Sami
06-22-2011, 03:19 AM
wo muhabton ki adhori kitab lagta hai
utrey na jis ka khumar wo sharab lagta hai
wo mujh se mujh ko bhi cheen leta hai
merey khayalon ki saltnat ka wo nawab lagta hai
wo sang chaley to fasley bhi simat se jatey hain
us k baghair sahal safar bhi azab lagta hai
jo poch bethon us se k chor to na jao gey
hans k kehta hai aap ko aisey kiyon janab lagta hai
merey shabo-o-roz to usi se mansoob hain Nadeem
zamaney ko chahey wo khrab lagta hai