Aslam
05-01-2011, 04:56 PM
sochon pe ghum ki shaal hay tum kioun chale gaye
har simat aik jaal hay tum kioun chale gaye
sab poochte hain tarak e marasim k waqiaat
kis ko mera khayal hay tum kioun chale gaye
taza tamam zakham baharon ne ker diye
har phool ka sawal hay tum kioun chale gaye
hansna tu khair apna muqadar na tha kabhi
roona bhi ab muhaal hay tum kioun chale gaye
kioun haath mein nahin hay meri jaa,n tumhara haath
kitna bura yeh saal hay tum kioun chale gaye
tum ne tu jate jate mulaqaat tak na ki
ab tak yahi malaal hay tum kioun chale gaye
Wasiq main kis terha se uthaon dukhon k boojh
sara badan nadhaal hay tum kioun chale gaye