Miss Habib
04-20-2011, 09:44 PM
Nibhane ka irada ho to wada kar lia jaye
Chalo mil kar gham-e-hasti ko aadha kar lia jaye
Andheri shab ka khatra ho to aisa kar lia jaye
Kisi jugnoo ki bahon ko sahara kar lia jaye
Yahan kante bhi ugtay hain,
Yahan kalian bhi khilti hain
Inhi k darmiyaan rah kar guzara kar lia jaye
Bharose k nahi laaiq koi insaan yahan lekin
Jo jeena hai to logo per bharosa kar lia jaye