umair8005
01-12-2009, 06:00 PM
"motoo ke laboo par hai sadaa-e-motaapa
is fikar mein marte hain ke ghatt jae motaapa
jaata nahi ik baar jo aa jae motaapa
aur jae to motay ko bi le jae motaapa
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa
sunte hain motaape ki dawaa hai yeh mujrab
fikr-o-gham-o-fakay ka hua insaan muqrab
motay to magar fikar se hotay hain muchrab
fakaa jo karein to jism ho aur kuch muhrabb
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa
mota jo muhabbat ke kabhi phair mein ae
jaan de ke bi mehboob ko apne woh na pae
har chand yaqiin ishq ka woh usko dilae
mehboob magar ghosht ki dukaan mein na jae
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa
patloon nahi tond pe tiknay ko hi tiyaar
har gaam pe kehti hai, hosiyaar! khabardaar!
us simt taangoo ki musalsal hai yeh takraar
hum muqbara bardosh kahaa tak rahein sarkaar?