fog
03-05-2011, 03:08 PM
hamarey paas aasayshain hain ,sakoon nhi
hamare paas maal hay, itminaan nhi
hum sab saath saath chal rhe hain, par manzilain juda juda hain
hum hajoom may hain,lakin hajoom se koi waasta nhi
hum aik doosre k gham suntey hain ,lakin mehsoos nhi kartey
hum apne ilawa kisi ko apne jaisa nhi samjhatey, apne aansoo hamain muqaddas dikhayi daitey hain ,aur doosron k aansso magarmach k aansoo lagtey hain
hum ne fikar_o_tadabbur chor diya,aur apne ilm pe nazan hain
hum apni aawaz par mas'hoor hotey hain aur apne aamal may mast
Is khaufnaak jurm ki khaufnaak saza ye hain k
"HUM APNE ANDAR TANHA HAIN"
"HUM DOOSRON KI NIGAH MAY BULAND HONE KI KHAWAHISH MAY APNI NIGAHON SE GIRTEY JA RHE HAIN"
"HAMARA WAJOOD HAMAREY APNE LIYE HI BAUJ BANTA JA RHA HAY"