PDA

View Full Version : A Beutiful Letter To Me


Shaam
07-02-2011, 01:20 PM
Assalam Alaikum

One of the user wrote me a letter. And i was quite happy ke aisey loge maujood hain jo sahi ghalt ki nishandahi bhi karsaktey hain aur mujhey meri ghaltio pei toke bhi saktey hain.
Mei letter yaha naqal karha hoo waja kudh ko explain karna nahi bulke yah batana hai ke bahasiyat musalmaan ek dosrei pei haq hai ke ger koi ghalt karha hai tou us ko bataya jaye

I was writtern that

"Assalamo Alaikum!

That day you were saying that Taking Picture is not Allowed in Islam. Rite? Then why you are doing so? Be firm in your Views so that you have an affect in your talk.

Last Year app logo sy Salgirah ky Mubarakbaad wasool ker rahay thy + app nay mujhy Birthday bhi wish ki thi + U wrote a poem on birthday also(I remember)..just want to ask k kia iss saal appkay khyalaat change huey hain? because of Darsgah.. if it is so, am happy for you!"



pahhlei doosri baat ka jawab deta hoo...

last year me kia tha mujhey nahi pata... bahesiyat insaan merei khayalaat merii aimaal aisey they jin per aaj tak sharminda hoo. qabil nafrat had tak characterless aur be maqsad.. han darsgaah aur merei apno ki duaon ki waja sei aur kuch hasil karne ke lia mei badla. Aaj merei lia sab sei ziada aham Allah ki khushnoodi hai us ke baad logo ki bari ati hai koi bhi ho. Kio ke mei nei seekha hai ke Allah ko raazi karlo sab raazi hojain ge. Salgirah aur koi bhi bekaar ki mehfil ho mehendi mayon ratjaga aur ya kuch bhi ya mix gathering ho chahey qareebi rishtedaro ki mei nahi jata aur mei koi baraai bayaan nahi karha lekin yah sab ko karna chaiye kio ke aisy jagho pei Allah aur us ke farishto ki lanat barasti hai aur aisy jagha na hi jaya jaye tou bahter hai


Rahi baat picture ki han janta hoo ghalt hai.. yah ek like thi merie pass sshare karne ki waja hmmmm
yah batana maqsood hai ke ger me kuch kahta hoo tou us ko mei nei mahsoos ki ahai kudh per impliment karne ki koshish ki hai.... doosra maqsad kudh ko wazey karna hai ke Hammad Saeed Shamsi (Shaam) yah hai dikhney me ... khayalat me ... sochon me..... ger kisi ko mujh sei koi rabta rakhna hai aur jayiuz rabta rakhna hai tou aisey hio rakhey jaisey me hooo....meri dosti bhi Allah ke lia hai aur meri dushmani bhi Allah ke lia hai.

Kuch din me is ko del kardoonga InshaAllah

aur bohat shukria is letter ka ..... Umeed hai ainda bhi meri ghaltiio ki aisy hi nishandahi kartey rahein ge aap.

M A H i
07-02-2011, 03:07 PM
her insaan mein changes apni aqal,mushaaidy aur tajurby ki bina pr ati jati hai, her insaan seekh raha hai,koi kissi shaksiyat se mutasir hoker seekhta hai... aur seekhne ka amal jaari rehta hai , hamesha ! Allah ki taraf se Hidayat milne ki dair hoti hai kissi b saal, maheeny, din, lamhe mein ... aur pichla sab kuch kaha suna kia dhara maaf kerne wali b Allah he ki zaat hai.Hidayat paaker b ek dum se koi perfect nahi hojata,ghlatiyan berehaal hoti hain subse

jese Hammad ko hidayat mili humein sabaq lena chaaiye aur dua deni chaaiye k Allah haameesha is raah per chalne ki tofeeq de 'apko' bhi aur humko b iss taraf laaye (INSHALLAH)


IN THE END I JUST WANT TO SAY, If someone want to judge, judge yourself first and be a better person.
I'm also learning how to become a better person...

THANKS FOR SHARING SHAAM

!~*SOoLi
07-02-2011, 04:14 PM
kio ke mei nei seekha hai ke allah ko raazi karlo sab raazi hojain ge. Salgirah aur koi bhi bekaar ki mehfil ho mehendi mayon ratjaga aur ya kuch bhi ya mix gathering ho chahey qareebi rishtedaro ki mei nahi jata aur mei koi baraai bayaan nahi karha lekin yah sab ko karna chaiye kio ke aisy jagho pei allah aur us ke farishto ki lanat barasti hai aur aisy jagha na hi jaya jaye tou bahter hai


یار اللہ اور اس کے فرشتوں کی لعنت۔۔ ھممممم آپ کی باتیں میری عقل سے ماورا ہیں ، یا اللہ ھمممم اللہ کی لعنت
:)

Shaam
07-02-2011, 04:24 PM
: )

bhAI pe pardigi hoti hai lanat barasti hai

larkia nachti hain tou bhi lanat hi barasti hai rehmat tou utarney sei rahi

wo tamaam rusoomaat jo dosri aqwaam sei liye gaye wo haraam hain
aur haraam karnei sei rehmat tou barasney sei rahi
khair aap ki marzee aap samjhein na samjhein

Allah mujhey hi hidhayat die

ameen

Shaam
07-02-2011, 04:26 PM
Mahi dua ka shukria aur tah e dil sei itnei achey jazbaat rakhnei ka bhi..


Allah hum ko haq ki raahh dikhaye

ameen.

!~*SOoLi
07-02-2011, 09:07 PM
: )

bhai pe pardigi hoti hai lanat barasti hai

larkia nachti hain tou bhi lanat hi barasti hai rehmat tou utarney sei rahi

wo tamaam rusoomaat jo dosri aqwaam sei liye gaye wo haraam hain
aur haraam karnei sei rehmat tou barasney sei rahi
khair aap ki marzee aap samjhein na samjhein

allah mujhey hi hidhayat die

ameen

بات کرنے کا طریقہ سیکھ لو میرے بھائی بات کرنے کا طریقہ سیکھ لو میرے بھائی بات کرنے کا طریقہ سیکھ لو ۔۔۔ :)
آپ نے بے پردگی، عریانیت، ھندو رسومات کا ذکر اب کیا ھے، پہلے آپنے بے پردگی، عریانیت اور ہندو رسومات کا ذکر نہیں کیا، آپ نے ٹھک کر کے کہہ دیا کہ بھئی مہندی منانے والوں پر خدا کی لعنت، اب ھمارے ہاں سیدوں میں مردوں کو نہیں جانے دیتے، تو کیا وہ عرتیں جو خوشی منا رہی ھیں مہندی منا رہی ھیں، ان پر لعنت؟ ارے کیوں ایسی باتیں خدا کے ساتھ جوڑ کے خدا کا عجیب تاثر پیش کر رہے ھو لوگوں میں؟ ، او میرے عزیز محترم بھائی آپ کیا کرتے جا رھے ھو میری سمجھ سے باہر ھے، آپکی بات سن کے پتا ھے کیا نتیجہ نکلے گا؟ لوگ جو کہ ابھی آپ والے مقام پر نہیں پہنچے، جو کہ آپکی طرح نہیں سوچتے۔۔ وہ یہ سوچیں گہ آپکی بات سن کہ، "مولویوں کا کام تو بولنا ھے" اور نتیجہ یہ ھوگا کی کوئی ٹھیک طریقہ سے بھی اسلام کی بات انہیں بتائے گا۔۔ تو آپ والا امپریشن ان پر جو آثر چھوڑ گیا ھوگا، وہ سہی بات پر بھی کان نہیں دھریں گے۔۔ مہربانی بات کرنے کا طریقہ سیکھیں۔۔ بجائے یہ کہنے کہ، کہ جمعہ مبارک نہیں کہنا چاہیے بدعت ھے نئ چیز ھے، اپنی بات کا آغاز ایسے کریں کے لوگوں کو جمعہ مبارک کہنے کی بجائے وہ چیزیں کہو جو رسول اللہ نے کہیں۔۔ ھمممممم تاکہ اگلا بندہ آپ کے اس طریقہ گفتار کو بھانپ لے کہ آپ کیا کہنا چاہ رھیں ھیں۔۔۔ ھممممم

Noor ul huda
07-02-2011, 09:17 PM
SOoLi..........MashaALLAH sahi kaha app nay k aik dam sy aisi baat na karien k logo kay nazdeek Islaam ka Ajeeb impression paray..Liked your way! mujhy bhi aik dam sy Biddah nahi kehna chahye tha .. JazakALLAH for reminding!!!

Noor ul huda
07-02-2011, 09:18 PM
Shaam bhai, app nay iss baat ko positive liya yeh mayry liye buhut khushi ki baat hay.

!~*SOoLi
07-02-2011, 09:25 PM
sooli..........mashaallah sahi kaha app nay k aik dam sy aisi baat na karien k logo kay nazdeek islaam ka ajeeb impression paray..liked your way! Mujhy bhi aik dam sy biddah nahi kehna chahye tha .. Jazakallah for reminding!!!

آپ اسے بدت کہہ ھی نہیں سکتی، کیونکہ آپ خود کہہ رہی تھی کہ کبھی کبھی کہہ سکتے ہیں،۔۔ ہاں آپ یہ ضرور باور کروایں لوگو کو، کہ وہ عمل کرو جو سنت اور باعث ثواب ھے، اب اگر آپ نے کہہ دیا بدعت، تو وہ بندہ سوچے گا کہ پھر اس کا ترک لازمی، اور پھر وہ یہ بھی سوچے گا کہ اس عید پر بھی تو مبارک باد دیتے ھیں مصافحہ کرتے ھیں، اور پھر وہ اپنے علما سے بھی رابطہ کرے گا۔۔ یعنی۔۔ بات سنت کی، جو کہ اصل اور جڑ تھی، وہ پیچھے رہ گئی اور بیان بازی، اور دلائیل کا موضوع شروع ھوگیا۔۔

اور ہاں جو بندہ کہتا ھی کبھی کبھی ھو، وہ بھی سوچے گا کہ میں نے بدعت کا ارتکاب کردیا مبارک دے کر، اسے یہ معلوم ھی نہیں کہ محترمہ نیچے کمنٹس میں یہ بھی کہہ چکی ھیں کہ کبھی کبھی کہہ سکتے ھیں۔۔

Shaam
07-03-2011, 01:59 PM
tareeka bura laga maazrat

lekin bhai me aisey kisi islaam ko nahi manta jis me Allah ke rasool ke siwa kisi tareekei ko jayiz mana jaaye


mei ghalt tou ghalt sahi lekin merei lia Allah ke rasool ke battaye huwi khushyaa kaafi hain


mujhey kisi bhi ek EVENT jo ke rasm ho ya kuch bhi us ki riwayat pesh kardo ke yah NABI ne unke sahaba ne tabayeen ne taba tabayeen me sei kisi ne kia ho meri baat khatam hojaye gi ...


anyway behes khatam kartey hain ...

!~*SOoLi
07-05-2011, 03:45 AM
Mahendi Mein Mehramat Baithain Ho To Koi Muzayeqa Nahi, Ap Nahi Janaa Chahtay To Ye Apka Personal Point of View Hay, Aur Behtar Hay Usko Khuda Ki Lanat Ka Shikar Mat Banaye'n.. Baki Aik Aur Baat Kaho'nga, Apni Approach Positive Rakhain, Koi Shaq Nahi Apnay Saadgi Ka Libada Orh Liya Hay, Magar Jab Ap Kisi Aisay Banday Say Guftago Kartay Hain, Jo Kay Apni Routine Life Guzar Raha Hay, .. Aur Deen Ki Ataa Karda Sadgi Say Mehroom Hay, .. To Bara-e-Maherbani, Musbat Soch, Musbat Rastay Say, Musbat Tareeka Apna Kay, Usay Saadgi Ki Talkeen Kiya Karain, .. Agar Ap Us Par Charhai Kardaingay Kay Bayshaq Wo Shariya'h Hudood Mein Rehkay Apni Khushiya Manata Ho.. Usay Ye Sun'nay Ko Miljaye K Yaha Khuda Ki Lanat, Ye Haram.. To Phir Bass Sunli Usnay Apki Baat.. Number Aik Apko Wo "Molvi" Ka Laqab Day Kar Side Par Nikal Jayega.. (Jaisa Daur Chal Raha Hay Ajkal, Jo Molvi Kay Rutbay Say Waqif Nahi) .. Aur Number Do Agay Say Koi Deeni Baat Us Say Karayga, To Wo Us Mein Interest Nahi Show Karayga.. Bass Yehi Kehna Tha Mujhay.. Allah Hafiz

*NRB*
01-24-2012, 04:37 PM
hmmmmmmmmmmm

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.