life
06-30-2011, 05:04 AM
sauchta hoo'n aaga'hee k iss safar ne kya dya
khoo'n jalanay k siwa meray hunar ne kya dya
meri shakho'n se lipat kar aasmaa'n tak chhoo liya
aur ab bailain ye kehti hain..shajar ne kya dya
jiss ne apni har khushi ghar ki khushi par waar di
aik wehshat k ilawa uss ko ghar ne kya dya
kab wo shamil ho saka meray kisi ahsaas mai
sath chalnay k siwa ik ham safar ne kya daya
umr k andhay safar mai kaun rakhta hai hisaab
manzilo'n say kia mila hai, reh'guzar ne kya dya
aarzoo'ain kiss qadar karti hain dil par aitebaar
aarzuo'n ko dil e naa moatabar ne kya dya
"SHAD" dil mai har taraf ab khwahisho'n ka shor hai
mainay apni ik tamanna ko ubharnay kya dya