life
06-26-2011, 01:16 AM
Is karri dhoop Me jalty huay Paon ki tarah
Woh kisi Aur k Aangan me hai chhaon ki tarah
Who jo waqif hay mere jazbon ki sachai se
Phir kiyon khamosh hai pathar k khudaon ki tarah
Mein to khushboo ki tarah sath raha hun us k
Who bhatakti rahi bechain hawaon ki tarah
Who jo berbad huay thay wahi badnaam huay hen
Who to Masoom rahe apni Adaon ki tarah
Gham to ye hai k Hamein koi khushi Raas na Aai
Zindagi kaat rahe hain Hum sazaon ki tarah