PDA

View Full Version : Achi Achi Batein


-|A|-
03-17-2011, 02:34 PM

Achi Achi batein

1) har haal main Allah ka shukar ada kerna.

2) wo kabhi day k azmata hai kabhi wapis lay kar naashukri na karna lakin sabar aurnamaz se madat latay rehna.....

3) kaamyabion k liya zuroori hai insaan apnay past ko na bhoolay k wo kia tha.....

4)Allah agar ziada day to proud feel na kerna warna us say bhi haat dho betain gay jo milla tha.

5)Hamesha apnay aap par nazar rakhain jo namatain Allah nay aap ko di hain ..agar aisa karain gay to hamesha khush rahain gay kyun k kuch longo ko to ye bhi nahi milta..

6)Un longo par nazar na rakhain jinhain aap se ziada facilities hasil hain balk ye dekhain k unhon nay kis mehnat se ye sub hasil kia aur zuroori nahi insaan had se ziada ki soch rakhay ye hirs main shamil hai...

7)hamesha sirf aur sirf Allah par bharosa karain koshish zuroor karain lakin is ka result Allah par chor dain kyun k agar wo cheez Allah aap k liya behtar samjhay ga to zuroor day ga...

8) hamesha Allah ki raza main razi rehna kyun k insan ko milta wo hi hai jo Allah chata hai lakin is ka matlab hargiz ye nahi k insan koshish na karay koshish karnay walon ko Allah pasand karta hai...

9)Allah ki muhabbat k baray main sochtay rahain k wo hum se kitna pyaar kerta 70 maon se bhi ziada ab khud hi soch lain 1 maan ka kitna pyaar hai... hamari daily gunah aur nafarmanion k bawujood wo hum ko astaghfaar kernay se muaf kerdeta..aur phir hum us ki taraf musibat main raghib hon tab bhi khush hota hai

10)zara sochain hai koi dunya main aisa jis k paas aap sirf museebat main jye aur waisay na poochain to aap ka saath day ..nahi na to khud sochain Allah se barh ker hamra best friend bhi koi nahi hosakta...

us ki taraf haath barhye to wo chal k aata hai...us ki taraf chal k jye to wo dor k aata hai...

11)Allah paak khud farmaatay hain main tumhaaray ander hoon mujhay dekhtay kyun nahi...

to kyun na aaj se in baaton par amal kernay ki koshish ki jye koi bhi cheez achanak se hasil nahi hoti ...lakin Allah ki muhabbat main uthaya hua qadam kabhi zaya nahi hota..

aur hoga bhi kaisay jis main khud Allah shamil hai us main kaamyaabi yaqeeni hai..

to phir aye Allah ki rehmaton ka haath pakrain...aur us ko dil main basa lain phir koi ghum koi fikar na hoga Inshallah....

Aslam
03-17-2011, 03:18 PM
buht shukri in baton ko share karne ke liye...........:)

-|A|-
03-18-2011, 08:17 PM
shukria je

Opal
03-19-2011, 12:34 AM
JAZAAKALLAH
Buhat khubsorat batein aapne share ki hain..
ALLAH jee aap ko iss ka behtareen Ajar dein
AMEEN

PRINCE SHAAN
04-15-2011, 08:38 PM
JazaakAllah Khair...........................

Anokhi<3
04-15-2011, 08:58 PM
Jazak Allah Khair for such a nice sharing...! :)

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.