Kash
03-08-2011, 01:48 AM
Aansuon Aankho ki Dehleez pe aaya Na karo....
Ghar ke Haalaat zamaane ko bataya na karo...
Log muthhi main Namak le ke phira kerte hain...
Zakham tum apney kisi ko bhi dikhaya na karo...
SaaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN....
phool ke peRoN ko Aangan meiN lagaya na karo...
Haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano....
apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo...
Yas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe....
Aas ke badlo sir pe meray aaya na karo...
Aaj ke Dour ka PaiGHam yahi hai...
Koi Gir jaaye to Bhoole se uthhaya na karo...