Log in

View Full Version : Dahej Ek Lanat


)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
06-03-2011, 04:40 PM
Assalamu Alaykum Wrwb


Miskeeno ko is lanat se bacha ya rab
Zahir islami to batin bhi islami bana ya rab

Kaise ho frnds
Kuch din pehle ekArtical me dahej k upar kuch baat huyi thi to hamne kaha tha isko wazahat k sath ek thread me layenge to aaj ussi mauzu k tahet hamne dalail ki roshini me jo mawad ekhatta kiye hain wo apke samne hai

http://i737.photobucket.com/albums/xx19/Akhil_022/vimochan-dowry-Rope_thumb-1.jpg



Dahej ek lanat, Dahje muashre me bigad, Dahej gareeb maa baap ki barbadi, Dahej masoom ladkion ki khudkushi, Dahej tabahi
Aap loog sochte honge ki ham Dahej ko itna bahayanak kyun bata rahe hain to aise sochne wale bohot kam hi haqeeqat ko jante honge unhone ye to news kabhi kabhar suna hoga ya kisi dost se k Dahej ki wajhe se ye hadsa hua wo hadsa hua kabhi ankhon se nahi dekha hoga na kabhi khud par beeti hogi

Hamne jahan tak dekha hai is forum me ya aur bhi dusri sites par zyadatar loog wo hi aate hain jo upper middle class k hote ya to phir paise wale ya kamse kam aise loog hote hain jinko aap gareeb nahi kehsakte

To aise logon ko duniya ki mushkilat masaib ka samna kuch kam hi milta hai haan unki bhi pareshaniya hoti hain lekin jo gareeb ek aam aadmi jhelta hai usko ham tasawwur bhi nahi karsakte

Hamne apni ankhon se aise hairat me dalne wale waqaya dekhen jo bayan nahi karsakte ham khud ek social organization me kaam kar chuken hain galli kucha ek ek ghar ka survey karte the to inke aise halat se ache se waqif hain aur khud ham par bhi aise masaib k pahad toote hain

Almuheem Quran aur Hadees k jo hi khilaf jayega usko isse do chaar hona hi padega…..

Ab ahem muazu ki taraf aate hain Islam me dahej ki kya haqeeqat hai kya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam hamare nabi hain rausl hain rehnuma hain qudwa hain ideal hain unki pairvi se hi jannat milsakti hai unki itaat se hi Allah razi hota hai to kya unhone dahej liya Allah k Rasul sallellahu alayhiwasallam ne 11 shadian ki kisi ek se bhi apne dahej liye gaur Karen doston agar kisi k paas koi daleel hai to pesh Karen aur apke baad apke sahaba khulafaye rashideen ne bhi ek se zyada shadian ki kisi ne dahej liye nahi aap puri tareeq utha kar dekhen aur unhone apni betion ki bhi shadian ki ya kisi ko dahej diye Allah k liye faur Karen sochen apni islah Karen muashre ki islah Karen

Allah ki kitab kya kehti hai

An-Nisaa (4) Ayat (verse) No.: 4


وَآتُواْ النَّسَاء صَدُقَاتِهِنَّ نِحْلَةً فَإِن طِبْنَ لَكُمْ عَن شَيْءٍ مِّنْهُ نَفْساً فَكُلُوهُ هَنِيئاً مَّرِيئاً


And give unto the women (on marriage) their dower (Mahr), ( whom ye marry ) free gift of their marriage portions ; but if they of their own accord remit unto you a part thereof , then ye are welcome to absorb it ( in your wealth ) .


http://img391.imageshack.us/img391/2084/jahez1.gif
http://img136.imageshack.us/img136/5572/jahez2.gif

(¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯)
06-03-2011, 06:32 PM
really great sharing

jazakALLAH kair....

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
06-03-2011, 07:51 PM
really great sharing

jazakALLAH kair....
And Thanks u So Much Butu Kabhi Life kuch Asi situation Ka SAmna KernA Pry To sis. is lanut ka SUddy baab kerni koshis kerna kyu Ke hum sub ny hi mil ker is lanut ko khutm kerna
jazakALLAH khair

life
06-04-2011, 02:41 AM
jazakALLAH kair....

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
10-26-2011, 11:04 AM
THnak..............

PaGli
10-26-2011, 01:15 PM
Very nice sharing

)*¤° ąℓɨƶą ąhʍ€ď °¤*(
10-27-2011, 10:12 AM
Thanks Pagil bhena

maanee
10-27-2011, 10:13 AM
JazalAllah khir

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.