PRINCE SHAAN
05-03-2011, 01:08 PM
NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ek martaba HAZRATE UMME SALMA k haan din (day) me AARAM farma rahe the. Us waqt AAP ko PASINA aaraha tha, jho chamde ki bistar pe jama ho raha tha. Ye dekh kar HAZRATE UMME SALMA shishi (bottle) lai aur AAP ka pasina poch-poch kar shishi me bharne lagi. AAP bedar huwe tou kehne lage ki aey SALMA ye kya kar rahi ho! HAZRATE UMME SALMA ne jawab diya ki ye AAP ka pasina hai jise hum khushboo me dalenge aur ye sabse achi khushboo hai. Hadith no. 6010 me UMME SALMA ye jawab deti hai ki hum isme apne bacho k liye barkat ki ummid rakhtein hai. AAP ne farmaya tumhari ummid durust hai.
[Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 43 – Kitab ul fazail, Page 249-50, Baab 21-AAP k pasine ki khushboo aur logo ka tabarruk hansil karna, Hadith No. 6009-10-11-12]
[Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 43 – Kitab ul fazail, Page 249-50, Baab 21-AAP k pasine ki khushboo aur logo ka tabarruk hansil karna, Hadith No. 6009-10-11-12]