Owi
02-11-2011, 01:48 AM
-:||:- Ik Umer Say Is Shab Mein Giriftaar Hoon Main Bhi -:||:-
Ik umer say is shab mein giriftaar hoon main bhi
Is zulm say ab bar-sar-e-paykaar hoon main bhi
Ghar mera rukaawat tha, jala daala hai is ko
Her baar main derta tha k ghar daar hoon mein bhi
Kab tak in hi tukron pay guzer apni rahay gi
Main bay-sar-o-saamaan sahi, khuddaar hoon main bhi
Ik umer talak chashm-e-tamaasha bhi raha hoon
Sadd shuker taghaiyurr ka alam daar hoon main bhi
Koi haath bhi phayla hua dekha nahi jaata
Daynay ko bhi dil kerta hai, naadaar hoon main bhi
Dosh apnay muqadder ka main kis sir pay rakhoon ab
Munsif bhi tha andha, so ..... gunahgaar hoon main bhi.