Log in

View Full Version : Gehrayi alag lehron ka phailao alag hay


fog
03-16-2011, 03:55 PM
Gehrayi alag lehron ka phailao alag hay
saahil se moujon ka takrao alag hay

likhey hue har harf ki taseer se barh kar
boley hue alfaaz ka pathrao alag hay

insan ka tehzeeb se jo rabt hay is may
tareekh alag, waqt ka bartao alag hay

jo khud ko samaitey hue saalim hay bazahir
is tootey hue shakhs ka bikhrao alag hay

ho jis may sumandar ka safar is k muqabil
lagti hay kinaarey se jo wo naao alag hay

ye jaal alag haath may bunti hain lakeerain
qismat k sitaaron ka wo uljhao alag hay

SHAYAN
03-16-2011, 09:29 PM
Nice..

fog
03-16-2011, 10:29 PM
thanx......

Ṕø$ṫ ℛЇḎℰℜ
03-17-2011, 02:29 PM
nice sharing
thanks for your post

life
07-01-2011, 05:34 PM
nice sharing.............

Copyright ©2008
Powered by vBulletin Copyright ©2000 - 2009, Jelsoft Enterprises Ltd.