Miss Habib
03-10-2011, 05:52 PM
Paida raah-e-khaloos mein dushwaarian na kar
Chaahat nahi to hum se adakarian na kar
Lafzon se khailne ki zaroorat nahi tujhe
Saada dilon k saath ye fankariyaan na kar
Jin se nahi lagao, unhein munh bhi na laga
Bewaja har dukaan se kharidariyaan na kar
Tu shakhe gul he koi amar bail ko nahi
Wabasta har shajar se wafadariyan na kar
Taaza he dil pe daagh agar pehli maat ka
Phir doosri shikasat ki taiyarian na kar !!!