Miss Habib
05-21-2011, 10:03 PM
Din ko masmaar hue raat ko tameer hue
Khuwab hi khuwab faqat rooh ki jageer hue
Umar bhar likhte rahe phir bhi warq saada raha
Jane kia lafz the jo humse na tehreer hue
Ye alag dukh hai k hain tere dukhon se azaad
Ye alag qaid he hum kyon nahi zanjeer hue
Deda-o-Dil mein uske aks ki tashkeel se hum
Dhool se phool hue, rang se tasveer hue
Kuch nahi yaad k shab raqs ki mehfil mein dost
hum juda kis se hue kis se baghal-geer hue