life
06-08-2011, 03:56 PM
: Aik khat jo aaj tak post nehin kr ska ...
Siskian lety aik purany khat ki Aah-o-Bka ...
Kal aik mushary men Hazreen-e-Mehfil nen mere qalam ko bohat bohat izzat bakhshi, us qalam ko jis k sath men tumhari Muhabbat k geet likha krta tha, so aaj is qalam ko jitny phool mily wo sab k sab men nen tumhari yadon par charha diye.
" Men Suragh tha Rah-e-Arzoo men Bahar Ka "
sari raat meri is nazam se tumhari yaad ki Batti Jalti rehi, Raat 3 Bjy tak is roshni ka zikar hota rha, Paas men kitni hi nazmen Ghazlen jaag rehi thin, mgr tumhari yaad ki batti wali nazam ki roshni raat bhar sab se Munfrid or dilkash rehi.
Kabhi Kabhi insan kitna Bebus ho jate he.
Apny hi dil py insan ka zor nehin chalta. Meri ankhon men aaj fir whi purani aik sham utar aai he jis men Jinah Bagh k kei hissy tumhary qadmon ki khak hue or wo drakht jis se taik lga k hum bethy rehe thy sham talak, wo darakht mere lie meenara-e-roshni thehra.
Phir ahista ahista Doston or shanasaon ko ahista ahista apny se door hatty dekhna, ya udas hoty dekhna aik bra takleef deh tajruba he, lekin zindgi k is rasty par bhi chalna hota he, inhi raston py aaj tak chal rha hun, tanha bohat udas itna tanha k saya tak sath nehin he, or udas itna k Ansoo tak ro rehe hen.
Shadeed sardi he or sardi ka mosam dil k dhaky chupy zakhmon k lie bohat muzir hota he, yun samjho tumhary diye hue zakhmon ko ye yakh basta hawayen, ye dhund or ye snowfall, noach noach k lahu luhan kar rehi hen. Mgr men chup hun koi aah-o-bka nehin, koi siski, koi cheenkh nehin. Teri yadon k toofan seh rha hun or jee rha hun, mgr na jany kiun kar.
Aik dost dil-o-jaan warny ko har pal tayyar rehta he, mgr usy hmesha ye keh k chup krwa deta hun k...
Rahi...
Tum sham k waqt kiun mily.
Zindgi ka waqt khatam hony wala he.
Tum nen milna tha to zindgi ki Dopehar men mily hoty.
Men nen aaj bina ijazat lie, tum se itni zada baten keh dalin, is sab k lie sharminda hun, Men Dhundlakon k dor ka insan hun ho sky to mujhy Muaf kr dena.....