RoOZ SoOChTa HouN
03-04-2011, 11:13 PM
zindagi kai mailay mai
khowahishon kai railay mai
tum sai kya kahen jana
is qadar jhambele mai
waqt ke rawani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr kai samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umar bhar ke hai
umar bhar ke batain kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz kai fasilon par
tut tut jata hai
zindagi sai lambi hai
bat ratjage ke hai
raste main kaise ho
baat takhliye kee hai
takhliye ke batoun main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele mai
khowahishon kai railay mai
tum sai kya kahen jana
is qadar jhambele mai
waqt ke rawani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr kai samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umar bhar ke hai
umar bhar ke batain kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz kai fasilon par
tut tut jata hai
zindagi sai lambi hai
bat ratjage ke hai
raste main kaise ho
baat takhliye kee hai
takhliye ke batoun main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele mai