ROSE
06-19-2011, 07:01 PM
Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dety
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dety
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dety
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dety
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dety
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dety
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dety
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dety
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dety
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dety
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dety
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dety