fog
03-11-2011, 09:42 PM
Aey umar_e_rawan aahista chal
abhi khasa qarz chukana hay
kuch khawab hain jinko likhna hay
kuch taabeeron ko paana hay
kuch log hain ujray dil waaley
un sab may pyaar basana hay
aur khaza raseeda aangan may
abhi aman ka beej lagana hay
kuch tauba karni baqi hay
aur rab ko hamain manana hay
aey umar_e_rawan aahista chal
abhi khasa qarz chukana hay
abhi khasa qarz chukana hay
kuch khawab hain jinko likhna hay
kuch taabeeron ko paana hay
kuch log hain ujray dil waaley
un sab may pyaar basana hay
aur khaza raseeda aangan may
abhi aman ka beej lagana hay
kuch tauba karni baqi hay
aur rab ko hamain manana hay
aey umar_e_rawan aahista chal
abhi khasa qarz chukana hay