Owi
06-10-2011, 11:34 PM
-:||:- Wafa Say Raabta Rakhna -:||:-
-:||:- Kaash Ye Lamha Theher Jaaye Zara -:||:-
Zerd madhum roshni mein gulaabi aanchal ki dhanak
Serd kamray mein machalti germ saanson ki mehek
Baazoo’on k sakht halqay mein koi naazuk badan
Silwatein malboos per, aanchal bhi kuch dhalka hua
Germi-e-rukhsaar say dehki hui thandi hawa
Nerm zulfon say mulaa’im ungliyon ki chair chaar
Surkh honton per sharaarat k kisi lamhay ka aks
Reshmeen baanhon mein choori ki kabhi madhum khanak
Shermageen lehjon mein dheeray say kabhi chaahat ki baat
Do dilon ki dherkanon mein goonjti thi ik sada
Kaanptay honton pay thi KHUDA say sirf ik dua
Kaash ye lamha theher jaaye, theher jaaye zara … !