View Full Version : !~Kisi Say Nafrat Kis Wajah Sy Shouro Huti Hay?
Noor ul huda
06-26-2011, 02:09 AM
Kio Hamay Nafrat Hujati hay Aik Insan Say Jo Hamay Pehly Acha Lagta tha?
!~*SOoLi
06-26-2011, 08:58 AM
He couldn't reach There, where your Expectitions Lies..
خلاف طبیعت، دل آزاری کا سبب، چغل خوری، انا میں رھنا تواتر کے ساتھ،
دل دکھانا تو چلو برداشت ھوجاتا ہے ۔۔
Shaam
06-26-2011, 06:06 PM
Mujhey maqsad clear nahi huwa tumahrei sawal ka
thora clear karo tou usi tarha sei apna point of view doo
Noor ul huda
06-26-2011, 06:17 PM
He couldn't reach There, where your Expectitions Lies..
خلاف طبیعت، دل آزاری کا سبب، چغل خوری، انا میں رھنا تواتر کے ساتھ،
دل دکھانا تو چلو برداشت ھوجاتا ہے ۔۔
Hmm..Yes these reasons are included.
Noor ul huda
06-26-2011, 06:19 PM
My question is ham dosrou ky liye dil may nafrat kab paalnay lagty hain, kia wujohaat huti hain?
Shaam
06-26-2011, 06:29 PM
hjmmmm
chalo bataoonga filhaal tou zehen me nahi arha : )
jb koi trust tory dhoka dy toe pyar nai nfrat ho jati hyyyyyyyyyyyy.....
Zafina
06-27-2011, 03:52 PM
Aik Quote hay k insan duk nahi dety un sai wabsta umeedain duk deti hay..Jub hum kisi insan sai buhat achi umeed rakty hay aur wo us per pura nahi utharta tu humy us sai nafrat huti hay.. solution yahi hay k apni tawakat kaam ker lain..Nafrat hal nahi :D ...
Noor ul huda
06-27-2011, 09:52 PM
Very Nice lily And Zafi!
I Think Jab Ap Kisi Insan Se Kuch Chahtey Hain 0r W0 Apke Us Kam K0 Ne Kar Pata T0u Nafrat H0jati Hai .. !!
Gulalai Jan
06-27-2011, 10:33 PM
Jo log hamain achay lagte hain(heart) , hum un ki baato se zyda hurt hote hain sahed iss he liyay ager woh insan hamain ignore kare jhoot bole tu zyda dil kharab hota hai , aur yeahi nafrat ka bais banta hai :smack:
Noor ul huda
06-28-2011, 12:07 AM
Yes..Sami and Gulalai.. U both are right!
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
06-28-2011, 06:16 PM
Ha Kabhi KAbhi Asa hojat hy hy but is sy nijaat ke liye humhy apny zurf ko bara kerna prta hy"
ager isi situation sy akabhi wasta pr jay to bujny kel iye kyu ke humhy kis sy kabhi nafrat nhi kerni chiye
Shaam
06-28-2011, 07:20 PM
hmmmm
nafrat insaani kamzori hai ger personal ho
maqsad ke tehet ho tou aur baat hai wagarna hamari zaat ki kamzori nafrat ya aisey hi kisi negetive jazbety ke tehet ayaan hoti hai
maqsadiyat ho tou waha bhi nafrat ki jagha gussa aur na pasandeedgi ka jazba hota hai
nafrat insaan sei koi zi hosh insan nahi karsakta
kisi ne mujh sei ek baat kahi thi share karraha hoo
kisi sei nafrat na karo
har insaan y aAllah ka dost hota hai ya dushman
dost hai tou nafrat karna bekaar hai
aur dushman hai tou
allah kaafi hai us ki dushmani ke lia
aur zahiri reasion hmmmmmmm
well hamari ana ko chote parti hai hamara koi mafaad koi soch koi jazba hurt hmota hai aur wo hum apni tazlil
bardasht nahi karpaatey tou us repulsive jazbey ko nafrat kahdetey hain
Shaam
06-28-2011, 07:22 PM
han ek baat aur yaha insaan aisey hain ke jazbey bhi ek sei nahi rakhsatey
akser dekha hai muhabbat aarzi hoti hai
nafarat aarzi
sab kuch waqt ke sath ghatta barhta rahta hai
aaj kisi ki shakal dekhne ka rawadaar nahi
kal wo behtreen dost hoga
i mean yah character ki kamzori ke siwa kuch nahi
Noor ul huda
06-28-2011, 07:29 PM
Yes you are right!
tu may nay yeh sab iss liye poocha tha k reasons maloom hu .. Nafrat ki Bunyadi wajah "Badgumaani" huti hay, uss hi say baat barhti ryhti hay.. iss liye Islam nay Badgumaani sy mana farmaya aur aik HADITH ka mafhoom yeh hay k
" Kisi insan kay baray may Raye denay lago tu 70 baar achaa soocho uss ky baaray may,, phir baat kero, aur jab 70 baar may bhi tum uss kay baray may acha gumaan na la saky tu 71 baar soocho" SUbhanALLAH,
Jab kay ham aik hi dafa may nafrat shouro ker dety hain jo kabhi kabar poori zindagi baqi ryhti hay.
Shaam
06-28-2011, 07:46 PM
ek aur hadth hai ke wo shaks jannat me nahi jaye ga jis ke dil me kisi musalman ke lia keena hoga
aur jo mei nei kaha wo sirf buzurgaan e deen aur Paighamber e islam SAW ko zehen me rakha ke kio inko kisi sei nafrat na hooi
aur waja saaf zahir thi kio ke
kudh ko fana kardia tha
anaa kudh ki baraai
kudh numaai
kudh parasti
kisi ki hasiyat na thi
is lia unko kisi ki baat buri nahi lagti thi
)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
06-29-2011, 10:02 AM
Shaam Brother And siddiqa_Hijab ap ny shi kha or mojhe yha bhot si baato ka pata chula hy realy nice is sy humhy life guzarny me help milti hy
so nice and keep shairng here..
Noor ul huda
07-17-2011, 01:17 AM
JazakALLAH sis!!!!
CaReLeSs
07-17-2011, 01:41 AM
Pata nae :P
PRINCE SHAAN
07-17-2011, 08:20 AM
Jhoot aur fareb
.................................................. .....
Noor ul huda
07-19-2011, 02:09 AM
Yes! This is also a Reason.
Mf Great Power
07-19-2011, 11:13 AM
Nice Sharing
kool dud€
07-19-2011, 01:40 PM
jhoot ki waja se
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.