fog
03-05-2011, 01:30 PM
Gharoor_o-naz_o_nakhuat chor kar insan hona hay
bohat dushwar hoon ab tak ,muje aasan hona hay
ye danayi to gumrahyi ki janib khinch leti hay
issi se dast kash ho kar mujey nadan hona hay
bohat kuch jaan kat jana k ab tak kuch nhi jana
yhi jana k behatr jaan kar anjaan hona hay
jo uljhi soch rakhta ho,ulajhna is se bemaani
mujey suljhi hui ik tehreer ka unwaan hona hay
ye kaisey faasley kirdaar_o_shakhsiat may miltey hain
bikhar kar mar rha hoon,so ab yakjaan hona hay
ye insano ne ikhlaqi bulandi hi se seekha hay
nhi ehsaan karna,sar ta paas ehsaan hona hay
zameen se is qadar achi nhi wabastagi meri
adam se tor kar rishta muje imkaan hona hay
tawaqqa khair ki IRSHAAd zalim se na tum rakhna
k zaalim ko sada zalim ka pusht baan hona hay