fog
03-05-2011, 02:54 PM
hum sunayain to kahani aur hay
yaar logon ki zubani aur hay
charagar rotey hain taza zakhm ko
dil ki beemari purani aur hay
jo kaha hum ne wo mazmoon aur tha
tarjuman ki tarjumani aur hay
nama bar ko kuch bhi hum paigham dain
daastan us ne sunani aur hay
aab_e_zam zam dost laye hain abas
hum jo peetey hain wo paani aur hay
sab qayamt qamtan ko daikh lo
kia maire jana ka saani aur hay?
ehal_e_dil ki anjuman may aa kabhi
inki dunya yaar jaani aur hay
shayri karti hay ik dunya faraz
par teri sada bayani aur hay
yaar logon ki zubani aur hay
charagar rotey hain taza zakhm ko
dil ki beemari purani aur hay
jo kaha hum ne wo mazmoon aur tha
tarjuman ki tarjumani aur hay
nama bar ko kuch bhi hum paigham dain
daastan us ne sunani aur hay
aab_e_zam zam dost laye hain abas
hum jo peetey hain wo paani aur hay
sab qayamt qamtan ko daikh lo
kia maire jana ka saani aur hay?
ehal_e_dil ki anjuman may aa kabhi
inki dunya yaar jaani aur hay
shayri karti hay ik dunya faraz
par teri sada bayani aur hay