ROSE
02-12-2011, 10:11 PM
Mohabbat khud batati hai,
Kahan kis ka thikana hai,
Kisey aankhon main rakhna hai,
Kisey dil main basana hai,
Riha karna hai kis ko,
Aur kisey zanjeer karna hai,
Mitana hai kisey dil se,
Kisey thereer karna hai,
Isey maloom hota hai,
Safar dushwar kitna hai,
Kisi ki chashme-e-girya main,
Chupa iqrar kitna ha...I,
Shajar Jo girne wala hai,
Wo saya daar kitna hai,
Mohabbat khud batati hai,
Kahan kis ka thikana hai.....
Kahan kis ka thikana hai,
Kisey aankhon main rakhna hai,
Kisey dil main basana hai,
Riha karna hai kis ko,
Aur kisey zanjeer karna hai,
Mitana hai kisey dil se,
Kisey thereer karna hai,
Isey maloom hota hai,
Safar dushwar kitna hai,
Kisi ki chashme-e-girya main,
Chupa iqrar kitna ha...I,
Shajar Jo girne wala hai,
Wo saya daar kitna hai,
Mohabbat khud batati hai,
Kahan kis ka thikana hai.....