PDA

View Full Version : woh apne ishq main kaisa kamaal rakhta hai


Nick
01-18-2009, 06:09 PM
woh apne ishq main kaisa kamaal rakhta hai
k be rukhi main bhi mere khayal rakhta hai

jo aaj mera nahi kal mera huga
k har zamana urooj-o-zawaal rakhta hai

ajab nahi k jahan bhar ko bewafa samjhay
nazar main meri wafa ki misaal rakhta hai

meri uraan k agay hai kis kadar be bas
yeh aasmaan jo sitaaron ka jaal rakhta hai

muqabil saf-e-aadaad hai is tarhan Khawar
k tabag rakhta hai aur na dhaal rakhta hai

Nida-H
01-19-2009, 12:38 PM
Nice one..

-|A|-
01-19-2009, 04:49 PM
Good One

SHAYAN
01-20-2011, 02:00 AM
Nice...
T 4 S

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.