Log in

View Full Version : teri janib thi nigaahein mei manzil pe jab khara tha


Shaam
05-25-2011, 01:09 PM
muqam e muhabbat ke safar me tanha
kabhi tere aks ke sang kabhi tanha
liye ankhon mei ek paikar e dilruba
dasht e junoo me younhi abla paa
jafa o wafa sei kabhi nabz azmaa
ilzaam o ulfat ke beher me rawaaa
ankhon me umeedon ke qos o qazah
dil ke pal pal raha hisab e jazaa
aye waqt bohat kathin kai safar mei
barha thak ke gira, zamaney sei haara
uth kar ek junoo ki khatir her baar phir mei
teri muhabbat aai nazar sab bhool gaya phir mei
jo tha mei kabhi gissa purana bangaya
teri ulfat me dekh me kia se kia bangaya
jo hasil tamanna hooi merei khayal mei
mei nei rok lia waqt ko wahein tere intizar mei
teri janib thi nigaahein mei manzil pe jab khara tha
meri chara ger tu us waqt aitbaar ke pehlei zeeney pei charha tha.....

iqra
05-25-2011, 06:51 PM
Wahhh...bohat khob...zabardast

M A H i
05-27-2011, 09:10 PM
nyc...

Shaam
05-27-2011, 10:50 PM
shukria

R0me0
06-02-2011, 12:33 PM
very nice

pensive
07-03-2011, 05:50 PM
nyc......

life
08-16-2012, 06:55 PM
bohat umdah!

Shaam
09-29-2012, 10:20 AM
thanks

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.