PDA

View Full Version : Musalman k Musalman per 07 Haqooq...!!


life
06-26-2011, 04:54 AM
Musalman k Musalman per 07 Haqooq...!!
Hazrat al-bar'a bin Azib (r.a) say rewayat hai....Nabi Karim (S.A.W) nay farmaya k aik musalman k dossary musalman per 07 haqooq hain..

1-Uss ku salam main pehel kerna
2-Uss ku cheenk aye aur woh Alhamdu-lillah kahay tu jawab main yarhamk-mullah kehna.
4-Ager beemar ho tu us ki ayaadat kerna.
3-Uss ki khair khuwahi kerna.
5-Ager mazloom ho tu jitna mumkin ho sakay uss ki madad kerna.
6-Ager sachi qasam uthaye tu uss ki qasam puri kernay main uss ki madad kerna
7-Uss k marnay k baad uss k janazay main shareek hona.

Yahan ye baat bhi note ker lenee chahye k gunnah aur ziadti k kamoon main madad kernay say Allah nay mana faramnya hai..

"Naikee k kamoon main aik doosary say ta'awunn karo..aur gunnah aur ziaadatee k kamoon main aik dosaray ka ta'awunn mat karo ur darty raho Allah say beshak Allah sakhat saza denay wala hai..(surah Al-Maida- Verse-02)

life
06-28-2011, 02:50 AM
Abdullah bin masood Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi Wasallam ko Mairaj hua to Aap sidaratul muntaha tak pahunchey aur wo chatey (sixth) aasman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le liya jata hai Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ko wahan 3 cheezzein di gayee Ek Paanch (5) namazein, dusra Surah Baqra ki Aakhri aaytein, Teesra Alllah subhanahu ne baksh diya Aap Sallallaho Alaihi Wasallam ki ummat mein se har us shaksh ko jo Allah ke Saath Shirk nahi karey
Sahih Muslim , 431

Sami
06-28-2011, 04:02 AM
Subhan ALLAH .. !!

life
06-28-2011, 04:27 AM
thanks sami..

Sami
06-28-2011, 04:53 AM
YEw Welc0me .. !!

Alishbah83
06-28-2011, 06:50 AM
nice post has been shared...the message delivered by it is really nice..keep it up

life
06-28-2011, 07:41 AM
thanks sami

life
06-28-2011, 07:41 AM
thanks Alishbah siso

ღƬαsнι☣Rασ™
07-08-2012, 08:26 PM
Jazak allah
Jazak Allah
Thanks fOr Shar!ng

life
08-13-2012, 01:55 AM
buhat khush rahye T R ji

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.