life
06-04-2011, 02:32 AM
Hadees. -
Nabi Akhrus Zamaan Janab e Rasool e kareem Rehmat ul lilaalameen ne farmaya
Dunya Akhrat ki Khaiti hai.
dosto me na koi muballig hoo na koi meri auqaat hai ke AAP SAW ki ahadees ka dars desakoo ya us ko bayan karsakoo.
bus aisey hi is hadees per ghaur karha tha tou kuch batein zehen me aai tou socha share karloo.
yaha AAP saw ne Khaiti ka word use kia hai. zara khait ko tasawar me layein.
khaito mei kia hota hai.. anaaj boya jata hai taakei fasal utarnei pei khana milsakei. Kisan ki mehnat aur mehnat aur mehnat lagi hoti hai ke wo bus laga rahey aur behter sei bahter fasal utarsakei
Dunya ko haqiqat bhi yahi hai. Khaito me araam nahi hota logo. khaito me mushaqqat hoti hai. pasina bahaya jata hai gard sei at jata hai jism. khauito me gher nahi banatey
khaito me mehel nahi sajatey us pei sirf mehnat kartey hain takei phir chain sei sosakein . phal pak sakei araam milsakei per jab tak fasal kut na jaaye tab tak chaain sukoon araam itminaam haraam hota hai ke kahein koi ghalti na hojaye
koi khata na hojaye
kuch nuqsan na pohanch jaaye