View Full Version : Faiz Ahmed Faiz
tumhaarii yaad ke jab zaKhm bharane lagate hain
kisii bahaane tumhen yaad karane lagate hain
hadiis-e-yaar ke unavaaN nikharane lagate hain
to har hariim men gesuu saNvarane lagate hain
har ajanabii hamen maharam dikhaaii detaa hai
jo ab bhii terii galii galii se guzarane lagate hai.n
sabaa se karate hai.n Gurbat-nasiib zikr-e-vatan
to chashm-e-subah men aaNsuu ubharane lagate hain
vo jab bhii karate hai.n is nutq-o-lab kii baKhiyaagarii
fazaa men aur bhii naGmen bikharane lagate hain
dar-e-qafas pe aNdhere kii muhar lagatii hai
to "Faiz" dil men sitaare utarane lagate hain
Dashtey tanhai maen
aye janey jahan larzaan haen
teri awaaz k saye
terey honton k sarab
Dasht e tanhai maen doori ke khaso khak taley
Khil rahey haen terey pehloo k samaan aur gulab
Dshsht tanhai.......
Uth rahi hae kaheen qurbat sey teri saans ki aanch
Apni khushboo maen sulagti hui madham madham
Door ufaq par chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hae teri dildar nazar ki shabnam
Dasht e tanhai.....
Is qadar piyar sey aye jan e jahan rakha hae
Dil k rukhsar pe is waqt teri yaad ney haath
yeun guman hota hae gar che abhi hae subh faragh
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasal ki raat
Dasht tanhai...
ShArArTi MuNdA
01-20-2009, 08:40 AM
nice one
Dast-e-Tanhai
02-07-2009, 08:51 PM
niceeeee g8
Chashm e meegun zara idhar kar de
Dast e qudrat ko be asar kar de
Taiz hai aaj dard e dil SAQI
Talkhi-e-mae ko taiz tar kar de
Josh e wehshat hai tishna kaam abhi
Chaak e daman ko Taa'jigar kar de
Meri kismat say khelnay walay
Mujhay kismat sey bekhabar kar de
Lut rahi hai meri mata-e-niaz
Kaash wo is taraf nazar kar de
Faiz takmeel-eaarzoo maloom
Ho sakey to yun he basar kar de
FaiZ AhmeD FaiZ ""Naqshe Faryadi"
Himat e Ilataj nahin baki
zabt ka hosla nahin baki
Ik teri deed chin gayi mujh se
Warna dunya main kia nahin baki
Apni mashk e sitam se haath na khench
Main nahin ya wafa nahin baki
Teri chashm e alam nawaz ki khair
Dil main koi gila nahin baki
Ho chuka khatam ehd e hijr o wisaal
Zindagi main maza nahin baki
FaiZ AhmeD FaiZ ""Naqshe Faryadi"
Meray Dil Mere Musafir..!
Howa Phir Say Hukum Sadir..!
Keh Watan-badr Hoon Hum Tum..!
Dhein Gali Gali Saday'ain..!!
Karn Rukh Nagar Nagar Ka..
Kay Suraag Koi Payein..!!
Kisi Yaar Nama-bar Kar..!!
Har Ek Ajnabi Say Pochein..!!
Jo Patha Tha Apnay Ghar Ka..!
Sar Ko'ye NaShna'yaan..!!
Humein Din Say raat karna..!
Kabhi Issay Baat Karna..
Kabi Ussay Baat karna..!
Tumein Kia kahoon Kay Kia Hay..!
Shab-e-Gham Buri Bala Hay..!!
Humein Yeh Bhi Tha Ghanimat..!
Jo Koi Shumaar Hota..!
Humein Kia Bura Tha marna......!
Agar Eik Baar Hota
.
Faiz Ahmed Faiz
Book: Meray Dil Mere Musafir
A L i
02-08-2009, 02:22 AM
Excellent thread Bro
Uncle Tom
02-08-2009, 04:35 PM
Nice
Uncle Tom
02-08-2009, 04:36 PM
V Nice
Uncle Tom
02-08-2009, 04:36 PM
Cute poem
(‘“*JiĢäR*”’)
08-19-2010, 12:34 PM
:bu:....
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.