(¯`•¸♥Faryal♥¸•´¯)
02-12-2011, 10:53 AM
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhtay Hain..
So Us K Sheher Me Kuch Din Theher K Dekhte Hain..
Suna Hai Rabt Hai Usko Kharab Haalon Se..
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar K Dekhte Hain..
Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashm-e-Naaz Uski..
So Hum ß Uski Gali Say Guzar K Dekhte Hain..
Suna Hai Usko ß Hai Shair-o-Shayiri Se Shagaf..
So Hum ß Muajzay Apnay Hunar K Dekhte Hain..
Suna Hai Bolay To Baaton Se Phool Jhartay Hain..
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar K Dekhte Hain..
Suna Hai Raat Usay Chand Takta Rehta Hai..
Sitaray Baam-e-Falak Se Utar K Dekhte Hai..
Suna Hai Din Ko Usay Titliyan Satati Hai..
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher K Dekhte Hain..
Suna Hai Hashar Hain Uski Ghazal Si Aankhain..
Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar K Dekhte Hain..
Suna Hai Raat Say Barh Kar Hain Kaaklain Uski..
Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar K Dekhte Hain..
Suna Hai Uski Siah Chashmagi Qayamat Hai..
So Usko Surma Farosh AahBhar K Dekhte Hain..
Suna Hai Us K Labon Se Gulaab Jaltay Hain..
So Hum Bahaar Pay Ilzaam Dhar K Dekhte Hain..
Suna Hai Aaina Tamsal Hai Jabeen Uski..
Jo Saada Dil Hain Usay Ban Sanwar K Dekhte Hain..
Suna Hai Jab Se Hamayil Hai Uski Gardan Mein..
Mizaaj Aur Hi Laal-o-Gohar K Dekhte Hain..
Suna Hai Chashm-e-Tasawwur Se Dasht-e-Imkaan Mein..
Palang Zaviye Uski Kamar K Dekhte Hain..
Suna Hai Us K Badan Ki Taraash Aisi Hai..
K Phool Apni Qabayen Kutar K Dekhte Hain..
Wo Sar-o-Qad Hai Magar Be Gul-e-Muraad Nahi..
K Us Shajar Pay Shagoofay Samar K Dekhte Hain..
Bas Ek Nigaah Se Lut'ta Hai Qafila Dil Ka..
So Rahrwan-e-Tamanna ß Dar K Dekhte Hain..
Suna Hai Shabistan Se Mutsal Hai Behisht..
Makeen Udhar K ß Jalway Idhar K Dekhte Hai..
Rukay To Gardishain Uska Tawaaf Karti Hai..
Chalay To Usko Zamanay Theher K Dekhte Hain..
Kisay Naseeb K Be Perhan Usay Dekhay..
Kabhi Kabhi Dar-o-Deewar Ghar K Dekhte Hain..
Kahaniyan Hi Sahi Sab Mubalgay Hi Sahi..
Agar Wo Khuwaab Hai Tabeer Kar K Dekhte Hain..