View Full Version : a simple Question... LOVE
Shaam
06-15-2011, 03:44 PM
salam guys
ek sawal hai
shayed jawab sab ko ata hai
mujhey nahi ataa
poochna hai sab sei ek baar batain
koi aur naam nahi koi aur nishaani nahi koi aur i mean just simple
what is LOVE itself.
Muhabbat kudh kia hai,,
M A H i
06-15-2011, 03:57 PM
:Allah-hafiz:
Shaam
06-15-2011, 04:04 PM
:Allah-hafiz:
hmmmmmmm
!~*AdOrAbLe*~!
06-15-2011, 08:35 PM
Love is simply a strong form of affection It comes in many forms and can vary from person to person and situation to situation I don’t really think others can judge one another’s love as well as we each experience it only ourselves (as is true for any emotion)
nice thread
!~*SOoLi
06-16-2011, 05:02 AM
:think: Pata Nai Yaar, Mein Nay Google Pay Likha To Agay Sharukh Khan Agya.. Violin Pakri Thi :laugh:
!~*SOoLi
06-16-2011, 05:07 AM
Hmmmm, .. Mukhtalif Tashreehaat Hain Mukhtalif Tarjeehaat aur Afqaar Ki Binaa Pur, ..
Mohabbat aak khobsurat jazba hy.
hmm...
Muhabbat khud kia hai?
meri naqis aql b nahi jan saki k itni auqaat nahi
Shayad Muhabbat KHUDA hai yaa KHUDA ka dosra naam MUhabbat hai
kiu k begarz Muhabbat suni zrur thi bt dekhi nahi siwaey ALLAH kay
kiu k Allah hi hay jo bina mangay bina auqaat dekhay nwazta hai aur nwaazta hi chla jata hai
Kisi k sath chlnay ya dukh sukh ki shrakat ko
Muhabbat mt smj lena
Muhabbat ka libadaa paniyon k rang jaisa hai
Muhabbat 7 pardon mai nihaa ho kr ayaa hai
ye haqiqat hai
Aur is ki khushboo'aun ko hum dhanak mai dhond skty hain
magar ye b haqiqat hai
kay is ko jisnay payaa hai
wo apna aap khoo betha
ye mil kr b nahi milti
kay jis ko choo lia jaey
KHUDA wo ho nahi skta
Muhabbat aesa mntar hai
Fanaa jo ho nahi skta
Shaam
06-16-2011, 08:51 PM
Love is simply a strong form of affection It comes in many forms and can vary from person to person and situation to situation I don’t really think others can judge one another’s love as well as we each experience it only ourselves (as is true for any emotion)
nice thread
hmmm quite practical.
Shaam
06-16-2011, 08:52 PM
:think: Pata Nai Yaar, Mein Nay Google Pay Likha To Agay Sharukh Khan Agya.. Violin Pakri Thi :laugh:
aap sahi jarahey ho
Shaam
06-16-2011, 08:54 PM
hmm...
Muhabbat khud kia hai?
meri naqis aql b nahi jan saki k itni auqaat nahi
Shayad Muhabbat KHUDA hai yaa KHUDA ka dosra naam MUhabbat hai
kiu k begarz Muhabbat suni zrur thi bt dekhi nahi siwaey ALLAH kay
kiu k Allah hi hay jo bina mangay bina auqaat dekhay nwazta hai aur nwaazta hi chla jata hai
Kisi k sath chlnay ya dukh sukh ki shrakat ko
Muhabbat mt smj lena
Muhabbat ka libadaa paniyon k rang jaisa hai
Muhabbat 7 pardon mai nihaa ho kr ayaa hai
ye haqiqat hai
Aur is ki khushboo'aun ko hum dhanak mai dhond skty hain
magar ye b haqiqat hai
kay is ko jisnay payaa hai
wo apna aap khoo betha
ye mil kr b nahi milti
kay jis ko choo lia jaey
KHUDA wo ho nahi skta
Muhabbat aesa mntar hai
Fanaa jo ho nahi skta
hmmmm
impressive
thora sa falsafyaana hai per
hmmmm
kaafi had tak theik bhi siwaye chand ek baato per ikhtilaaf hai
izhaar karooga per hmmm
emm waiting for something
this thread means alot to me
: )
dekhta hoo kia faisla karta hoo
Shaam
06-23-2011, 07:58 PM
hmmm : )
i guess muhabbat karne walei confuse hain
chalo koi baat nahi
akser bekhabar hi hoti hai muhabbat
socha tha likhoga aaj
per janey kia huwa
lafz uth gaye mainei badal gaye
bus itna kahooga Muhabbat merei nazdeek
ek rasta hai jaha khaak hojana manzil hai
jaha kuch na paana bhi hasil hai
Muhabbat hmmmmm
ek sach hai aur jo dil bolta hai
ek rabt hai jo banjata hai
Muhabbat
kuch bhi nahi
aur
Muhabbat Khuda bhi hai
uljyey dhaago ki tarha bhi hai
aur sooraj kirno ki tarha bhi
Muhabbat
tum ho
muhabbat
me hoo
: )
sab uljh gay na
Muhabbat
karna ek ibadat hai
yaqeen karna ek dhoka
aur paaleina
na mumkin : )
Shaam
06-23-2011, 08:07 PM
I got ma answer
thread closed : )
hmm...
bt meri kin baton say ikhtylaaf tha apko?
plz mai janna chahon gi...
Noor ul huda
06-24-2011, 08:12 PM
Good One shaam! but Paa liena her waqt Na mumkin nahi huta =)
well In my point of view the defination of Luv is ">>
Muhabbat ka lafz "Hubb" sy nikla hay.. jis ky Meaning "Beej" kay hain, Jo zameen ky andhairo may chupa huta hay, uss ko hamawaqt Naighidaasht ki zaroorat huti hay jo Zameen, Suraj aur Paani usko faraham kerti hay! fazool jhar jhingaar sy usski afzayish mutasir huti hay. lykin beej ki bhi mukhtalif Qismain hain,jo her jaga phal phool sakti hain bagahir hifazat ya bayrooni support k.
yahi Muamila "Muhabbat" ky saat hay. Jo dil k ander chupi huti hay,Hifazat maangti hay,usko shirakat pasand nahi,aur iss ki bhi mukhtalif qismain huti hain.
Shaam
06-24-2011, 08:16 PM
hmm...
Muhabbat khud kia hai?
meri naqis aql b nahi jan saki k itni auqaat nahi
Shayad Muhabbat KHUDA hai yaa KHUDA ka dosra naam MUhabbat hai........Muhabbat khuda nahi us ki banai hooi ek shai hai...
kiu k begarz Muhabbat suni zrur thi bt dekhi nahi siwaey ALLAH kay
kiu k Allah hi hay jo bina mangay bina auqaat dekhay nwazta hai aur nwaazta hi chla jata haiyah muhabbat sei ziada us ki shaan e kareemi hai
Kisi k sath chlnay ya dukh sukh ki shrakat ko
Muhabbat mt smj lena
Muhabbat ka libadaa paniyon k rang jaisa hai
Muhabbat 7 pardon mai nihaa ho kr ayaa haipanio ke rang matlab muhabbat ka na koi rang nahi halanke muhabbat dhanak rango sei saji hoti hai : )
ye haqiqat hai
Aur is ki khushboo'aun ko hum dhanak mai dhond skty haindhanak rang hotey hain khusboo nahi .....
magar ye b haqiqat hai
kay is ko jisnay payaa hai
wo apna aap khoo bethaishq e haqiqi ho ya ishq e mizaaji Muhabbat ko koi nahi paata mehboob ko paya jata hai ... muhabbat tou ek musalsal amal hai jo karna hai ... is ko object na hi banain tou acha haina
ye mil kr b nahi miltimuhabbat kop paana na mumkin hai per mehboob ko paya jasakta hai muhabbat ki raah me sirf dia jata hai results nahi dekhtey
kay jis ko choo lia jaey
KHUDA wo ho nahi sktais ka sab bato sei kia rabt hai?
Muhabbat aesa mntar hai
Fanaa jo ho nahi sktabe asar zaroor hojata hai pather dilo per aur kuch dilo per jo KAANCH ke baney hotey hain : )
Shaam
06-24-2011, 08:17 PM
thanks Hijab for re posting... actually muhabbat nahi milti mehboob mil bhi jaye tou pata hai yaha kam hi lagta hai sab ko kuch bhi karlo kuch bhi ......... ab loge kisi ek ke ho nahi saktey... : )
Noor ul huda
06-24-2011, 08:36 PM
Sahi Kaha,
Mf Great Power
06-25-2011, 10:57 AM
:smoky:
hmm...bohat khob...
apny bilkul sahi kaha bohat khobsurat...
bt mujy kuch kehny ki ijazat hai?
Zafina
06-25-2011, 07:42 PM
:4uxjr01: <<<<<< yeh hay Muhabat :D lolzzzzzzzzzzz
Shaam
06-25-2011, 07:52 PM
thanks zafi post hi barhaati rehna bus tum
ji iqra kahlein
koi muzaiqa nahi
Zafina
06-25-2011, 07:54 PM
Hawwwwwwwww Itna hi bura lagta hay mera post bharhana tu nahi awo ge ayenda apkay threads per :(
ahan...thnx:)
bqaul apky
muhabbat kuch b nahi
aur
muhabbat khuda b hai
aur meny kaha
muhabbat khuda hai ya
khuda ka dosra naam muhabbat hai
apny kaha
[CENTER]muhabbat
uljhy dhagon ki trha b
soraj kirnoo ki trha b
[COLOR="red"]meny kaha
Muhabbat ka libaada paniyon k rang jaisa hai
Muhabbat 7 pardon mai nihaa ho kr ayaa hai
apny kaha
muhabbat ek ebaadat ha
yakeen krna ek dhoka
aur paa lena
naamumkin
meny kaha
is ko jisny paya hai
wo apna aap kho betha
ye mil kr b nahi milti
ab frk kia hai?
meny pehly b kaha k mai beaql hn nasamj hn bs janna chahon gi..plz
Shaam
06-25-2011, 08:10 PM
zafi acha ab mujhey bhi bharam karwao gi? : )
Shaam
06-25-2011, 08:12 PM
Muhabbat kuch bhi nahi
aur khuda bhi matlab yah nahi tha muhabbat KHUDA hai
matlab misl thi
matlab 2 extreme ko zahir karna tha bus
: )
baaqi batein jo hain us me aap sirf mehboob aur mubabat me farq kijye ...
pata hai bibi ek baat
Muhabbat ek amal hai
ek juhad e musalsal
mei nei kaha na is ko object na banain bus.
Muhabbat = Time Pass .. Lol !!
Shaam
06-25-2011, 08:20 PM
lozl sami ek chamat parei ga na
24 ghantey ghari samney nacti rahey gi (hug)
ap sahi hain
bt mujy same baten lagen ye ..bt naqis e aql hn ho skta hai galat smji hn...
lekin meny aesa kuch nhi kaha k jis sy ye zahir ho k meny muhbbat ko object bnaya hai
shairy mai hm misaal dety hain bs...mslan
k jisko cho lia jaey khuda wo ha nhi sakta
ye misaal hy agli line ki jo k ye hai
Muhabbat aesa mntr hy fana jo ho nhi sakta
muhabbat khatm ho jati hai kia???
ab is mai ista'aara nzr ata hai
hm jaisy na smjhon ko smjhany k liye misaal to di jati hai khair...
mai behas nhi krti kiu k apky pas ilm hai or mery pas sirf mushahida...
Shaam
06-25-2011, 08:29 PM
arey nahi meri behen aisy koi baat nahi ke mei koi aalim fazil hoo
me just ek talib e ilm hoo
mushahidaat ke base per hi alafaaz kahey jatey hain
: ) maazratv chahta hoo ger aap ko bura laga
lozl sami ek chamat parei ga na
24 ghantey ghari samney nacti rahey gi (hug)
Shaam Bhai Sach Keh Raha H0n .. L0ve Is Dunya Me Aj Kal Kisi K Liye Nae Bacha ..
Srf Parents K Liye Bach gaya Hai ..
W0 b Har Kisi K pass Nae ..
0therwise L0ve Itself N0thng .. :s
Shaam
06-25-2011, 08:35 PM
abey yaar muhabbat ko ek vision me na dekho.... yah Allah ke lia bhi hai
yah us ke rasool ke lia bhi
yah isnano ke lia bhi
yah waldein ke lia bhi
yeh her kisi eklia hai
is prospective me poocha hai
abey yaar muhabbat ko ek vision me na dekho.... yah Allah ke lia bhi hai
yah us ke rasool ke lia bhi
yah isnano ke lia bhi
yah waldein ke lia bhi
yeh her kisi eklia hai
is prospective me poocha hai
Shaam Bhai Ese Dekhen T0u Muhabbat Kabhi Khatam Nae H0gi ..
Har Kisi K Liye Muhabbat Hai .. (y)
Shaam
06-25-2011, 08:45 PM
han her kisi ke lia hai muhabbat /// kaha na ek amal e musalsal
Sorry mobil sy rply kr rahi hn pta nhi milta hy ya nhi...
Shaam
06-25-2011, 08:55 PM
ji milgaya aap ka reply
Nhi pora nhi mila...khair mujy bilkul bura nhi lgi apki bat blky bohat acha lga k apsy kuch sekhny ka moka mila..mujy hmesha bohat acha lgta hai ap jaisy qabil logon sy mil k or sekh k..shaam bhai sami ny b shayad thek kaha...hamara almiyah ye hai k hmy muhbbt ko smjny k liye kuch films or chnd stories mili hain bs jinsy muhbbt ko smjna to kia ulta behurmati hoti hai muhbbt ki...hm khali log hain so kasoor hmara b nhi...apko agr meri koi bat buri lgi ho to mafi chahti hn
Zafina
06-25-2011, 10:18 PM
zafi acha ab mujhey bhi bharam karwao gi? : )
Yeh bharam nahi laad huta hay :0002: huhhhhhhhhhhhh :no-no:
Aslam
06-25-2011, 11:46 PM
likhne walon ne to kitaab likhen par main sirf itna likhta hon
PATA NAHI......
Shaam
06-26-2011, 06:02 PM
zafi ji aap aur aap ke laad
iqra thankls for uur comments aur mei koi sahib e ilm nahi hoo kaha na sirf talib e ilm hoo
I THINK mohabbat khud aak juzby reshty ka naam hy...
Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.