM
Soz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
Jal bujhien aur lab na kohlien woh bhi kia hotay hain log
Fasl-e- gul mein sath hai khushbo daman ki tarah
ruth badalti hai to bas moj-e-hawa hotay hain log
Kis ko barham keegiye ilzam kis ko deejiye
Naam kis ka leegiye sab bay-wafa hotay hain log
Iss ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawaab
Baat ranjish ki na ho phir bhi khafa hotay hain log
Hum gunahgar'oun per ilzam gunahgari baja
parsa'oun mein bhi kitnay parsa hotay hain log
Ghar gaye ''.....'' tum rangeen kabaoun mein kahan
Mil ke deakho un se jo sada kaba hotay hain log
Wah kya baat hai Mahi
Bohat Khoob ( Y )
M A H i
11-03-2012, 07:15 PM
http://i58.tinypic.com/qposqg.jpg
Hum apne dard lafzon ki zubani rakh nahi sakte
Qalam ki nok par koi kahani rakh nahi sakte
Mohabbat kar to sakte hein, hamara almiya ye hai
K hum tawaan mein apni jawani rakh nahi sakte
Hamara Ishq baala hai tumhari soch ki had se
Koi kangan, koi choori nishani rakh nahi sakte
Mohabbat kainaati such hai ye tasleem hai lekin
Zamee’n zaday hein, jazbay aasmaani rakh nahi sakte
Hamein to zard rutt ne qaid kar rakha hai kuch aise
Koi umeed ankhon mein suhaani rakh nahi sakte
Chalo kuch phool le ayen nai khawhish k mausam se
Naye dala’n mein yadein purani rakh nahi sakte
Para hy wasta ''.....'' Mohabbat k yazeedon se
Yahan hum apni ankhon mein bhi pani rakh nahi sakte
M A H i
11-03-2012, 07:27 PM
Hum Ahl-e-Ishq Hain Muhabbat Zaat Karte Hain
Isi Mein Din Guzrta Hai Isi Mein Raat Karte Hain
Parinda Aakhri Yeh Keh Gya Khushk Jheelon Se
Mujhe Majboor Hijrat Pe Mere Haalat Karte Hain
Nikal Aaye Hain Janab-e-Sehra To Dar Kaisa?
Chalo Kuch Din Rote Hain, Chalo Barsat Karte Hain
Suna Hai Chand Utra Hai Sunehri Jheel Pe...
Kuch Dair Milte Hain Chalo Kuch Baat Karte Hain!
Miss Habib
11-05-2012, 11:06 AM
wah Mahi
bohat hi khoobsurat
M A H i
11-05-2012, 12:23 PM
Thanks Owi & Miss Habib
Chipak raha hai badan par lahoo se pairahan
hamarey jaib ko ab hajat-e-rafoo kia hai ?
Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kureddte ho jo ab raakh, justujo kia hai ?
Woh ek bat bohat talkh kahi thi us ne
baat to yad nahi, yaad hai lehja us ka !
Miss Habib
11-07-2012, 11:03 AM
bohat khoob Mahi
M A H i
11-08-2012, 06:30 PM
Shukeriya unka bhi jinhu ny perh ker Thanks Press kiya
Aur un sub ka bhi jinhu ny tareef k chand alfaaz bhi likhy =)
M A H i
11-08-2012, 06:32 PM
http://i61.tinypic.com/6t06x1.jpg
سقراط کے پینے سے کیا مجھ پرعیاں ہوتا
خود زہر پیا میں نے تب اس کا اثر جانا
M A H i
11-08-2012, 06:35 PM
Zeest aazaar huee jaati hai
saans talwaar huee jaati hai
jJsm bekaar hua jaata hai
rooh bedaar huee jaati hai
Kaan se dil mein utarti nahi’n baat
aur guftaar huee jaati hai
Dhal ke nikli hai haqeeqat jab se
kuch pur-asraar huee jaati hai
Ab to har zakhm ki munhband kali
lab-e-izhaar huee jaati hai
Phool hi phool hain har simt ''.....''
raah dushvaar huee jaati hai.
Miss Habib
11-13-2012, 01:19 PM
Dhal ke nikli hai haqeeqat jab se
kuch pur-asraar huee jaati hai
bohat zabardst Mahi
M A H i
11-13-2012, 08:08 PM
http://i60.tinypic.com/2a9qpat.jpg
Khuwabon Ki Kirchiyan
Samet,tay Samet,tay
Ek Lemhay K Liye
Mera Dil Chaha
K
Mian Bhi Inhi
Ki Terha
Tot Kar
Hazaron Tukron
Main Bikhar Jaon
Aur Koi Mujy
Taa Hayat Bhi
Mukamil Na Kar Skay ..
Bohat Kamaal Ki shairing Hai Mahi
Or Khaas Ker K Ye Nazm ( Y )
http://img717.imageshack.us/img717/5126/mirrordq.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/717/mirrordq.jpg/)
Khuwabon Ki Kirchiyan
Samet,tay Samet,tay
Ek Lemhay K Liye
Mera Dil Chaha
K
Mian Bhi Inhi
Ki Terha
Tot Kar
Hazaron Tukron
Main Bikhar Jaon
Aur Koi Mujy
Taa Hayat Bhi
Mukamil Na Kar Skay ..
Thankx For Shairing Mahi
Sehra
11-21-2012, 07:46 AM
Bottt Alaaa............. :)
http://img717.imageshack.us/img717/5126/mirrordq.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/717/mirrordq.jpg/)
Khuwabon Ki Kirchiyan
Samet,tay Samet,tay
Ek Lemhay K Liye
Mera Dil Chaha
K
Mian Bhi Inhi
Ki Terha
Tot Kar
Hazaron Tukron
Main Bikhar Jaon
Aur Koi Mujy
Taa Hayat Bhi
Mukamil Na Kar Skay ..
Prince7871
11-21-2012, 08:33 AM
nice ........
M A H i
11-21-2012, 12:03 PM
http://img197.imageshack.us/img197/8628/31525480.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/197/31525480.jpg/)
Khamoshiyo'n ko rakha hai mizaaj mein shaamil ,
Hum is tarah bhii hue ehtejaaj mein shaamil...
Shaam
11-25-2012, 11:28 AM
kahein muhabbat ke saraab hain
kahein hijr ke azaan hain
mei parh raha hoo "intikhab e mahi"
kia husn e intikhaab hain
(y)
Shaam
11-25-2012, 11:29 AM
thori si taseeh karloo... type me mistake hogai thi
kahein muhabbat ke saraab hain
kahein hijr ke azaab hain
mei parh raha hoo "intikhab e mahi"
kia husn e intikhaab hain
(y)
M A H i
11-26-2012, 12:42 PM
:bu:
:thankyou:
http://img197.imageshack.us/img197/8628/31525480.jpg (http://imageshack.us/photo/my-images/197/31525480.jpg/)
Khamoshiyo'n ko rakha hai mizaaj mein shaamil ,
Hum is tarah bhii hue ehtejaaj mein shaamil...
Beautiful Poetry With A Beautiful Image ( Y )
M A H i
05-20-2013, 07:59 PM
Abhi dilon main kahien roshni ka naam nahi
Agarche aik zamaana howa hai shaam dhalay
Musaafiraan-e-rah-e-ishq thak kay baith gaye
Zara sii door hawaaon kay saath saath chalay
Hamien udaas nahi kaar-zaar-e-hasti main
Kisi nay chain na paaya iss Aasmaan talay. . .
M A H i
05-20-2013, 08:01 PM
Hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab kii tarah
Agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi
Keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo
Zara sii dair ko chamkay chamak kay khoo jaye
Phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day
Na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day
Hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar
Agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hogi
Keh jaisay taiz hawaon ki zad main naqsh-e-qadam
Zara si dair k ubhray ubhar kay mit jaaye
Phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay
Had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay
Hamarii simt na dekho keh kuch dair main hum
Qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain
Basay basaaye howay shehar apni ankhon kay
Misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain
Hawa kaa shor yehi hai tou dekhtay rehnaa
Hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain
M A H i
08-24-2013, 07:50 PM
ITNA PARNA HAI KIYA :o
hergiz zehmat na keegiyga
M A H i
08-24-2013, 08:15 PM
Dastaan -e- Kull
http://i61.tinypic.com/j09ohx.jpg
Chupa deta main kisi taaq mein,
kisi khaana-e-daraz mein'
ya lapaitt ker oaraaq mein
milla deta kisi khaak mein;
jo hota ayaa'n to na kholta!
ke ye meri kitaab-e-zindagi
ba'unwaan-e-haasil-e-dil'lagi
anjaam-e-aashiqi warq warq
liye muntazir hai dard-o-karb'
jo hota gumaa'n to ye sochta!
ke mere bakht-e-sitam saaz ne
jo kiya tha darjj naseeb mein
sab raqm jis kitaab mein
kiyo'n laggi wohi , mere haath mein!!
per dard-o-ghum ki ghaat ka
mujhe ilm tha na aagahi
so ik ada-e-saadgi
se mein ne kitaab-e-zeest ko
khush khayal lamho'n mein
waqt waqt rok rok khola....
pehlay safhay pe khush rung-o-khush'numa andaz se
ik "lafz-e-roshan" tha likha;
ye lafz shanasa tha wohi
jo rawaa'n tha her her ragg mein hi
jissay harf harf sar-e-loh-e-jaa'n
parha tha dil-e-zaar ne
ussi lafz-e-saya dar ne'
kuch maani diye giraftt mein
phir rakha ta'umer hisaar mein!
ussi lafz-e-kull ki qeemate'n;
wohi lafz yani "Mohabbate'n"
na kisi aadaad-o-shumaar mein
palta jo warq aur ik ....
to darjj thi wohi qeemate'n
jin qeemato'n ki madd mein hi
mere roz-o-shab sab qaid thay;
baqi oaraaq kitaab ke...
ya siyaah thay.. ya sufaid thay!!
main kaatib-e-taqdeer ke
insaaf pe hairaan tha'
meri aankh ashkbar thi.. mera jism be'jaan tha'
ussi aalim-e-hairangi-o-aalim-e-pur'soz mein
junhi kitaab band ki;
to ik lafz aur darjj tha...
ye "lafz-e-siyaah" to azal se
zehan-o-dil pe naqsh tha'
meri hayyat to goya
2 lafzo'n ka qarz tha'
wo jo eik sar-e-pushtt tha.. wo jo eik sar-e-warq tha!
mujh per naseeb-e-zeest ka
andha sa her ik faisla
abb misl-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkar tha'
main naqsh'ba'deewar tha;;
so 2 lafzo'n pe mushtamil
korii kitaab-e-zeest ko
sar-e-taaq chup se rakh diya!
ke shaam ke anjaam se
sehar ke aaghaz tak
zeest se ajal ki
aakhri aawaz tak''''
darooney-o-bairoonay zaat
door tak pheli huyee...
ayaa'n thi'n mujh pe abb sabhi
bakhtt ki siyahiyaa'n
sar-e-warq sabtt "Mohabbate'n"
.
.
.
sar-e-pushtt likha tha "Judaiyaa'n!!"
Dastaan -e- Kull
http://i.tinyuploads.com/dRMsP5.jpg (http://www.tinyuploads.com/gallery/view/dRMsP5)
Chupa deta main kisi taaq mein,
kisi khaana-e-daraz mein'
ya lapaitt ker oaraaq mein
milla deta kisi khaak mein;
jo hota ayaa'n to na kholta!
ke ye meri kitaab-e-zindagi
ba'unwaan-e-haasil-e-dil'lagi
anjaam-e-aashiqi warq warq
liye muntazir hai dard-o-karb'
jo hota gumaa'n to ye sochta!
ke mere bakht-e-sitam saaz ne
jo kiya tha darjj naseeb mein
sab raqm jis kitaab mein
kiyo'n laggi wohi , mere haath mein!!
per dard-o-ghum ki ghaat ka
mujhe ilm tha na aagahi
so ik ada-e-saadgi
se mein ne kitaab-e-zeest ko
khush khayal lamho'n mein
waqt waqt rok rok khola....
pehlay safhay pe khush rung-o-khush'numa andaz se
ik "lafz-e-roshan" tha likha;
ye lafz shanasa tha wohi
jo rawaa'n tha her her ragg mein hi
jissay harf harf sar-e-loh-e-jaa'n
parha tha dil-e-zaar ne
ussi lafz-e-saya dar ne'
kuch maani diye giraftt mein
phir rakha ta'umer hisaar mein!
ussi lafz-e-kull ki qeemate'n;
wohi lafz yani "Mohabbate'n"
na kisi aadaad-o-shumaar mein
palta jo warq aur ik ....
to darjj thi wohi qeemate'n
jin qeemato'n ki madd mein hi
mere roz-o-shab sab qaid thay;
baqi oaraaq kitaab ke...
ya siyaah thay.. ya sufaid thay!!
main kaatib-e-taqdeer ke
insaaf pe hairaan tha'
meri aankh ashkbar thi.. mera jism be'jaan tha'
ussi aalim-e-hairangi-o-aalim-e-pur'soz mein
junhi kitaab band ki;
to ik lafz aur darjj tha...
ye "lafz-e-siyaah" to azal se
zehan-o-dil pe naqsh tha'
meri hayyat to goya
2 lafzo'n ka qarz tha'
wo jo eik sar-e-pushtt tha.. wo jo eik sar-e-warq tha!
mujh per naseeb-e-zeest ka
andha sa her ik faisla
abb misl-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkar tha'
main naqsh'ba'deewar tha;;
so 2 lafzo'n pe mushtamil
korii kitaab-e-zeest ko
sar-e-taaq chup se rakh diya!
ke shaam ke anjaam se
sehar ke aaghaz tak
zeest se ajal ki
aakhri aawaz tak''''
darooney-o-bairoonay zaat
door tak pheli huyee...
ayaa'n thi'n mujh pe abb sabhi
bakhtt ki siyahiyaa'n
sar-e-warq sabtt "Mohabbate'n"
.
.
.
sar-e-pushtt likha tha "Judaiyaa'n!!"
Wah zaberdast.
Cute Anam
08-26-2013, 02:50 AM
:bu: ..
M A H i
08-26-2013, 06:19 PM
Wah zaberdast.
Many Thanks
M A H i
08-28-2013, 01:01 PM
http://i61.tinypic.com/2jctt3k.jpg
Flower~
08-28-2013, 01:56 PM
beautiful sharing
M A H i
09-06-2013, 06:11 PM
http://i57.tinypic.com/70fbdf.jpg
Nahi agr Saath Chal SakteTu Phir Rahain Juda Kr Do
Mohabat Dosti Jo Kuch bhi hai Us se Raha Kr Do
Bohat he bojh hai Dil par sambhala Ab nahi jata
Mujhe Aahesta chalne do zara sa Fasala Kr Do
Tapash aisi hai Jo likhna bhi chahon likh nahi skati
Sulagti Aanch ko Madham Diye ki Loo siwa Kr Do
Wo Ek Lamha jahan Khomoshi bhi Awaz ban jaye
Saja rakhon gi Ankhon main Ye Dolat gar Atta Kr Do
Moqam-e- Ishaq ki Manzal Zara Asaan Ho Jaye
Gumaan lay kr Yakeen day do Usay Mera Khuda Kr Do
Ajab Wo Marhla aya k Hijer-o-Qarab Yaksaan Hain
Asar Ab Kuch nahi hota Jafa Kr lo Wafa Kr Do
Nazar Andaz Krne ka Gilla Ab ''.....'' Kiu Hai
Kaha tha Tum se Ye Kis ne K Arz-e-Mudua Kr Do
M A H i
09-06-2013, 06:16 PM
Ek Mohabbat Hai Bad gumaan Hona
Ek Haqeeqat Hai Dastaan Hona
Ek Taakalm Hai BeZabaan Hona
Aik Dori Hai Razdaan Hona
Ankh Kashti Hai Waqat pani Hai
Dil Pay Likha Hai Baadbaan Hona
Meri Sochhein Jala K Rakh day Ga
Teri Yaadoon Ka Saiabaan Hona
Ek Mohabbat Tera Samar Daina
Ek Tabaahi Tera Kamaan Hona
Tu Jo Aaye Tu Baat Banti Hai
Warna Umaroon Ka raiagaan Hona
.
.
.
''Mahi''hoti Hain Aisi Baatein Bhi
http://i.tinyuploads.com/2CC59G.jpg (http://www.tinyuploads.com/gallery/view/2CC59G)
Jin Ka Mumkin Nahi Bayaan Hona
M A H i
09-06-2013, 06:17 PM
http://i.tinyuploads.com/ycU4e3.jpg (http://www.tinyuploads.com/gallery/view/ycU4e3)
Mana K Marasam Nahi Bharpor Kisi Se
Hum Bazam-e-Nigaran Mein Nhi Door Kisi Se
Gu Koi Batata Nahi Ye Baat kisi Ko
Rehti Hai Mohabbat Kahein Mastour Kisi se
Dildar Hai koi Tu Dil Azaar Hai Koi
Masroor Kisi Se Hon To Ranjour Kisi Se
Jeenay K Liye Waqat Guzari K Elawaa
Pochoon Ga Koi Maqsad-o-Manshour Kisi Se
Wo paas Se Uth Kr Chale Jate Hain Magar Hum
Kuch Boltay Rehte Hain Badastour Kisi Se
Mashouq Se Dil Daad-e-Wafa Mang Raha Hai
Ujrat Ka Talab Gar Hai Mazdour Kisi se
Rehta Nahi Kuch Yaad Shaaour Aub Tumhein Pea Kr
Karte Ho Kisi Shakhs Ka Mazkour Kisi Se
M A H i
09-06-2013, 06:19 PM
http://i.tinyuploads.com/6VuVSf.jpg (http://www.tinyuploads.com/gallery/view/6VuVSf)
Ye Khaloos Koi Khaloos Hai Ke Dilon Mein Rabt-E-Bahum Nahi,
Tujhe Aitraf-E-Sitam Nahi Mujhe Aitbaar-E-Karam Nahi,
Ye FaQat Garoor Ki Baat Hai Ke Zubaanse Apni Tum Na Kaho,
Warna Tumko Iski Khalish To Hai Ke Tumhare Bazm Mein Hum Nahi...
M A H i
09-06-2013, 06:32 PM
http://i62.tinypic.com/24m973s.jpg
Kuch Is Tarha Se Main OOJ-e-KAMAL Donga Tujhe
K DOOB Kr Bhi Na SHAAM-e-ZAWAL Donga Tujhe
Kaha Nahi Tha Mere HALQA-e-ASAR Main Na Aa
Kabhi Jo MOOJ main Aya UCHAAL Donga Tujhe
Khabar Nahi Thi K Seenay Se Dil Bhi Nikly Ga
Mera KHAYAAAL Tha Dil Se NIKAAL Donga Tujhe
Kaha Kare Ga To Har Dum Koi WASAL.. WASAL
Ek Aise HIJER k Sanche Main DHAL Donga Tujhe
Jo Aa Gaya Tu Mere KHEMA-e-MOHABBAT Main
Tu AFTAB sa JAH-o-JALAL Donga Tujhe
Phir Aeyiana Bhi Jo Deakhy Tu DAN'G Reh Jaye
Kuch Is Tarha Se Main DAAD-e-JAMAL Donga Tujhe
M A H i
09-08-2013, 08:04 PM
http://i58.tinypic.com/21lnblu.jpg
ہے فقط معتبر وہی جس نے
قفل ہونٹوں پہ ڈال رکھے ہیں
زندگی۔۔۔۔۔۔۔۔بددعائیں دیتی ہے
ہم نے وہ شوق پال رکھےہیں
M A H i
09-13-2013, 10:43 PM
http://i61.tinypic.com/11ih6xl.jpg
Yahan kal talak thay jo raastay,woh lahuu ki naddiyon mein dhal gaye
Meray shehr aaj yeh kia hoaa,Teray khadd-o-khaal badal gaye
Humein roshni ki talab tu thi, na thi besh-o-kam ki hawas magar
Humein aaftaab na mil saka Tu'o chiraagh-e-shab se behal gaye
Yeh andher nagri hai dosto,kahan jaaye apna yeh kaarwan
Jinhein hum ne maana tha raahbar,Kisi aur raah nikal gaye
Yeh hawas yeh bhook ajeeb hai, jo mitaaye mit'ti nahi kabhi
Jinhein ghar ke hone se sab mila,Wohi aaj ghar ko nigal gaye
Gham-e-zindgaani ke silsilay thay bohat ajeeb-o-ghareeb se
Jinhein saayebaan ki talash thi,Woh samay ki dhoop mein jal gaye
M A H i
12-02-2013, 05:10 PM
http://i43.tinypic.com/99hpq1.jpg
مجھے ایسا لطف عطا کیا، جو ہجر تھا نہ وصال تھ
مرے موسموں کے مزاج داں، تجھے میرا کتنا خیال تھا
کسی اور چہرے کو دیکھ کر، تری شکل ذہن میں آگئی
تیرا نام لے کے ملا اسے، میرے حافظے کا یہ حال تھا
کبھی موسموں کے سراب میں، کبھی بام و در کے عذاب میں
وہاں عمر ہم نے گزار دی، جہاں سانس لینا مُحال تھا
کبھی تُو نے غور نہیں کیا، کہ یہ لوگ کیسے اُجڑ گئے؟
کوئی میر جیسا گرفتہ دل، تیرے سامنے کی مثال تھا
تیرے بعد کوئی نہیں ملا، جو یہ حال دیکھ کے پوچھتا
مجھے کس کی آگ جُھلسا گئی؟ میرے دل کو کس کا مَلال تھا؟
کہیں خون دل سے لکھا تو تھا، تیرے سال ہجر کا سانحہ
وہ ادھوری ڈائری کھو گئی، وہ نجانے کون سا سال تھا؟
M A H i
12-18-2013, 02:54 PM
http://i39.tinypic.com/2h801ux.jpg
بند باہر سے مری ذات کا در ھے مجھ میں
.
.
.
میں نہیں خود میں، یہ اک عام خبر ھے مجھ میں
~~KING~~
12-18-2013, 03:13 PM
Nice.....:bu:
M A H i
06-14-2014, 08:22 PM
سانس.... ٹوٹ جاتی ہے
مان.... ٹوٹ جانے سے
M A H i
09-16-2014, 03:02 PM
http://i61.tinypic.com/117wlxt.jpg
اپنے ماضی کے تصور سے ہراساں ہوں میں
اپنے گزرے ہوئے ایام سے نفرت ہے مجھے
اپنی بیقرار تمناؤں پے شرمندہ ہوں میں
اپنی بے سد امیدوں پے ندامت ہے مجھے
M A H i
09-16-2014, 03:07 PM
http://i57.tinypic.com/2nhl05i.jpg
ہمارے بعد عزیزو ہمارا افسانہ
کبھی جو یاد بھی آئے تو مختصر کہنا
Flower~
09-16-2014, 03:17 PM
بند باہر سے مری ذات کا در ھے مجھ میں
میں نہیں خود میں، یہ اک عام خبر ھے مجھ میں
beautiful sharing
M A H i
09-22-2014, 03:04 PM
http://i60.tinypic.com/13zwi1u.jpg
http://i61.tinypic.com/vpgboy.jpg
Miss Habib
07-01-2015, 12:08 PM
http://i.tinyuploads.com/6VuVSf.jpg (http://www.tinyuploads.com/gallery/view/6VuVSf)
Ye Khaloos Koi Khaloos Hai Ke Dilon Mein Rabt-E-Bahum Nahi,
Tujhe Aitraf-E-Sitam Nahi Mujhe Aitbaar-E-Karam Nahi,
Ye FaQat Garoor Ki Baat Hai Ke Zubaanse Apni Tum Na Kaho,
Warna Tumko Iski Khalish To Hai Ke Tumhare Bazm Mein Hum Nahi...
wahhh Mahi its speechless
Miss Habib
07-01-2015, 12:09 PM
http://i39.tinypic.com/2h801ux.jpg
بند باہر سے مری ذات کا در ھے مجھ میں
.
.
.
میں نہیں خود میں، یہ اک عام خبر ھے مجھ میں
bohat khooooob
M A H i
09-10-2016, 08:54 AM
Thanks............
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.