Miss Habib
02-17-2011, 05:45 PM
Tum arzoo k diye jala kay
Khuda se achi umeed rakhna
Khizaan k mausam ki rukhsati pay
Bahare-e-gul ki naveed rakhna
Wo tera Rab he, wo tera apna
Usi ko apna Habib rakhna
Usi sy karna tum dil ki batein
Tu ankh mein ik nami si rakhna
Wo tera Rab he, wo ter aaqa
Usi se raz-o-niaz rakhna
Usi sy ghum ki kahani kehna
Ghamon ko dil mein nihaan na rakhna
Raheem he wo, Kareem he wo
Tu Rab ko apne Aziz rakhna
Hay sans sy be Qareeb tar wo
Usi ko apne Qareeb rakhna
Khuda se achi umeed rakhna
Khizaan k mausam ki rukhsati pay
Bahare-e-gul ki naveed rakhna
Wo tera Rab he, wo tera apna
Usi ko apna Habib rakhna
Usi sy karna tum dil ki batein
Tu ankh mein ik nami si rakhna
Wo tera Rab he, wo ter aaqa
Usi se raz-o-niaz rakhna
Usi sy ghum ki kahani kehna
Ghamon ko dil mein nihaan na rakhna
Raheem he wo, Kareem he wo
Tu Rab ko apne Aziz rakhna
Hay sans sy be Qareeb tar wo
Usi ko apne Qareeb rakhna