Anokhi<3
03-27-2011, 02:59 AM
Yeh Mehlon,Yeh Takhton,Yeh Taajon Ki Duniya
Yeh Insaan Ke Dushman Samaajon Ki Duniya
Yeh DOlat Ke Bhooke Riwaajon Ki Duniya
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kiya Hai
Har Ke Jism Ghayal,Har Ke Rooh Piyaasi
Nigaahon Main Uljhan,Dilon Main Udaasi
Yeh Duniya Hai Ya Aalam e BadHawaasi
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kiya Hai
Yahan Ek Khilona Hai Insaan Ki Hasti
Yeh Duniya Hai Murda Paraston Ki Basti
Yahan Zindagi Se Bhi Hai MOut Sasti
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye TO Kiya Hai
Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Ker
Jawaan Jism Sajte Hain Bazaar Ban Ker
Yahan Piyaar HOta Hai Biopaar Ban ker
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kiya Hai
Yeh Duniya Jahan Aadmi Kuch Nahi Hai
Wafa Kuch Nahi Dosti Kuch Nahi Hai
Jahan Pyaar Ki Qadar Hi Kuch Nahi Hai
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye To Kiya Hai?