Log in

View Full Version : marun to main kisi chehre main rang bhar jaun


ROSE
06-09-2011, 07:15 PM
marun to main kisi chehre main rang bhar jaun -
'Nadeem' kash yahi ek kam kar jaun

ye dasht-e-tark-e-muhabbat ye tere qurb ki pyas
jo izan ho to teri yad se guzar jaun


mera wajud meri ruh ko pukarta hai
teri taraf bhi chalun to thahar thahar jaun


tere jamal ka parau hai sab hasinu par
kahan kahan tujhe dhundun kidhar kidhar jauan


main zinda tha k tera intazar Khatm na ho
jo tu mila hai to ab sochta hun mar jaun


ye sochta hun k main butparast kyun na hua
tujhe qarib jo paun to Khud se dar jaun


kisi chaman main bas is Khauf se guzar na hua
kisi kali pe na bhule se paun dhar jauain


ye ji main ati hai taKhliq-e-fan ke lamhon main
k Khun ban ke rag-e-sang main utar jaun

SHAYAN
06-09-2011, 08:54 PM
Nice..

ROSE
06-09-2011, 09:15 PM
Thanks

life
06-10-2011, 01:02 AM
nice........

!~*AdOrAbLe*~!
06-18-2011, 04:50 AM
v nice

Ghuncha
08-25-2011, 04:19 PM
WoOoow
Nice ...!!

Owi
09-14-2011, 08:25 PM
very good

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.