SHAYAN
04-25-2011, 08:33 PM
Khizaan ke Aakhri Din Thy
Bahar Ayi Na Thi Lekin
Hawa ke Lams Mein Ik BeySada Si Naghmagi Mehsoos Hoti Thi
Darakhton Ki Tehnion Par
Kisi Bey Aasra Umeed Ki Lau Thartharati Thi
Guzargahon Mein Urrtey Khushk Pattay
Ajnabi Logon ke Qadmon Se Lipat'ty Aur Ulajhty Thy
To Ik Bhooli Hui Tasweer Jaisy Kond Jati Thi
Har Ik Manzar ke Chehray Par
Laraztii BeyKali Ki Reshamii Chilman Kusheedah Thi
Nazar Rasta Na Pati Thi
Kuch Aisa Hi Samaa'n Tha Jab
Vo Mery Bakht ke Sehra Mein Sawan Ki Tarah Utri
Meri Saanson Mein Mehki Thi
Nigahon ke Sitarey Aarzoo ke Istearey
Tamannao'n ki Seil shouq Mein Behnay Lagi Thi
Mery Seenay Par Sir Rakh Kar Achanak Muskurayii
Aur Kuch Kehnay Lagi Thi Vo
Na Janey Kya Tha Vo Jumla..
Aur Uska Adh Kaha Jumla...
Jo Ghunchay Ki Tarah Un Kanptay Honton Par Khila Tha
Usi Lamhay Koi Koyel Barey Dard Se Kooki Thi
Vo Jaisy Achanak Neend Se Jagi Ho
Usne Barey Dukh Se Falak Ki Taraf Dekha
Aur Boli...
Sitara Sham Ka Roshan Hua Hay "Ab Main Chalti Hun"
Khizan ke Aakhri Din Hain
Bahar Ayi Nahi Lekin
Hawa ke Lams Mein Ik BeySada Si Naghmagi Mehsoos Hoti Hay
Koi Manoos Si Khushboo Mery Kaano'n Mein Kehti Hay
Phir Uss ke Husn Ka Mehram Tera Dil Honey Wala Hay
Vo Uss Ka Adh Kaha Jumla
Mukamal Honey Wala Hay...!!!