ROSE
02-14-2011, 11:31 AM
jo rehtay hain sada dil mai unhain dhoondha nahee'n kartay
jo rach jaye rag o pay mai unhain socha nahee'n kartay
baharo'n k ghanay saye mai talkhi bhi chubhan bhi hai
ghamo'n ki dhoop ka tumsay magar shikwa nahee'n kartay
nahee'n aatay kabhi bhi laut kar guzray huwe mausam
barstay badlo'n ki aas mai tarsa nahee'n kartay
tajassus aur barhta hai, machal jatay hain sunn kar ham
achanak pyar ki bato'n ka rukkh morha nahee'n kartay
teri nazr e inayat se huwe jatey hain jo ghayal
unhain qaatil nighaho'n say kabhi dekha nahee'n kartay