PDA

View Full Version : FaisLa...!


life
06-08-2011, 03:42 PM
FaisLa...!



Kabhi kabhi hum jab zindagi main faisle karte hain woh hum apni aqal o shaour ke mutabiq bahtareen salahiyatoon ke sath kar rahey hote hain....is baat ka vehm kiye bina ke shayad yeh ghalat hoga... magar jo kuch humarey naseeb main hota hai Allah woh bohot bahtareen tareeqe aur qareene se hum aur aap tak usay pehcha dete hain...

aur yeh baat bhi apni jagaa thoos haqeeqat rakhti hai ke humari zindagi main faisle karne ki aik intehaii ehm ghari ati hai... jahan aapka faisla lazmi ho jata hai... aub is faisle ki ghari main kuch jald bazi ka muzahira karte hain,,, kuch soch ke samandaroon main ghoota zun hote hain... kuch safaid ko pasand karte hain aur kuch siyaah ko... magar .. har aik ka faisla uske dimaghi salahiyatoon ka bahtareen nateeja hota hai...

har aik ki pasand ke mutabiq kiye gaye faisloon main ghalat aur sahi ke faisla hum nahi kar pate... bas hum ko yeh gumaan hota hai ke yeh faisla is waqt theek aur sahi hai.... halanke sahi aur ghalat ka faisla shayad hum us waqt aur sahi toor se kar payein ... jab hum safaid ko pasand karein aur usay waqt ke sath dekhain... uske sath jurey huye radd'e amal ko dekhein...aur phir waqt ke sath siyaah ko pasand karein aur usay bhi apni raye ke palre main toolein...tatoolein... dekhein ke sahi kiya hai... magar hum sirf aik waqt main aik hi faisla kerne ka ikhtiyar rakhte hain...hum dosre ko ghalat nahi keh sakte... jab tak ke dono ko parakh na lain.

magar....... faisla sirf aik waqt main aik hi kiya ja sakta hai... aub yeh humari kismat ke sahi ho ya ghalat.

SHAYAN
06-10-2011, 09:31 PM
Gud
T 4 S

life
06-10-2011, 11:11 PM
thanks....

Abewsha
08-23-2011, 12:04 AM
nice sharing...!!
like it...!!

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.