PDA

View Full Version : say for your FATHER


Shaam
06-19-2011, 09:50 PM
FATHER
BABA
DAD
ABBU
DADDY


hmmmm


yah wo shaks hai jis ne apni jawaani hum niochore ke pilaadi


us ki raza me Allah ne apni raza rakhdi


hmmm alfaz tou nahi hain ke ek baap ke lia kuch likha jaye per

kudh phatey huway joote pehen kar bachon ke shoes per subha school se pahlei polish karnta hai ek baap

akser dua zaban sei nahi deita maa ki tarha per dil me her dam aulaad ke lia khair

wo rota nahi mad haina takleef per lekin nidhaal hojata hai kamar toot jaati haio us ki aulaad ke dukh per

sarapa e muhabbat ger maa hai tou sarapa e eesaar o shafqat baap


ek dua dein apne aur sab ke fathers ko yaha koi si bhi

aur ger hosakei tou koi achi si baap jo aap ke father ne aap sei kahi.....

Zafina
06-19-2011, 09:58 PM
ALLAH meray Abba jii ku Lambi Umar de Emaan Aur sehat k sath Aameen..Me un k ahsaan gin hi nahi sakti ALLAH un sai razi hu aur wo ALLAH sai razi hu jain.. My DAD is my Super hero :super:

Meray Dad ki jawani ki Pic ju mujhy buhat zyda pasand hay
https://fbcdn-sphotos-a.akamaihd.net/hphotos-ak-snc3/23803_407916953668_715593668_5024634_5663919_n.jpg

!~*SOoLi
06-20-2011, 01:37 AM
Very Nice Thread Hammad, .. Kahonga Zaroor Kahonga Mein Bhi Mein Nay Kuch Likha Tha Unkay Liye..
Aik To Mein Apni Poetry Sanbhal Kar Nahi Rakhta.. Wait Mein Apnay OLD Threads Say Dhoond K Laya..

!~*SOoLi
06-20-2011, 01:40 AM
Is Ghar Main Abbu Kabhi Mujhay Bulaya Kartay Thay ..
Bohat Pyaar Say Apnay Pass Mujhay Bithaya Kartay Thay ..

Dostana Andaaz Main Mere Kandhay Par Hath Rakh Daitay ..
Bachpan Main Lagay Zakhm Jab Mujhay Rulaya Kartay Thay ..

Un Ki Daant Dapat Main Chupa Hay Mera Roshan Mustakbil ..
Dant'tnay Kay Baad Shafqat Say Mujhay Samjhaya Kartay Thay ..

Main Un Ki Baho'n Kay Hisaar Main Khud Ko Mehfooz Pata Tha ..
Khamosh Raat Kay Adhairay Jab Mujhay Daraya Kartay Thay ..

Wo Apnaiyat Ki Hiddat Mehsoos Karta Hoon Main Aaj Bhi ..
Abbu Apnay Seenay Say Jab Mujhay Lagaya Kartay Thay ..

Raat Ko Sotay Howay Kabhi Main Bayarami Mehsoos Karta To ..
Mere Aram Ki Khatir Apnay Bazo Ka Takiya Banaya Kartay Thay ..

Kabhi Kisi Pal You'n Hi Jab Main Udaas Howa Karta To ..
Un Lamho'n Ko Nit Naye Chutkalo'n Say Sajaya Kartay Thay ..

Bass Isi Dar Say Kay Bacha Kahi'n Larkhara Na Jaye ..
Meri Raah Ki Har Rukawat Ko Wo Hataya Kartay Thay ..

Kabhi Agar Main Ulajh Jata Buray Kamo'n Main To Wo ..
Apni Tarbiyat Say Mere Aibo'n Ko Mitaya Kartay Thay ..

Ye To Kuch Yadain Hain Jo Paywasta Hain Meri Rooh Main ..
Dhundla Chukay Hain Wo Pal Jo Mera Dil Behlaya Kartay Thay ..

Khushnaseeb Hain Wo Log Jin Kay Waldain Salamat Hain Un Par ..
Kabhi Hum Bhi Un Ki Khidmat Say Jannat Kamaya Kartay Thay ..

AFghani_Laila
06-20-2011, 10:43 AM
Hmmm Mere PApa Ke Bare Mai Mai Kya Kahon Mujhe Samaj Nahi Arha
Lekin Itna Kahongi Ke Mere Papa Mere Liye Sab Kuch HAiii
ALLAH ONhe Lambi ZIndagi De Aur Sehetmandi KE Saath Aur Hamh eItni Tufeeq Ke Hum On KI Bohut Khidmat Kar Sake
On Ka Saya HAmesha Hum Par Rahe On KE Bina Hum Kuch Bhi Nahii
Aur ALLAH Sab KE PApa Ko Lambi ZIndagi De Aur Jin Ke Baba Nahi Afsos Ke Saath :(
ALLAH Onhe JANNAT UL FIrdous NAseeb KAre Aur On Ki Har Gunaah Maaf Ho
ALLAH HUMA AMEEN

Shaam
06-20-2011, 01:22 PM
jazak Allah All

Zafi bohat zabardasti pic hai tumharei father ki Allah : )

Sooli chaa gaye yaar
khush raho aur hmm Allah rehmat me rakhey walid ko tumahre


afghaani bohat shukria per uncle itnei achey hain tou aap unsei kahdein na lolz
dekhein yaha larki maan gai hai mei tayyar hoo aap ko dawat di hai aap with family aayein
hamarei sir ankhon per lekin plz ek land cruiser ka tohfa chaiye mujhey aap ki taraf sei bus lolz

Shaam
06-20-2011, 01:27 PM
ek dua jo mei apne waldein ko ke lia karta hoo

hmmm

Aye Allah merei walidein ko apni rastey pei chala...unka khatma bil khair farma...tadair apni ibadat ki taufeeq ata farmaa...unper hisab kitaab asaan farma....unsei deen ka kaam leilei aur unki aur hum sab ki maghfirat farma aur App Saw ki shifaat naseeb farma .. Ameen


achi baat abbu ki hmmm
kia kia likhoo

waqtan fawaqtan share karooga filhaal

1992 sei 2001 tak crises they .... mushkil waqt tha..magr hamari zaroorat kabhi nahi ruki... us shaks ne 9 10 saal lkaprey nahi banwaye .... paints phat gai thein per jat raha chalata raha.......hum usi tarha english medium school me parhtey rahey...sab kuch hamrei lia waisa hi tha jaisey ek chath mausam ko kudh bardasht karti hai aur makeeno ko ek ahsaas deitai hai
tahaffuz ka hmm : )

AFghani_Laila
06-20-2011, 07:23 PM
ALLAH HUMA AMEEEN
MASHAALLLAH Kya Dua Ki Hai Kya Kaha Hai Maah Papa TU Eak Esi Hasti Hai KE Jitna Bolo Otna Kam Hai Sach Mai

Aur Rahi Baat aPp Ki Dawat Ki Lolzzz INSHAALLAH
Mere Papa Ache Hai LEkin Landcruiser APp Ko dede Free Mai lol lol Hahahah Koshish Karengay :D ahHahhaa

Zafina
06-20-2011, 08:26 PM
wow MashaALLAH bhaya Great.... ALLAH apkay Abba Ku Lambi OmAr Aameen... ALLAH apko un k liye sadka jariya banaye

@ SooLi.. Great poetry.. Really wonderful wording.
@ Afghani.. Nice thoughts ALLAH apkay Abbo ku emaan sehat aur afiyat de Aameen.

!~*SOoLi
06-20-2011, 09:46 PM
hmmmm.. Meri Dua Hoti Hay, " Ay Allah Shafqat Say Paish Ana Mere Waldain Kay Sath, Jaisa Paala Unho Nay Mujhay Bachpan Mein, .. Alam-e-Arwah Mein Unko Aik Doosray Ki Taskeen Ka Zariya Karna.. Unhain Ikathay Rakhna.. Gunnah Muaf Farmana Aur Humain Unkay Liye Sadqa-e-Jariya Ban'nay Ki Tofeeq Ata Farmana.. Aur Khoobi , .. Khoobiya'n To bohat Si Thi Par Aik Cheez Jo Aj Bhi Meri Ankho Mein Anso Lay Ati Hay.. Wo Ye Kay Nau Umri Say Hi Yehi Koi 23 Ya 24 Ki Age Say Unko Aik Problem Thi, .. Science Ki Zuban Mein Usay Epilepsi Kehtay Hain.. Wo Khoon Ki Rawani Aik Second K Liye Rok Daiti Aur Uska Nateeja Ye Hota Tha K Wo Kharay Kharay Gir Jatay Thay.. Ye Condition Thirties Tak To Sahi Rahi Jawani Mein Bardasht Kar Laitay Thay Girtay Nahi Thay.. Magar Jab Fourty Cross Kiya To Wo Baat Kartay Kartay Gir Jatay Thay.. Kuch Bhi Kaam Kar Rahay Hain, .. Jerk Howa Aur Gir Gaye.. Bass.. Is Condition Mein Bhi Wo Humaray Liye Paisa Kamatay Rahay Abroad.. Akele Rehkay.. Mere Ankho K Samnay Kitna Girtay Thay.. Pata Nahi Humari Ghair Hazri Mein Waha Kitna Girtay Hongay.. Allah Unka Ye Amal Qabool O Manzoor Farmaye.. Ameen

AFghani_Laila
06-20-2011, 11:47 PM
ALLAH HUMA AMEEN ALLAH HUMA AMEEEN YA Rabb
Awww SOoli ALLAH Tumhe Hosla De Sabar de Aur Hamesha Himmat se kaam Lena
Aur aPp Ke Mama Pap aKo Jannat NAseeb Kare ALLAH HUMA AMEEN

Noor ul huda
06-24-2011, 02:57 AM
Nice Thread.

Mayry abbou ki sab say best baat yeh hay k unhou nay hamay buhut achi sooch di hay. Confidence dia hay. unho nay kabhi hamay hijaab kerny per majboor nahi kia balkay souch hi itni saaf rakhi ky khud ba khud achy bury ki pehchan hugayi. woh ham sy her baat clearly kerty hain, k baita ajj kal paisy nahi guzra kero etc haha :P I like his walk!

mayri unky liye Dua huti hay k ALLAH unko mayry grand sons bhi dikhaye hehe! LONG LIFE~~!

Sami
06-24-2011, 06:26 AM
Duaa T0u Bas Itni Hai K "W0 Hamesha Khush Rahen .. 0r Mujpe Gussa Kam Karen :p I L0ve My Dad"

CaReLeSs
07-22-2011, 05:59 PM
ALLAH hum Sub Musalmanooon ko muaf farma Or Humain Achay kaam karnay ke taufeeq ata farma Or Humari sub ke duain Qabool farma ..
Ameen Summa Ameen

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
07-22-2011, 08:15 PM
[CENTER]Abu g[........../CENTER]

Fatima Javaid
07-24-2011, 06:34 PM
v nice all
alhamdoLILAH mery ABBA b boht achy hain baap ka to sirf saya hi beti k liye dunya ki sb se bari naimat mai se aik hai..
well mery abba ki mai boht ladli hon ghar walun se jasy b hun mery liye wo kahty hain fati tumhain satt khon muaf hain ..
bhai mazak mai chairty hain to mai b jan boj k abbaaaaa bolti hun bs phr bhaiun ki khar ni..
boht gily hain mujhy apny abba se shayd ap logon ko ajeeb lagy k baap se kasa shikwa magr koi ni smj skta...
magr mai wo sb kisi se share b ni kar skti ...
khar ALLAH sb k walidain salamat rakhy jana sb ko hai magr dua hai sb k fatherz apni apni zimadarian yani betiun ki zimadari se farg ho k jain
ALLAH bless 4 all fathrzzz
i love my ABBBa

noman nomi
07-25-2011, 04:51 PM
All above prayers are really nice,
I Just want to say,,,, I love you Dadi.....
Allah sab k Parents ko lambi khushiyon bhari zindgi day or un ka saya hamary saron par qayam rakhy.
Aameen.

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.