life
06-19-2011, 08:32 AM
""kuch pal dil e be nawa ke naam"""
""kuch pal dil e be nawa ke naam"""
hijr ke kohre ki zad mein aaye dil ko muhabat ki tamazat ki sada tamana rehti hai ,jaise zare ko suraj ki ik kiran ki hajat be chain rakhti hai ke suraj ki ik nanhi si kiran se woh roshan ho kr jagmaga uthta hai
mera dil bhi to uss zare ki manind roshni ki kiran ka talabgaar rehta hai ke jiski ik nanhi si kiran mere wajood ko roshni ke noor se bhar de gi
TAlab ke uss raste ki musaftein bhale kitni hi khathin q na houn muhabat sada dil ki zameen ko aansooyon ke pani se nam rakhti hai
kabhi mujhe lagta hai ke roshni ki nanhi si jhalak pa kr meri be chaini khatam nahi huyi balk or badh gayi hai ,
hijr ki tundi dil ko or gudaz karti ja rahi hai
or tan man ke andar beitha nafs paich o taap kha kr din raat TALAB ke raste se hatane ki laga taar koshishein kr raha hai magar roshni ki talab zare ko
apni our apni our khinchti rehti hai ,wh andheiron se khofzada ho kr roshni ki justajoo karta rehta hai or apne sath lage aasteen ke saanp se bachne ki bharpoor sayyi karta hai
qk jub apne dushman ki khabar ho jaye to usk waar se bhi khud ko mehfooz karne ki soch hameisha sath rehti hai or yehi lagan usse apne dushman e maar e siyah se mehfooz rakhti hai
tab man ke andar barishon ka dour shuroo hone lagta hai ,dil ki nam mitti zerkheiz se zarkheiz tar hoti jati hai or inhi lamhat mein marfat ke beej dil ki pakeeza mitti mein bo diye jate hain
phir iss beej se dard ke phool niklein ya muhabat ki aakas beil ,ya phir ishq ka tanawar darakht jo apne saaye mein jane kitni naslon ko rahat de koi nahi janta , koi nahi janta ma siwa uss RAB E ZOOLJALAL KE jiski SHAN AZEEM HAI jo KAB bhalayi ka rasta kisko dikha de KOI NAHI JANTA