s_sableo
12-24-2008, 12:59 PM
Andheri raat main yeh mu-ajzah dikhaayenge hum
Chiraagh gar naa mila toh apna dil jalaayenge hum,
Hamari koh-kani k hain mukhtalif maayaar
Pahad kaat k rastey naye banayenge hum,
Bohat na-dehel hain sasta tolenge pal do pal
Ulajh gaya kahin damann toh kiun chhudayenge hum,
Jo dil dukha hai toh yeh azm bhi paya hai humne
tamam umr kissi ka dil naa dukhaayenge hum,
Gar maut main hai kuch lutf toh bas itna
K iss k baad khuda ka suraagh paayenge hum,
Humen toh kabar bhi naa tanha kar payegi aqeel
Kiun k chaaron taraf se zamin ko kareeb paayenge hum.