PDA

View Full Version : Share Filmi Ghazlein


Shaam
06-17-2011, 07:50 PM
Pakistani aur Hindi filmon mei bohat si ghazlein aur geet gaaye gaye

kuch naghmey jo aap ko pasnd hon wo ghazlein aur wo geet jo filmon me gaaye gaye.....


Share FILMI GHAZLEIN aur GEET

Shaam
06-17-2011, 07:57 PM
Main tere sang kaise chaloon sajna
Tu samander hai main sahiloon ki hawa

Tu mera haath khwaboon mein le ke chale, meherbani teri
Teri ahat se dil ka daricha khuley, main deewani teri
Tu ghoobar-e-safer main khizaoon ki sada
Tu samander hai main sahiloon ki haw

Tu baharoon ki hari shaam hai main sitara tera
Zindagi ki zamanat tera naam hai, tu sahara mera
Main ne saree Khudai mein tujh ko chuna
Tu samander hai main, sahiloon ki hawa

Tu chala to sitare bhi chalne lagey asmaan ki tarhan
Khwab pe khwab ankhoon mein jalne lage arzoo ki tarhan
Teree manzil bane mera her rasta
Tu samander hai main sahiloon ki hawa
Main tere sang kaise chaloon sajna
tu samander hai main sahiloon ki hawa

!~*SOoLi
06-17-2011, 08:01 PM
Baykhudi Ki Zindagi Hum Jia Nahi Kartay,..
Cheen Kar Jaam Kisi Say Piya Nahi Kartay..
Unhain Pyar Hay To Akar Izhar Karain..
Peecha Hum Bhi Kisi Ka Kiya Nahi Kartay..

Shaam
06-17-2011, 08:29 PM
poori ghazal share kardo bhai

!~*SOoLi
06-17-2011, 08:39 PM
Sure Kion Nai.. Vedio Form Main Chalaygi Ya Type Kardoon?

My Most Fav Drama, Dhoop Kinaray Aur Nayara Noor, Apni Top Fav..

http://www.youtube.com/watch?v=vEAdzgYZOcc

!~*SOoLi
06-17-2011, 08:41 PM
http://www.youtube.com/watch?v=X0GhNujBejo

Gar Mujhay Iska Yakeen Ho
Drama Khaleej, Singer Tina Sani Kalam-e-Faiz

!~*SOoLi
06-17-2011, 08:43 PM
http://www.youtube.com/watch?v=oFHFxuW2K-Q

Dhoop Kinaray, Nayara Noor.. Kalam-e-Faiz

Shaam
06-17-2011, 08:53 PM
kia baat hai my fav one yah dhoop kinarae wala per music me sunta nahi isi lia sab sei kaha ke bhai likh ke share karlo lolz


lekin really awsum choice.

M A H i
06-18-2011, 02:43 PM
yeh lyrics thread ka idea mujhe b aya tha...

KHAIR iftitah tou hui....

Keep Continue!

Shaam
06-18-2011, 02:47 PM
dekh lein bus : )

share karein forann

Shaam
06-20-2011, 08:16 PM
i LOVE this from CHAND GARHAN

ujhe vida kar
Aey meri zaat, phir mujhe vida kar
Woh log kya kahain gay , meri zaat
Log, jo hazaar saal se
Mere kalaam ko taras gaye

Mujhe vida kar
Main tere saath apne aap ke syaah GHaar main
Bohot panaah le chuka
Main apne haath paaon apne dil ki aag main
Tapa chuka

Mujhe vida kar
Ke aab-o-gul ke aanso'on ke aayinon
Ki be-sadaai sun sakoon
Hayaat-o-marg ka salaam-e-roostaai sun sakoon
Main roz-o-shab ke dast-o-pa ki narsaai sun sakoon

Mujhe vida kar
Bohot hi dair --- dair jaisi dair ho gayi
Ke ab ghaRi main beesveen saa'i ki raat baj chuki
Shajar hajar woh janwar
Wo taayraan-e-Khasta-par
Hazaar saal se jo haal main , zameen par
Mukalmay main jama hain
Wo kya kahenge, main khudaaaon ki tarah
Azl ke be-vafaaon ki tarah
Phir apne ahad-e-mansabi se phir gaya

Mujhe vida kar, ai meri zaat
Tu apne rozanon ke paas aake dekh le
Ke zahan-e-na tamaam ki Masahaton main phir
Haraas ki kHizaan ke barg-e-khushk yun bikhar gaye
Ke jaise shahar hast main
Ye nesti ki gard ki pukaar hon
Lahoo ke daldalon main haadson ke zamhareer utar gaye
Tu apne rauzanon ke paas aake dekh le
Ke mashraqi ufaq pe aareefon ke kHwaab-----kHwaab-e-qahwa rang main
Umeed ka guzar nahin
Ke maghrabi ufaq pe, marg noor pe kissi ki aankh tar nahi

Mujhe vida kar, magar na apne zeenoN se utar
Ke zeene jal rahe hain be-hushi ki aag main
Mujhe vida kar, magar na saans le
Ke shayaraan-e-nau tiri sada ke saham se dubak na jaa'en
Ke tu sada rasaalaton ka baar unn peh Daalti rahi
Ye baar inn ka haul hai
WoH dekh roshni ki doosri taraf
Khayaal, kaagHzon ki baaliyaan bane huay
Haroof bhaagtay huay
Tamaam apnayaap hi ko chaaT-tay huay
Jahaan zamana tez tez gaam-zan
Wahin zamana baaz apnay khel main magan
Jahaan peh baam-o-dar lapak rahe hain baaarishon ki simt
Aarzoo ki tishnagi liye
Wahin gumaan ke faasle hain raah-zan

Mujhe vida kar
Ke shahar ki faseel ke tamaam dar hain va abhi
Kahin wo log so na jaayen boriyon main rait ki tarah
Mujhe ai meri zaat, apne aap se
Nikal ke jaane de
Ke iss zabaan boorida ki pukaar, iss ki ha va hoo
Gali gali sunaai de
Ke shahar-e-nau ke log jaante haiN ( kaasa-e-gar sanki liye)
Keh un kay aab-o-naan ki jhalak hoon main
Ke unn ke tashtah baaghchon main
Apne vaqt ke dhulaaye haath se
Nay darakht ugaaoon ga
Main unn ke saim-o-zar se , unn ke jism -o-jaan se
Koltaar ke tahen haTaaoon ga
Tamaam sang parah haai baraf
Unn ke aastaan se main uThaaoon ga
Ke unn ke shahar-e-nau ke raaste tamaam band hain
Mujhe vida kar ke apne aap mein, main itne kHwaab ji chuka
Ke hausla nahi
main itni baar aap apne zakHm si chuka
Ke hausla nahin

Shaam
06-21-2011, 09:05 PM
Raat bhar deeda-e-nam naak me lehraate rahe
Saans ki tarah se aap aate rahe jaate rahe,

Shab ke jaage huve taaroN ko bhi neend aane lagi
Aapke aane ki ek aas thi, ab jaane lagi,

Khush the hum apni tamannaoN ka khwaab aaega
NazreiN nichi kiye, sharmaaye huve aaega,

Kakule chehre pe, bikhraae huve aaega

Pat.tiyaaN khadki to hum samjhe ke, aap aa gaye
Sazde maszood ke maabood ko, hum paa hi gaye,


Subah ne sej se uthte huve li angdaai
Ey subah tu bhi jo aai to akeli aai,
Mere mehboob mere hosh udane waale
Mere maszood mere rooh pe chaane waale,

Aa bhi jaata ke mere sazdoN ka armaaN nikle
Aa bhi jaata ke tere kadmoN pe meri jaaN nikle,


Raat bhar deeda-e-nam naak me lehraate rahe
SaaNs ki tarha se aap aate rahe jaate rahe.
__________________

M A H i
07-03-2011, 07:11 PM
Very nice Shaam Keep it up!

Shaam
07-06-2011, 08:03 PM
pasnd karne ka shukria M A H i : )

per ek ghazal tou banti hai aap ki taraf sei bhi

Shaam
07-06-2011, 08:06 PM
zindagi mein to sabhi pyar kiya kartay hain
mein to mar kar bhi meri jaan tujhay chahoon gaa...

tu mila hai to yeh ehsaas huwa hai mujh ko
yeh meri umr mohobat kay liyee thordi hai
ek zara sa gham dowraan ka haq hai jis par
main nay wo sans bhi teray liyee rakh chordi hai
tujh pay ho jaoon ga qurban tujhay chahoon gaa

apnay jazbat naghmat nachanay kay liyee
main nay dharkan ki tarha dil mein basaya hai tujhay
mein tasawwur bhi judayee ka bhala kaisay karoon
mein nay kismat ki lakeroon say churaya hai tujhay
pyar ka ban nigheyban tujhay chahoon gaa

teri har champ say jaltay hain khayaloon mein chiragh
jab bhi tu ayee jagata huwa jadoo ayee
tujh ko choo loon to phir ayee janay tamanna mujh ko
taray tak apnay badan say teri khushbu ayee
tu baharoon ka hai anwan tujhay chahoon gaa�

M A H i
07-07-2011, 12:18 AM
:khob:
:good:



Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista
Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista



Hum uskay paas jatay thay magar aahista aahista
Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aashista aahista




Abhee taaraoon say khelo chand ki kirnoon say ithlao
Abhee taaraoon say khelo chand ki kirnoon say ithlao
Milay gee uskay chehray ki saher aahista ahista aahista


Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista aahista




Dareechoon ko to dekho, chilmanoon kay raaz ko samjho
Dareechoon ko to dekho, chilmanoon kay raaz ko samjho
Uthain gay parade hay-e-baam-o dar aahista aahista


Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista aahista




Yoon he ik roz apnay dil ka qissa bhee suna dena
Yoon he ik roz apnay dil ka qissa bhee suna dena
Kitab aahista aahista nazar aahista aahista



Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista aahista




Hum uskay paas jatay thay magar aahista aahista
Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista
Chalay to kut he jaye gaa safar aahista aahista



Aahista... Aahista... Aahista...

Shaam
07-07-2011, 03:02 AM
han i know kei aap hain : )

aur ghazal ka tou jawab hi nahi

Sami
07-07-2011, 06:03 AM
I Just L0ved This 0ne .. !!

Hosh Valon Ko Khabar Kya Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye Zindagi Kya Cheez Hai
Hosh Valon Ko Khabar Kya...

Unse Nazrein Kya Mili Roshan Fizayen Ho Gayi
Aaj Jaana Pyar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Khulti Zulfon Ne Sikhayi Mausamon Ko Shayari
Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Hum Labon Se Keh Na Paye Unse Haal-E-Dil Kabhi
Aur Voh Samjhe Nahin Yeh Khamoshi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye Zindagi Kia Chez Hai .. !!

Shaam
07-07-2011, 06:41 PM
my fav one too sami
zabardast yaar (y)

Shaam
07-07-2011, 06:45 PM
ahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Tumhari be-rukhi ek din humari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho ke dastoor-e-wafa kiya hai

Na jaane kis liye duniya ke nazren phir gayi hum se
Tumhe dekha tumhe chaha kasoor is ke siwa kiya hai

Na hai faryad honton pe na aankhon main koi aansoo
Zamane se mila jo gham usay hi toh nibhaya hai

Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Shaam
07-07-2011, 06:45 PM
Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Tumhari be-rukhi ek din humari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho ke dastoor-e-wafa kiya hai

Na jaane kis liye duniya ke nazren phir gayi hum se
Tumhe dekha tumhe chaha kasoor is ke siwa kiya hai

Na hai faryad honton pe na aankhon main koi aansoo
Zamane se mila jo gham usay hi toh nibhaya hai

Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Shaam
07-07-2011, 06:45 PM
Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Tumhari be-rukhi ek din humari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho ke dastoor-e-wafa kiya hai

Na jaane kis liye duniya ke nazren phir gayi hum se
Tumhe dekha tumhe chaha kasoor is ke siwa kiya hai

Na hai faryad honton pe na aankhon main koi aansoo
Zamane se mila jo gham usay hi toh nibhaya hai

Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Shaam
07-07-2011, 06:45 PM
Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai

Tumhari be-rukhi ek din humari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho ke dastoor-e-wafa kiya hai

Na jaane kis liye duniya ke nazren phir gayi hum se
Tumhe dekha tumhe chaha kasoor is ke siwa kiya hai

Na hai faryad honton pe na aankhon main koi aansoo
Zamane se mila jo gham usay hi toh nibhaya hai

Kahan ho tum chale aao mohabbat ka taqaza hai
Gham-e-duniya se ghabra ker tumhe dil ne pukara hai


http://www.youtube.com/watch?v=CoSkabGr7_A&feature=related

Shaam
07-07-2011, 06:53 PM
Guys thora sa change kartey hain thread ko

GHAZLEIN AUR NAZMEIN jo ke GAAI gain hain wo sab shamil kartey hain

sath me aap us ki video file bhi share karsaktey hain : )

hope u will like it .

Shaam
07-08-2011, 09:54 PM
husn ko chand jawani ko kanwal kahtey hain
unkee soorat nazar aaye to ghazal kahtey hain

uf! wo marmar se taraasha hua shafaaf badan
dekhne vaale use taaj mahal kehte haiN

par gayee paaon mein taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teree zulf ka bal kehte haiN

mujhko maaloom nahee iske siwa kuch bhee katee
jo sadee wasl meiN guzre use pal kehte hain

http://www.youtube.com/watch?v=VJWGaH1OkNU

Shaam
07-14-2011, 08:30 PM
kabhi Aansoo Kabhi Khusboo Kabhi Nagma Bankar
hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talaash
so Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar

Chand nikla hai teri aankh ke aansoo ki tarah
Phool mehken hain teri julf ka saaya bankar

raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehre Ki Chamak
ruh Mein Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Dil ke kaagaz pe utarta hai tu sheron ki tarah
Mere hothon pe chamkta hai tu nagma bankar

Dhoop Mein Kho Gaya Woh Haath Chudahkar Rashid
ghar Se Jo Saath Chala Tha Mera Saaya Bankar

http://www.youtube.com/watch?v=w8JR2n5aYQU

Shaam
07-30-2011, 09:55 AM
Woh jab yaad aaye, bahut yaad aaye
Gham-e-zindagi ke andhere mein humne hai
Chirag-e-mohabbat jalaye-bujhaye

Aahate jaag uthi rastein haas diye
Thamkar uthe dil hum kissi ke liye
kaai baar aisa bhi dhoka hua hai
Chale aa rehe hai woh nazaare jhukaaye
Chirag-e-mohabbat jalaye-bujhaye

Dil sulagne laga aaskh bahene lage
Jane kya-kya hume log kahne lage
Magar rote-rote hassen aa gayi hain
Khayalon mein aaake woh jab muskuraye
Chirag-e-mohabbat jalaye-bujhaye

Woh juda kya hue, zindagi kho gayi
Shamma jalti rahi, roshni kho gayi
Bahut koshishe ki magar dil na bahla
Kayi saaj chede kayi geet gaye
Chirag-e-mohabbat jalaye-bujhaye



http://www.youtube.com/watch?v=6FsE6nP2BnU

M A H i
09-26-2011, 06:47 PM
http://www.youtube.com/watch?v=9sw0lUK86ZA

Lyrics

Mery chara gar
Mery dard ki tujhey kia khabar
Tu mery safar ka shareek hai
Nahi humsafar
Mery chara gar mery chara gar

Tery haath se mery haath tak
Wo jo haath bhar ka tha fasla
Kai musamon main badal gaya
Isey napty isey kaatey
Mera sara waqat nikal gaya
Nahi jis pe koi nishan pa
Mery samney hai rah guzar
Mery chara gar
Mery dard ki tujhey kia khabar

Ye jo reag dasht e farak hai
Mery raston main bichi hoi
Kisi moor pe rukey kahin
Ye raat hai mery chaar suu
Magar is ki koi sehar nahi
Na hi chaon hai na samar koi
Main ney chaan dekha shjar shjar

Mery chara gar
Mery dard ki tujhey kia khabar

Shaam
09-27-2011, 08:53 PM
beautiful Mahi

Shaam
10-06-2011, 12:06 AM
http://t2.ftcdn.net/jpg/00/04/51/55/400_F_4515585_DtfCTDrnnA3fvgSK1i46oCJneQ1EC1CF.jpg

hum tou mashoor huway hain aap ki chahat mei
kitnei majboor huway hain aap ki chahat mei

aap hi aap hain jaati hain jaha tak yah nazar
dil hamara hai magr aap ka haq hai is per
dunya sei door huway hain aap ki chahat mei

aap sei pyar kia aap ka armaan kiya
ek nazar dekh ke yah dil aap pe qurbaan kiya
hum yah qusoor huway hain aap ki chahat mei

hum tou mashoor huway hain aap ki chahat mei....


http://www.youtube.com/watch?v=8X9zcMra730

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.