)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
06-13-2011, 06:06 PM
Assalamu Alaykum:doctor:
doston aap sab k samne ek aur choti si koshish
ye sirf kisi k pasand karne na karne k liye nahi hai balke aaj k halat par aur mazi k halat ko jodh kar hamne kuch likhen ki koshish ki hai aur likhte likhte ankhe bhi nam huyi
sath hi Allah se dua hai aur umeed k wapas wo daur e islami wapas aajaye
Allah hamari dua ko qabuliat aata farmaye Aameen
Aye Aaj Ke Musalmaan Tujhe Kya Ho Gaya Hai
Kahan Hai Teri Azmat Gairat Teri Kahan Hai
Farman e Rasul Pe Labba Ek Ki Gunj Unka Ye Iman e Kaamil
Adl K Faisle Pathar Ki Lakir Siddiq Ki Wo Sachai Kahan Hai
Jis Gali Se Hota Umar Ka Guzar Iblis Bhagta Idhar Udhar
Wo Shaan O Shauqat Wo Jazba e Farooqi Kahan Hai
Bekass Marr Raha Hai Har Gali Kuche Mein Gareeb
Bhuk Pyas Ye Miskeeni Aaj Usmani Sakhawat Kahan Hai
Kamzoron Pe Zulm O Sitam Dagha Bazi Hai Har Taraf
Talwaar e Hyderi Wo Ali Ibn Abi Talib Kahan Hai
Ghar Ghar Me Gunnjti Ye Awaazen Gano Bajano Ki
Masjid Ki Azaan Falahi Pukar Sune Ab Fursat Kahan Hai
Jiss ki Aamad Se Milaa Tha Har Dil Ko Sukoon
Nazar Nahi Aata Mujhe Woh Paigham Kahan Hai
Tarikiyon Se Nikal Jahan Ko Roshan Kiya Jisne
Koi Bataye Zara Wo Charagh Wo Furqaan Kahan Hai
Khuda Ki Bandagi Chor Nafs Ki Parastish Me Hai Zamana
Nasir Ab Tou Hi Bataa Deen e Mohammad Kahan Hai
:rainbow: